~ Bikhre Lamhe ~
06-20-2009, 04:37 AM
Mat pocho ye muj se k kab yaad aate ho?
Jab jab saansin chalti hain buhat yaad aate ho
Neend mein palkin hoti hain jab bi bhari
Ban k khwab baar baar nazar aate ho
Mehfil mein shamil hote hain hum jab bi
Bheed ki tenhaiyon mein har baar nazar aate ho
Jab bi socha ke fasla rakhon main tum se
Zindagi ban ke saanson mein sama jate ho
Khud ko tufaan banane ki koshish tu ki
Ban ke sahil apni aagosh mein sama jate ho
Chaha na tha main ne is paheli mein uljhna
Har uljhan ka jawab ban ke ubhar aate ho
Sooraj ki roshni chanda ki chandni
Aasmaan ko dekhta houn main jab jab
Tumhari kasam buhat bahat yaad aate ho
Ab na pochna muj se ke kab kab yaad aate ho