Humaila
09-24-2008, 08:31 PM
assalam-o-alaikum, behno aur bhayyo.. Iss topic ka naam hai "parents"... Humey jo ziada pyaar aur mohabbat kartey hai who humarey waledein hotey hai.. Jitna who humse pyaar kartey hai otna koi bhi nahi kar sakta.. Islam mein, waledein ka daarja bohat ziada hai.. Especially maa ka, kyo key who hume janum deti hai. aur iss wajha se maa ka darja baap se ziada hai.. Aik hadith mein ata hai key, insaan maah se pyaar karey, phir maa,phir maa, phir maa aur phir baap. Yaniqe maa ka darja bohat ziada hai.. isska matlab yhe nahi key insaan baap ki izzat karna chor de.. Balkey dono ki izzat kare.. Jub hume kuch nahi ata tha humarey waledein ney hi to hume sikhaaya.. ........................... Jo mein ziada thaar aaj kal dekh rahi hoon, key ziada thaar sirf 2-3 mahino ki muhabbat key lye aapni 20-23 sal ki mohabbat ko chor detey hai.. Oss insaan ka bohat khyal hota hai humey ... lekin humarey waledein kya kia ???.. Jinho ney mushkil waqt mein humara sath dya.. behno aur bhayyo.. PLEASE I request U.. aapney waledein ko kabhi dukh na do.. Agar who koi advice de.. PLEASE listen to them.. ........... Allah(sw) hum sub ko side rastey par chalney ki tofeeq de.. AMIN.. .......