(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
06-07-2009, 08:06 PM
Mujhsa na de zamaane ko, parvardigaar dil
Aashufta dil, fareefta dil, beqaraar dil
Nikle meri bagal se woh aisi tadap ke saath,
Yaad aayega mujhe wohi be-ikhtiyaar dil
Har baar maangti hain naya chashm-e-yaar dil,
Ik dil ko kis tarha se banaaun hazaar dil
Karte ho ehd-e-vasl to itna rahe khayaal,
Paimaan se zyaada hai napaayedaar dil
Aalam hua tamaam, raha ussko shauq-e-zor,
Barsaaye aasmaan se parvardigaar dil
Pehle pehel ki chaah ka kije na imtehaan,
Aana to seekh le abhi do chaar baar dil
Mashhoor hain sikandar-o-jaam ki nishaaniyaan,
chhod jaayenge hum yaadgaar dil