PDA

View Full Version : Rolemodels


Humaila
09-24-2008, 08:12 PM
http://i300.photobucket.com/albums/nn22/senoritaz_2008/Salman_Khan_90.jpg
http://i291.photobucket.com/albums/ll295/jaaf345/Iman%20Ali/ImanAli-13082007090814.jpg

. Kya yhe humari nay generation key rolemodels hai?, yhe aaj kal ziada thaar muslim youth key rolemodels hai.. inki nay se nay movie ay hoo aik 8 sal key bachey ko ilm hota hai.. lekin agar insaan poche key Luqmaan(as), yousuf (as) yha phir Ibrahim(as) kaun hai.. Onka juwab yhei hoga.. "I don't know" Hum waledein ko ilzaam nahi laga saktey, who to aapni koshish kartey hai key islam key barey mein batay.- lekin kuch waledein aise hotey hai jinhe itna ilm nahi hota.. Who aapney bacho ko phir masjid waghera mein bejatey hai.. Lekin personally mene kuch logon se pocha .. mujhe shock laga on mein se kissi ney bhi Muhammad(SWW) ka naam nahi lya.. balkey movies stars ka, celebreties key names lye.. .. hum kya itney ghoom ho gay hay dunya key kamon mein key.. hum aapna deen bhool ghay hai.. Kya jiss taraf hum ja rahey hai .. yhe sahi rasta hai?.. Kya yhe rasta hume Allah(sw) ki taraf le kar jata hai?=.. ofcourse NOT.. Jo mene pehley bhi aik blog mein likha hai.. hazrat ali(RAA) farmatey hai.. "dunya mein raho dunya tumme na rahey.. Kyo key kashti jub pani mein teer thi hai to sahi hoti hai.. lekin jub pani kashti mein a jata hai to kashti dhoob jati hai".. .. Agar aapke paas iss par koi comment hai.. Please comment on it.. ,. May Allah bless All of us.. AMIN..

umair8005
09-24-2008, 08:18 PM
JAZAK ALLAH KHAIRA.....nyx sharing..

u ryt.....hum logo ko ajj cricketr ..acctor nd or bohat se naym yad hyn..but sahaba...or islamic knowledge bohat kum hy jo k na hone k brabar hy..
parents k b kosor hy jaisa mahol bache ko mile ga baha us ka asar le ga......

AAMEENNN

Humaila
09-24-2008, 08:28 PM
U r right.. Key mahol ka bhi asar partha hai.. parents koshish kartey hai.. lekin kuch parents khud itna ilm nahi rakhtey islam key barey mein.. Lekin sirf ghaar ka mahol hi nahi balkey jub bacha school, college, UNI mein jata hai to waha se bhi who develope hota hai.. Who kisskkey sath rehta hai .. etc.. In cheezon ka kaafi asar partha hai.. lekin.. Insaan ko hamesha yhei sochna chahie key yhe zindagi hamesha key lye nahi hai..
Always ignore such things jo aapko Allah(swt) se door karey..
may ALLAH (swt) bless all of us.. AMIN

umair8005
09-25-2008, 10:05 AM
yup u ryt....aaameeen

but agr ghar se base strong ki jai tu bahir se kuch zeyada asar nhi le ga wo...

Humaila
09-25-2008, 12:44 PM
Yhe baat bhi aapki sahi hai ... Lekin isskey lye BOHAT strong hona partha hai.. Key insaan aisi cheezon ko ignor kare..

~*Gillanii
09-25-2008, 02:17 PM
As Salam O Alalikum!!
Bohat Acha TopiC Hay Humaila, I Appreciate you.. :)
Ji Bilkul Main Aap Ki Baat Say Agree Karta HoOn, Aaj Kal Yehi Neeli Peeli Shaklain Humari Youth Age Ki Rolemodels Hain.
Magar Kion??
Aap Nay Khud Kaha Kay 8 Saal Kay Bachay Ko Har MoVie Ka ILM Hota Hay...
Zahir Hay Us Ko In BatO Ki WAHI To Nahi Nazil Hoti, Ya Elhaam Nahi HOta...
Us Kay PARENTS Hi Us Ki Aisii TARBIAT Kar Rahay Hain..
Humaaray Muashray Main Amad-e-Nau Kay Kaan Main Azaan To Day Di Jaati Hay
Magar 7 saal Ki Age Main Namazz Kay Liye Kehna Bhool Jatay Hain, 12 Saal Ki Age Main Rozay Ka Kehna Bhool Jatay Hain
Jab Maa ya Baap Apne Bachay Ko Pass Bitha Kay KumKum Ya KhalNaik Dikhain Ge, Tab Zahir Hay Bachay Ka Rolemodel KumKum Ya Sunjay Dutt Banay Ga..
Aap Kehtay HO Kay Bacha University Jata Hay College Jata Hay Waha Say Pick Karta Hay, Waha Say Bhi Wo Develop Hota Hay..
HAAN Develop Hota Hay, Mahol Ka Asar Hota Hay .. Magar Tab Tak Wo Bacha Nahi Rehta Usay Aqal Agai Hoti Hay :) Achay Buray Ka Pata Hota Hay Usay ..
Main Manta HoOn Insaan Ki Sab Adatain Khatam Hojati Hain Magar Jo Bachpan Main Sikhaya Gya Hota Hay Wo Sari Zindagi Yaad Rehta Hay!!
Kion Kay Bacphan To Blank Page Hota Hay, Us Kay Parents Us Par Jo Likh Dain Wo Sari Zindagi Likha Rehta Hay...

