PDA

View Full Version : "]******tum bhi dua karo


K@IN@@T
07-09-2009, 02:21 PM
******TUM BHI DUA KARO

Mere Saath Tum Bhi Dua'a Karo Yun Kisi Ke Haq Mai Bura Na Ho
Kahin Aur Ho Na Yeh Hadsa Koi Rastay Mein Juda Na Ho

Sar-e-Sham Taihri Hui Zameen Jahan Aasaman Hai Jhuka Hua
Isi Muur Per Mere Wastay Woh Chiragh Lay Ke Khara Na Ho

Meri Chaat Se Raat Ki Seaij Tak Koi Aansuoon Ki Lakeer Hai
Zara Barh Ke Chand Se Poochna Woh Isi Taraf Se Gaya Na Ho

Mujhe Yun Laga Keh Khamosh Khushboo Kay Hont Titli Ne Chuu Liye
Inhi Zard Pattoun Ki Oaut Main Koi Phool Soya Hua Na Ho

Isi Aihtiyaat Mein Woh Raha Isi Aihtiyat Mein Main Raha
Woh Kahan Kahan Meray Saath Hai Kisi Aur Ko Yeh Pata Na Ho

Woh Farishtay App Talash Karyey Kahaniyoun Ki Kitab Mein
Jo Bura Kahin Na Bura Sunain Koi Shaks Un Se Khafa Na Ho

Woh Firaq Ho Keh Visaal Ho Teri Aag Mehkey Gi Aik Din
Woh Gulab Bun Kar Khilay Ga Kiya Jo Chiragh Bun Ke Jala Na Ho

FAJAAN
07-09-2009, 04:44 PM
zabardast

K@IN@@T
07-09-2009, 05:22 PM
thank u:)

"K.G"
07-22-2009, 10:22 PM
Thanks For Sharing

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.