~wish munda~
06-28-2009, 03:44 AM
Bohat haseen hain teri Aqeedaton ke gulaab
Haseen tar hay magar har Gul-e-Khyal tera
Hum aik dard ke rishtay main munsalik dono
Tujhay aziz mera funn mujhay jamaal tera
Magar tujhay nahin maloom qurbatoon ke alam
Teri nigaah mujhay faaslon se chaahti hai
Tujay khabar nahin shayd ke khalwaton main meri
Lahuu ugalti hui zindagi karaahhti hai
Tujhay khabar nahin shayd ke hum wahan hain jahan
Yeh funn nahin hay azeeyut hay zindagi bhar ki
Yahan Gul-o-e-Januun per qamannd parti hai
Yahan qalam ki zubaan per hai nook khanjjar ki
Hum us Qabeela-e-Wehhshi ke daivta hain ke jo
Pujariyon ki aqeedat pe bhool jatay hain
Aur aik raat ke ma’abood subhay hotay hi
Wafa parasst Saleebon pe jhool jatay hain