Nida-H
05-20-2009, 11:51 AM
main roshni hoon kaf e dast se rukoon gi kahan
tamaam umer tere taaq per jaloon gi kahan
bulaa raha hai mujhe kehkashan ka derwaaza
wo aa bhi jaaye tou ab main usey miloon gi kahan
main apne bichhrey hue pairr ki talash main hoon
ziada dair teri shaakh per khiloon gi kahan
ye chund saanson ka bhi aasraa usi se hai
k jab rahe ga nahin wo tou main rahoon gi kahan
main zakhm hoon ghani raaton main jaagne wala
tumhare taar e muhabbat se ab siloon gi kahan !!!