Ali jee
07-05-2009, 07:42 PM
Chalo ik baar phir sy ajnabi ban jayen hum dono
Na main tum sy koi umeed rakhon dilnwazi ki
Na tum meri tarf daikho galt andaz nazron sy
Na tery dil ki dharkan larkhraye meri baton sy
Na zahir ho tumhari kashmaksh ka raaz nazron sy
Tumhain bhi koi uljhan rokti hai paish qadmi sy
Mjhy bhi log kehty hain jalwy purany hain
Mery humrah bhi ruswain hain mery mazi ki
Tumhary sath bhi guzri hoe raaton ky saye hain
Ta’ruf rog ho jaye tu us ko bhoolna behtar
Ta’luq bojh ho jaye tu us ka torna acha
Wo afsana jisy anjaam tak lanna na ho mumkin
Ussy aik khoobsurat morr dy kar chorna acha
Chalo ik baar phir ajnabi ban jayen hum dono….!!