~ Bikhre Lamhe ~
07-03-2009, 10:51 PM
ShayyaN ye na tha tum ko dil le ke daga karna
In hotoan se kya kehna in hathon se kya karna?
Muj ko ye mere dil ne jaate howe samjhaya
Dil bhar ki jafa sahna qismat ka gila karna
Raaton ko nilate ho ye bi koi parda ha
Ghairon se mila karna saaye se hayya karna
Ro ro ke bayan karna hasrat meri ah qasid
Kehna mein na jo aaye Aankhon se ada karna
Tum sache hamin jhoote jane bi do ye jhagda
Guzari jo guzarni thi ab chahie kya karna
Mein ne jo tumhin chaha kya is mein khata meri
Ye tum ho ye aaina insaf zara karna
Taskeen ko teri ah dil qasid ki ye baatin hain
Wo aaye na aayin ge bas youn hi suna karna
Jaate ho khuda haafiz han itni juzarish ha
Jab yaad hum aajayin milne ki dua karna
Is aap ki ghaflat par afsoos 'Saqi' afsoos
Kya kar chali dunia se tha aap ko kya karna