Hussain
06-09-2009, 11:19 PM
Iss mausam mein jitne phool khilein ge
Inn mein teri yaad ki khusboo har sou roshan ho gi
Patta patta bhule basre rangon ki tasveer banata guzre ga
Ek yaad jagata guzre ga
Iss mausam mein jitne taare aasman pe zahir honge
Unn mein teri yaad ka paikar,manzar manzar ariyan ho ga
Teri jhil mil yaad ka chehra roop dekhata guzre ga
Iss mausam mein
Dil duniya mein joh bhi aahat ho gi
Iss mein teri yaad ka saaya geet ki surat mein dhal jaye ga
Shabnam se awaaz mila ker kaliyan uss ko dohraein gi
Teri yaad ki sun gun lene chaand mere ghar utre ga
Aankhein phool bichaein gi
Apni yaad ki khusboo ko daan kero aur apne dil mein aane do
Ya meri jholi ko bhar do ya mujh ko mar jane do.....