ShArArTi MuNdA
08-11-2008, 08:31 AM
phir naya zakhm dene ke liye aai ho
phir mujhe chhod ke jaane ke liye aai ho
reza-reza hoke bikhar gaya mera wajood
phir na aaungi ye kehne ke liye aai ho
kitne sangdil ho dil tumhaara pathar ka
sitam mere dil pe dhaane ke liye aai ho
chaak jigar karke naye naqsh chhod gai
zor-e-kalam ko aazmaane ke liye aai ho
lamha-lamha jee liya waqt se tujhe cheen liya
ranj-o-gam se lipte kuch pal dene ke liye aai ho
intezaar-e-sanam ab yehi mera muqaddar hai
cheen kar mera sarapa rulaane ke liye aai ho
kitni nafrat badgumaani dekhi har lafz main
yakeen-e-kaamil ko jhutlaane ke liye aai ho
na khel tu mere dil se dar khuda se ai sanam
mere zarf ko phir se mitaane ke liye aai ho
na thakunga main tere zulm-o-sitam se kabhi
"MuNdA" ke zabt ki intehaa jaanne ke liye aai ho