Hussain
06-08-2009, 04:23 PM
Na janay wo mujh se kia chahta hai
Kabhi wisal kabhi fasla badhata hai
Wo jab kabhi meray qareeb aata hai
Mera wojood yakdam simat jata hai
Kabhi gull kabhi zindagi batata hai
Kabhi wo chand keh ke mujhay bulata hai
Aksar wo kie din nazar na aata hai
Meray sabr ko istarah aazmata hai!
Wisal-o-deed ki khud tishnagi badhata hai
Ajab sanam hai phir mujh se roth jata hai
Sama bahar to kuch aur hi satata hai
Barsaat mein ye dil bidadh jata hai
Wo din buhat aarzoo jagata hai
Wo deikh ker jab bhi muskarata hai
Sagar too dil ko buhat rulata hai
Ye sun ke wo shiddat se yaad aata hai ...
Kabhi wisal kabhi fasla badhata hai
Wo jab kabhi meray qareeb aata hai
Mera wojood yakdam simat jata hai
Kabhi gull kabhi zindagi batata hai
Kabhi wo chand keh ke mujhay bulata hai
Aksar wo kie din nazar na aata hai
Meray sabr ko istarah aazmata hai!
Wisal-o-deed ki khud tishnagi badhata hai
Ajab sanam hai phir mujh se roth jata hai
Sama bahar to kuch aur hi satata hai
Barsaat mein ye dil bidadh jata hai
Wo din buhat aarzoo jagata hai
Wo deikh ker jab bhi muskarata hai
Sagar too dil ko buhat rulata hai
Ye sun ke wo shiddat se yaad aata hai ...