Humaila
09-27-2008, 09:03 PM
Tera Asli Ghar QABAR Hai,
Jo Tuj Ko Har Roz Din Mein 3 Martaba Pukaarti Hai,
Ey Farzand-E-Aadam(A.S)
Mein Wehshat Ka Mukaam Hoon,
Mein Tanhai Ka Mukaam Hoo,
Mein Andheri Kothri Hoon,
Mein Khaak Aur Dhool Hoon,
Merey Andar Samp Aur Bichu Hain,
Tu Meri Peeth Pe Chalta Phirta Hai,
Merey Andar Aa Kar Tuje,
Keerey Makorey Khaein Ge,
Tu Meri Peeth Pe Gunaah Karta Hai,
Merey Andar Aa Kar Azaab Paay Ga,
Tu Meri Peeth Par Hansta Hai,
Merey Andar Aa Kar Roy Ga,
Tu Meri Peeth Par Khushiyan Manata Hai,
Merey Andar Aa Kar Ghamnaak Ho Ga,
Tu Meri Peeth Pe Doston Aur Aashnaon K Saath Phirta Hai,
Merey Andar Aa Kar Akela Ho Ga,
Tu Meri Peeth Pe Burey Amal Karta Hai,
Merey Andar Aa Burey Amlon Ki Nisbat Sawal Ho Ga,
Tu Meri Peeth Par Fazool Bakwas Karta Hai,
Merey Andar Aa Kar Gunga Ho Ga,
Tu Meri Peeth Par Dolat Mein Mast Hai,
Merey Andar Aa Kar Pashemaan Ho Ga,
Hamarey Pyarey AAQA(S.A.W)Ne Farmaaya:
Ey Logo:Qabar Nek Aadmi K Liye JANAT Ka Bagh Hai,
Aur
Badkaar K Liye DOZAKH K Garhon Mein Se 1 Garha Hai.
Jo Tuj Ko Har Roz Din Mein 3 Martaba Pukaarti Hai,
Ey Farzand-E-Aadam(A.S)
Mein Wehshat Ka Mukaam Hoon,
Mein Tanhai Ka Mukaam Hoo,
Mein Andheri Kothri Hoon,
Mein Khaak Aur Dhool Hoon,
Merey Andar Samp Aur Bichu Hain,
Tu Meri Peeth Pe Chalta Phirta Hai,
Merey Andar Aa Kar Tuje,
Keerey Makorey Khaein Ge,
Tu Meri Peeth Pe Gunaah Karta Hai,
Merey Andar Aa Kar Azaab Paay Ga,
Tu Meri Peeth Par Hansta Hai,
Merey Andar Aa Kar Roy Ga,
Tu Meri Peeth Par Khushiyan Manata Hai,
Merey Andar Aa Kar Ghamnaak Ho Ga,
Tu Meri Peeth Pe Doston Aur Aashnaon K Saath Phirta Hai,
Merey Andar Aa Kar Akela Ho Ga,
Tu Meri Peeth Pe Burey Amal Karta Hai,
Merey Andar Aa Burey Amlon Ki Nisbat Sawal Ho Ga,
Tu Meri Peeth Par Fazool Bakwas Karta Hai,
Merey Andar Aa Kar Gunga Ho Ga,
Tu Meri Peeth Par Dolat Mein Mast Hai,
Merey Andar Aa Kar Pashemaan Ho Ga,
Hamarey Pyarey AAQA(S.A.W)Ne Farmaaya:
Ey Logo:Qabar Nek Aadmi K Liye JANAT Ka Bagh Hai,
Aur
Badkaar K Liye DOZAKH K Garhon Mein Se 1 Garha Hai.