(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
06-01-2009, 10:35 AM
hum bhi unhe yaad aaye to kya baat hai
unhe bhi tanhaai sataaye to kya baat hai
woh zamaane bhar se ta’alluq jo rakhta hai
humse bhi rishta banaaye to kya baat hai
rakh de tamaam kaaynaat uske kadmoen main
woh iss or kadam badhaaye to kya baat hai
maine dekhe hain raaz-o-niyaz ke sapne
uske lab pe naam mera aaye to kya baat hai
fart-e-ghum main humne aansoo to bahaaye
apne pyaar se woh bhigo jaaye to kya baat hai
kaash kisi din woh mere dard ko samjh paaye
kaash kisi din woh apnaaye, to kya baat hai
ab saans lena bhi muhaal hai lagtaa
kya baat hai? yahi puch jaaye to kya baat hai!