!«╬Ĵamil Malik╬«!
06-05-2009, 09:21 PM
Zindagi k mele main
Khwahishon k rele main
Tum say kya kahen jana
Is qadar jhamele main
Waqt ki ravani hai
Bakht ki girani hai
Sakht bezamini hai
Sakht lamakani hai
Hijr k samandar main
Takht aur takhte ki
Eik hi kahani hai
Tum ko jo sunani hai
Baat go zara see ha
Baat umr bhar ki hai
Umar bhar ki batain kub
Do ghari main hoti hain
Dard k samandar main
Anginat jaziren hain
Beshumar moti hain
Ankh k dariche main
Tum nay jo sajaya tha
Baat us diye ki hai
Baat us gile ki hai
Jo lahu ki khilvat main
chor ban k ata hai
lafz k fasilon par
tuut tuut jata hai
Zindagi se lambi hai
Baat ratjage ki hai
Raste main kaise ho
Baat takhliye ki hai
Takhliye ki baaton main
Guftagu izafi hai
Pyar karne valon ko
Ik nigah kafi hai
Ho saky to sun jao
Eik din akale main
Tum say kya kahen ja'ana
Is qadar jhamele main.....!!
Khwahishon k rele main
Tum say kya kahen jana
Is qadar jhamele main
Waqt ki ravani hai
Bakht ki girani hai
Sakht bezamini hai
Sakht lamakani hai
Hijr k samandar main
Takht aur takhte ki
Eik hi kahani hai
Tum ko jo sunani hai
Baat go zara see ha
Baat umr bhar ki hai
Umar bhar ki batain kub
Do ghari main hoti hain
Dard k samandar main
Anginat jaziren hain
Beshumar moti hain
Ankh k dariche main
Tum nay jo sajaya tha
Baat us diye ki hai
Baat us gile ki hai
Jo lahu ki khilvat main
chor ban k ata hai
lafz k fasilon par
tuut tuut jata hai
Zindagi se lambi hai
Baat ratjage ki hai
Raste main kaise ho
Baat takhliye ki hai
Takhliye ki baaton main
Guftagu izafi hai
Pyar karne valon ko
Ik nigah kafi hai
Ho saky to sun jao
Eik din akale main
Tum say kya kahen ja'ana
Is qadar jhamele main.....!!