dur-e-shahwar
06-18-2009, 02:38 PM
Rasool-e-Akram Hazrat Muhammad Sal'allahu'aleihi'wasallam nay farmaaya: Allah Taala nay paanch namazain farz ki hain, jo shakhs (inn ki adaaigi kay liay) achhi tarah wuzu karta hai aur auqaat par namazain ada karta hai aur ruku durust taur par karta hai aur namaz khushou kay saath ada karta hai tou is kay liay Allah ka waada hai kay Allah is ko muaaf karay ga aur jo shakhs yeh nahin karta tou is kay liay Allah ka waada nahin hai, agar Allah chaahay tou is ko muaaf karay ga aur agar chaahay tou azaab main mub'tla karay ga - Ahmed, Abu Dawud
Mishkaat Al-Masaabih : Volume 1 : No. 570
Mishkaat Al-Masaabih : Volume 1 : No. 570