Hussain
06-30-2009, 07:45 PM
BadaN ki Qaid...
Badan ki qaid say niklain to uss nagar jayein
Jahan KHUDA se kissi shab mukalma hoga
Jahan pe rooh ka bhi koi haq ada hoga
Na dil ko tang karey gee hasool ki khwahish
Na koi khudcha -e- lahasili sataye ga
Hamain qabool na ho gee sada -e- noha gari
Ke phir wasool na ho gee shikast -e- sada dilli
Na marhale woh mushaqat ke paich -e- jan hon gay
Ke jin ke khauf se lab hansna bhool jatey hain
Na aisi shab ki musafat ka samna hoga
Jahan pe koi Charag -e- wafa nahin jalta
Laboun ke chaag pe harf -e- dua nahin khulta
Kahin pe koi mizaj acha nahin milta
Azaab -e- tark -o- talab se bhi ab mukar jayein
Zameen ki qaid se niklain to uss nagar jayein
Jahan KHUDA se kissi din mukalma hoga
Jahan pe rooh ka bhi koi haq ada hoga ...