PDA

View Full Version : Tenhai


~ Bikhre Lamhe ~
05-26-2009, 02:04 AM
Tum mere paas hotei ho goya
Jab koi dosra nahi hota

Kuch logoan k bare mein keha jata ha ki tenhai pasand hain. Tenhai pasandi kya hoti ha?


Aksar tenha bethe bethe gum ho jata houn
Ab mein aksar mein nai rehta tum ho jata houn.

Tenhai khyaloan ki dunia mein le jati ha ki kuch haseen yaadin ,kuch baatin;kuch ghuzri hoi lamhat aise lamhat jin ko shayad hum qaid karna chahti hain lekin waqt ko aaj tak koi qaid nai kar saka.isi liye hum majboor hote hain lekin tenhai mein is ghuzri howi khush gawaar lamhat ko yaad kar k sakoon hasil hota ha. Jehan khush-gawaar lamhat ko yaad kar ke sakoon ka ahsaas hota ha wehan talkh yaadin zakhmoan ko bharne nai deetin. Apne oper hone wali zyadtiyan,narwa-salooq, akhad lahje, kisi ka ignore karna..ye sab baatin jab yaad aati hain tu dil mazeed parishaan ho jata ha.
our ache logon ki yaad un ka sath khabi nai bholta our agar koi dil mein bas jaye tu us ki yaad bholane se bi nai bholti. Doori k ahsasat shiddat eikhtyar karne lagti hain.
Jehan log buhat hans-mukh our khush khush nazar aate hain wehin un k chehre par chupa ghum tenhai mein ayan hone lagta ha.

Chehre khile howe hain tu dil hain bhuje bhuje
Har shakhs mein tezaad ha din raat ki terah

Tenhai mein khabi khabi aanso bi nikal jate hain.khabi kisi ko yaad kar k tu khabi kisi ki zyadti par khabi kisi ki judai mein.
Agar mein apni baat karon to zindagi mein ek baar mera dil rone ko chaha lekin dunia k samne ro na saka lekin tenhai mein aanso nikal ate hain.our jab aanso nikalte haiin tu sochta houn ki kya agar ye aanso Allah ki mohabbat our gunahon ki nidamat par niklin tu behtar nai??

SHAYAN
05-26-2009, 02:12 AM
Nyx Sharin

momal ali
05-26-2009, 02:14 AM
very nyc ....

~Pr!nCe$s UrOoJ~
05-26-2009, 02:28 AM
niceeeee

A L i
05-26-2009, 08:15 PM
very Nice

~ Bikhre Lamhe ~
05-27-2009, 01:13 AM
Thanks ALL

safa
05-29-2009, 07:01 PM
very Nice ....Sir

K@IN@@T
05-29-2009, 07:02 PM
nice sharing

~*Gillanii
05-30-2009, 10:10 PM
Bohat Acha Likha Hay Adhuray Khawb, Last Line Wakai Meaningful Hay!

!«╬Ĵamil Malik╬«!
07-18-2010, 12:50 PM
Nice Sharing

*NRB*
01-27-2012, 11:12 AM
ahaan nice

life
08-08-2012, 04:57 PM
buhat khoob

hadia ali
08-23-2012, 03:03 PM
hmmmm rite

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.