(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
06-24-2009, 07:59 PM
Kabhi kabhi mohobbat me, aazmaish honi chahiye
Bepanaha mohobbat me, takrar ki gunjaish honi chahiye
Rahte hai jo hijab me parde ke paband hamesha
Kabhi kabhi husun e jahan ki numaish honi chahiye
Rahte hai safedposh jo banaam mehfilo.n me naamwaale
Unko benakab karne ki, ek choti si sazish honi chahiye
Kabtak parwane hi jale shamma ki hasraton me
Kabhi unse bhi to, ishq ki farmaish honi chahiye
Khushk ankhon se jiye zindagi jo bezari se jahan me
Gum ho ya khushi ki qatir, ashkon ki barish honi chahiye
Har aarzu hoti hai puri ek na ek din duniya me
Jo ta qayamat na ho puri, Ek aisi Kwahish honi chahiye