~ Bikhre Lamhe ~
06-20-2009, 06:34 AM
Tumhare zakhm se hum dil ki dunia shad rakhte hain
Khazan mein bi beharon ki terah aabad rakhte hain
Khabi lab pe dua dil mein khabi fariyad rakhte hain
Unhin maloom kya hum unko kaise yaad rakhte hain
Takhaiyul mein ise Farhad-o-Majnoon la nai sakte
Sitam de kar wo hum ko jis qadar nashaad rakhte hain
Tumhare ik ishare par wo jo-e- sheer bi laa dain
Hazaron mein hamin hain jo dil-e-Farhaad rakhte hain
Zamana bywafa kehta ha tum ko hum nai kehte
Isi andaz se ab khud ko hum aazad rakhte hain