Nida-H
07-01-2009, 08:07 PM
Teri qurbatain bhi saraab hain
yeh bhala hua jo nahi mileen
teri dooriyaan bhi azaab hain
meri dasht e jaan say tali nahin
Kisi aag nay woh dhuaan dia
mujhay daikhnay bhi kahan dia
Wo musafatoon ka jahan dia
kahin rasta hai kahin nahin
Mujhay zindagi woh diyaa lagay
kay abhi bujhay jo hawa lagay
kabhi kia lagay kabhi kia lagay
kisi zaviye pay yaqeen nahin
Kay shikasta paa main rukoon kahan
yeh hai fasloon ka naya jahaan
hai agar zameen, nahi aasmaan ,
hai jo aasmaan tou zameen nahin
Pas e chashm e nam woh zarror hai
mera dil jafaon say choor hai
Meri manziloon ka qasoor hai
teray rastoon say mileen nahin
yeh bhala hua jo nahi mileen
teri dooriyaan bhi azaab hain
meri dasht e jaan say tali nahin
Kisi aag nay woh dhuaan dia
mujhay daikhnay bhi kahan dia
Wo musafatoon ka jahan dia
kahin rasta hai kahin nahin
Mujhay zindagi woh diyaa lagay
kay abhi bujhay jo hawa lagay
kabhi kia lagay kabhi kia lagay
kisi zaviye pay yaqeen nahin
Kay shikasta paa main rukoon kahan
yeh hai fasloon ka naya jahaan
hai agar zameen, nahi aasmaan ,
hai jo aasmaan tou zameen nahin
Pas e chashm e nam woh zarror hai
mera dil jafaon say choor hai
Meri manziloon ka qasoor hai
teray rastoon say mileen nahin