PDA

View Full Version : Muaf


Humaila
06-16-2009, 05:06 PM
Hum insaan bohat be-reham hai.. humarey sath jo kabhi koi ghalt kar dey.. hum oss cheez ko aapni ana ka masla bana letey hai.. Aour oss insaan ko dekhna passand nahi kartey.. Lekin jub hum Allah(swt) se ro ro kar muaafi mangtey hai.. To hum umeed rakhtey hai k Allah pak humey muaf kar dey gha.. Aour beshak wohi muaf karney wala hai..

Lekin aghar Allah(swt) aisa kehta k .. Iss bandey ney yhe ghalt kam kar dya hai mein issey kabhi muaf nahi karonga.. Phir to hum sub jahanum k lye hi howey na..

Jaise hazrat Ali (RA) ney farmaya k: logon ko iss tarha muaf karo jaise tum Allah se umeed kartey hoo k woh tumey muaf karey gha.. ..

haar aik insaan ghalti karta hai.. aour insaan ko pattar dil nahi hona chahie.. balkey muaf kar dena chahie.. ghaltian har aik insaan se hoti hai..

Diwa
06-16-2009, 05:18 PM
Hmm.. sis i agree wo kya kehte hai na k insan tu galtion ka potla hai. Hum sab mein yahi tu khami hai k hum muaf karte samjte hain k humari izzat mein faraq parde ga lakin essa hota nahi hai kiun k wo insan jo muaf karta hai wo Allah (swt) k aur b karib ho jataa hai. Hum samjte nahi hai k Islam hum ko kya sikhata hai bas wohi karte hain jo dil mein ho. Allah (swt) hum sab ko ISLAM SAMJNE ki taufeeq ataa farmaye. Ameen!

Diwa
06-16-2009, 05:28 PM
Thanks Humaila for editing ab theek parden ho ga..

Humaila
06-16-2009, 05:28 PM
Haan aapney sahi kaha Diwani jii..jaise mene kaha hum ANA ka masla bana letey hai.. lekin hum aapney NAFS par control nahi kartey .. Allah(swt) hum sub ko achey amal karney ki tofeeq de.. AMEEN:.

AYAZ
06-16-2009, 06:50 PM
thanks for sharing ALLAH hum ko taufeeq dei ameen

Cute_Angel
06-16-2009, 07:13 PM
Thanx 4 sharing ths Himalya
JAZAK ALLAH

Humaila
06-17-2009, 04:14 PM
Thanks4TRZ.. C.A and Ayaz..

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.