~ Bikhre Lamhe ~
05-27-2009, 09:09 PM
Jee chahta ha tere naam aik kitab likhon
Is kitab ka tere naam intisab likhon
Tuje sharminda karne ke liye main is main
Tera our mera bybaak hisab likhon
Main soch soch kar pagal sa ho geya houn
Jhele hain jo tere gham main ne kaise wo azaab likhon
De geya meri zindagi ko andhere wohi
Khawish thi jise main aftab likhon
Jo diye hain tu ne kanton ke bistar muje
Buhat mushkil ha in kanton ko gulab likhon
Muj se munafqat na ho sake gi dil ki baat main
Dukhon ke samndar ko main kaise sarab likhon
Ajab karb main mubtila kar diya tu ne muje
Samajh nai aata tere khat ka kya jawab likhon
Lafz to sab hi mita diye hain mere Aansoon ne
Apni kehani ab main kaise teh-e-aab likhon
Aik aik lafz yaad ha muje teri guftagu ka
Khawish ha teri har baat ko khitab likhon
Jis ki tabeer bi na mil saki muj ko ah dost
Main apni kitab main kaise wo khawb likhon
Lakhon chehron se haseen benaya tuje khuda ne magar
Jo mera nai us chehre ko kaise mahtab likhon
Yak tarfa faisla sunaya adalat-e-uzma ne
Main is judge ko kaise izzat-e-mab likhon
Har baat tu dil ki keh dali ha
Is se ziyada our keya main janab likhon