Log in

View Full Version : ``Bewafa se wafa ki umeed kya karien ``


ZaHa
09-25-2008, 02:34 PM
Bewafa se wafa ki umeed kya karien Jise bhoole hi nahi use yaad kya karein
Jo chahta tha kare bhari mehfil mein ruswa hamein Usi se yaaro hum ab Umeed kya karein

Poochta hai koi jab hum se haal mere is dil ka Apni ye bebasi hum kisi se bayan kya karein Kehte hain loog ki bhula de in hum unhein Per dil mein jo yadein hain un ka kya karein

Jo diye hain zakhm us ne hamein baar baar Un zakhmoun pe marham laga ker kya karein
Dil ko phir bhi hum ne samjha liya hai aye NAAZ Per in aankhoun se behte ashkoun

UZaiR
09-25-2008, 02:37 PM
Nice sharing Zaha-- Keep them coming :)

ZaHa
09-25-2008, 02:50 PM
thx

Saif_Dubai
09-25-2008, 10:29 PM
Sakoot-E-Shab Hai


Sakoot-E-Shab Hai
Tanhai Hai
Laikin Aisi Tanhai
K Jis Main Goonjti Rehti Hain Sari Un Kahi Batain
Jo Dil Main Shoor Karti Hain
Laikin Keh Nahin Paatay
Kisi K Door Jaatay Pa'aon Ki Halki Si Woh Aahat
Kabhi Patton Ki Khar Khar Main
Kisi K Loutnay Ka Shak
Kabhi Beetay Paloon Ki Goonj
Kabhi Madham Si Sargoshi
Kabhi Apnay Hi Andar Chal Rahi Aandhi Ki Aawazain
Sakoot-E-Shab Hai Tanhai Hai
Laikin Aisi Tanhai
K Jaisey Door Tak Phela Howa Aawazoon Ka Jangle

Beod
09-26-2008, 12:34 AM
Wow very nice

ZaHa
09-27-2008, 11:11 PM
thx :)

! HEER
09-27-2008, 11:39 PM
nice sis

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.