Hussain
06-20-2009, 01:06 PM
ay dil maiaray musafir
Huwa phir sey hukm sadir
Kay watan badar hon hum tum
Dain gali gali sadaen
Karain rukh nagar nagar ka
Kay suraagh koi payen
Kisi yaar e nama bar ka
har ik ajnabi sey poochain
Jo pata tha apnay ghar ka
Sar e ko'e nashnayan
Humain din sey raat karna
Kabhi is sey baat karna
Kabhi us se baat karna
Tumhain kia kahun kay kia hai
Shab e ghum buri balan hai
Humain yeh bhi tha ghanimat
Jo koi shumaar hota ,
Humain kia bura tha marna
Agar aik baar hota.......!!!
Huwa phir sey hukm sadir
Kay watan badar hon hum tum
Dain gali gali sadaen
Karain rukh nagar nagar ka
Kay suraagh koi payen
Kisi yaar e nama bar ka
har ik ajnabi sey poochain
Jo pata tha apnay ghar ka
Sar e ko'e nashnayan
Humain din sey raat karna
Kabhi is sey baat karna
Kabhi us se baat karna
Tumhain kia kahun kay kia hai
Shab e ghum buri balan hai
Humain yeh bhi tha ghanimat
Jo koi shumaar hota ,
Humain kia bura tha marna
Agar aik baar hota.......!!!