(Ż*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*Ż)
06-25-2009, 12:45 PM
Wo jaate jaate mujhe shayar bana gai,
Dil me chhupe us dard ke ehsaas ko phir jaga gai.
Dekha tha ek haseen khwaab us se mulaqaat ke baad,
Aankhon mein base us khwaab ko dekho phir jalaa gai.
Wo jaate jaate mujhe…….
Mai ye samjha tha ke taqdeer hai wo meri ,
Un kismat ki lakiron ko lo aaj phir wo mita gai.
Wo jaate jaate mujhe…….
Koi saugaat to us se kabhi na mili thi mujhe ,
Bas ek tasveer thi dil me uski,wo bhi chura gai.
Wo jaate jaate mujhe…….
Ubhara tha mai kitni muddatton mein jahan se,
Us gam ke samandar me mujhe phir se dooba gai
Wo jaate jaate mujhe…….
Jee raha tha mai khwaabon ke us jahaan mein,
Mujhe haqeeqat ka ye manzar lo phir dikha gai.
Wo jaate jaate mujhe…….
Toda tha dum kisi shayar ne kabhi uski shayari karte karte ,
Uski laash ko kitni muddatton baad kambakht aaj wo dafna gai.