DI@
09-16-2008, 05:15 PM
Tum mujhe bhool bhi jaao to ye haq hai tumko
Meri baat aur hai maine to mohabbat ki hai
Mere dil ki, mere jazbaat ki queemat kya hai
Uljhe-uljhe se quayaalaat ki queemat kya hai
Maine kyun pyaar kiya, tumne na kyun pyaar kiya
In pareshaan sawaalat ki queemat kya hai
Tum jo ye bhi na bataao to ye haq hai tumko

Zindagi sirf mohabbat nahin kuchh aur bhi hai
Zulph-o-ruqsaar ki jannat nahin kuchh aur bhi hai
Bhook aur pyaas ki maari hui is duniya me
Ishq hi ek haqeequat nahin kuchh aur bhi hai
Tum agar aankh churaao to ye haq hai tumko
Maine tumse hi nahin sab se mohabbat ki hai
Tumko duniya ke GHam-o-dard se fursat na sahi
Sabse ulfat sahi, mujhse hi mohabbat na sahi
Main tumhaari hun ye mere lie kya kam hai
Tum mere hoke raho ye meri quismat na sahi
Aur bhi dilko jalaao to ye haq hai tumko
Meri baat aur hai, maine to mohabbat ki hai

Meri baat aur hai, maine to mohabbat ki hai?