Humaila
09-25-2008, 02:32 PM
JazakhALLAH brother..
Mein agree karti hoon aapki baat par key bacha aapney ghaar walon se sikhta hai yan'i aapney parents se.. Lekin baat waha hi aghay na, islamic ILM ki..
aghar parents key paas islamic ilm hoga to who kuch sikhange na.. Lekin bachpaan mein bachey ki timings honi chahie ossney TV dekhna kitni deer thak hai aur KYA dekhna hai.. Bachpaan se hi osski limits banani chahie.. Tak'ey oss par itna asaar na hoon..Lekin Jub who bahir jata hai .. as adult..
(islamic taur par).. To ossko friends miltey hai.. As I said before key insaan ko aapna imaan mazboot rakna hota hai key oss par effect na hoo aisi batein.. Jub imaan mazboot hota hai to aisi batein effect nahi karti..
Aur jaise aapney kaha key who soch samajh rakhta hai very true.. Who soch samajh rakhta hai.. Aur Allah(swt) ki nishania bhi dekh raha hota hai... Phir who aapney parents par blame nahi kar sakta.. Jub ossko ilm hai key osskey parents key paas itna ilm nahi hai.. Lekin osskey paas to hena..

AYAZ
09-25-2008, 03:49 PM
First of all Very nice topic really yeh horaha hie dunyah mei .but ziyada tar yeh tab hota hie jub waldeein khud ghafil hojaye deen sei .mei nie akser dostoo ko jo ke bahar mumalik sei hie aur wahi paida hoiye paley barey they dont know much about islam aun sei koiye hadees poucho tou wo souch mei parh jatey hie aun ko kaho ke
gf banaa sahi nahi
tou wo aesay boltey hie jesay pata nahi kia keh dia aun ko mei nei .wo ais baat per khush hojatye hie ke hum pakistan ke logo sei achey hei waha tou yeh sub horaha hie but shaed wo log ais BAat sei ghafil nahi hie ke 100 mei sei ager 10 log kharab ho tou baqi 90 ko ghalat nahi kaha ja sakta .
khair ALLAH hedayat HUM SUB KO AMEEN

Humaila
09-25-2008, 03:57 PM
first thanks for the comment.. Ayaz bro:)Hmmm.. merey khyal se to bahir key mumalik se jo log hai onhey ziada ilm hota hai.. Mostly girls.. Larkey bhi hotey hai .. Jinhe ALLAH(swt) sidhey rastey par lagay..
Lekin I can say key pakistan mein bhi ziada thaar logon ko islam key barey mein ilm nahi hai... I know maybe strange lagey.. Lekin Pakistan aik islamic mumalik hokar bhi.. Aise kam horahey hai.. Aur bahir mumalik ki to baat hi nahi hai.. balkey hum muslmano ko sochna chahie.. Hum kahin bhi dunya key hisse mein rahey.. HUM MUSLMAN to hena.. Aur humey muslmano jaisi kharkatey karni chahie..
May ALLAH(swt) bless all of us.. AMIN

» ßerükhï «
09-25-2008, 05:12 PM
Assalam o Alaikum Humaila sis..
First of all i'd like to thank u sincerely for starting a thread where we all can discuss a issue affecting our muslims brothers n sisters world wide. Dekha jaye toh yeh masla sirf pakistani muslims k saath hi nahi balke duniya bhar k muslimano k saath paish araha hai.

Is topic ko dekha jaye toh aap ne example zara shaikh ka diya *if thats her name* ab aap khud soche.. woh bhi toh muslim hain? woh bhi toh pakistani hai? Tarbiyat parents hi karte hain mager bachon pe influence bahir ki taraf se bhi bohot hota hai.. Coz kids n teenagers r more attracted to things that look exciting and fun its not their fault. Coming back to Zara Sheikh, Role model nahi balke bad example kehna chayeh inhe. Many girls might get distracted from the right path seeing her in shows n movies etc.. In logon ko apna role model samajh k apne parents ko apne dushman samajhne lagte hain yeh na jaante huwe k woh unka bhalla chahte hain.

Is sab k peeche sab se bara haath hai MEDIA ka. Jin k ghar mein tv na ho wahan radio toh hoga hi? Radio na ho to RISALEY *magezines* ya ikhbaar toh atey hi honge na? ager Maa Baap gaaney na sunney dey toh saath walon k ghar se dheemi awaz mein gaaney sunaye toh dete hi honge na? etc etc.. Walls pe lage huwe posters jo upcoming award shows advertise karte hain ya roads pe bare bare billboards jispe Ali zafar ki adverts dikhayi deti hain??

Running out ov words..

Humaila
09-25-2008, 09:09 PM
Very true my dear... Key insaan par assar partha hai.. Ghaar se nahi to bahir se..
Lekin hum youth ney hi to rokna hai .. Kahi na kahi se to shoro karna hi hai.. EVEN ..
MEDIA haar jagha par hai...
.. Lekin aaj kal yhe hai key..koi shah rukh khan banta phirr raha hai .. Aur koi
Kathrina Kaif.. Why???.. Insaan ki aapni personallity honi chahie.. Aur who to aapna kam kar rahey hotey hai.. to be honest onko kissi ki parwa hi nahi hoti key kaun onka fan hai.. They just their job.. they earn money.. Aur jo dekhney waley hotey hai.. Who aapna saara kam .. college etc.. chor kar onki movie dekhne ke lye cinema ghay hotey hai.. I'ts VERY BAD SIGN..

CaReLeSs
07-21-2011, 02:27 PM
V Nice..
T 4 S :p

!~*SOoLi
07-23-2011, 01:34 PM
بہت اچھا ٹاپک ۔۔ فورم یوزرز کو اس پر کمنٹ کرنا چاہیے لازمی۔۔

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.