Log in

View Full Version : muhabtey jubh shumar karna..

Pages : 1 [2]

chinamanx
06-02-2009, 05:10 PM
Chinamax Aur Momal Lajawab Beautyful Poetry Dost............. Maza aagaya Parh kar....

By d way Momal tumhari Angrezi Urdu Poetry ka Jawab nahi hahahahah.....
Thnx 4 Sharin Frnds Keep d gud work up.........

thanks brovvv by t he way nice avtaar and welcome 2 the forum i hope you keep postin ;)

anyways welcome ;) ahem ahem

momal ali
06-02-2009, 05:17 PM
kitna khush fehm hay woh shakhs keh hur mausum main.........
Ik nayay rukh nayee soorat say mujhay sochta hay....

Oh God YE bhi kafi suite ker gaya shoti singh :laugh:

very very nyc zouq acha ho gaya hey tumhara :D
mery sath reh reh k :DF
manana pare ga :peace:

ahem ahem arz keya hey

mujhy kahi or ley chalo !
jaha raat kabhi soi na ho
jahan subha kis pey roi na ho
jahan hijar ney wehshat boi na ho
jahan koi chez kisi ki khoi na ho
jaha loug hun sary beygany
jahan sub k sub hun dewany
jaha hum ko koi na pehchany
mujhy kahi or ley chalo !
jaha nafrat dil mey bus na saky
jaha koi kisi ko duss na saky
jahan koi kisi pey hus na saky
mujhy kahi or ley chalo !
mujhy kahi or ley chalo !!!

momal ali
06-02-2009, 05:18 PM
Chinamax Aur Momal Lajawab Beautyful Poetry Dost............. Maza aagaya Parh kar....

By d way Momal tumhari Angrezi Urdu Poetry ka Jawab nahi hahahahah.....
Thnx 4 Sharin Frnds Keep d gud work up.........

thnx a lot alone
keep visiting if u really enjoyed r collection

chinamanx
06-02-2009, 05:29 PM
OUR COLLECTION lollllllziannn :P chinamanx & mahums ... our to humdono --- :P hum beechmay nahi may alag .. a hem ahem..... faaslaa rakho larkiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii... ..................... lolzian

wesay kya baat hay tumhay sochta hu laychalooo aisi jaga mujhay pataa hay ;) jahan koi na ho wesay u ki demands bohat hay chalo all will be met ahem ahem..................

zara gaur farmaiyaaay :P

kutt he gayee judai bhi kub yeh hua keh marr gayay
tairay bhi din guzar gayay, mairay bhi din guzar gayay

to bhi kuch aur , aur hay hum bhi kuch aur aur hain
janay woh aur kidhar gaya, janay hum aur kidhar gayay

rahoon main milay thay hum, rahain naseeb bun gayeen
to bhi na apnay ghar gaya, hum bhi na apnay ghar gayay

woh bhi ghubar-e-khaak tha, hum bhi ghubar-e-khak thay
woh bhi kaheen bikhar gaya,hum bhi kaheen bikhar gayay

koi kinar-e-aab jo, baitha hua hay sir nagoon
kashti kidhar chalee gayee, janay kidhar bhanwar gayay

tairay liyay chalay thy hum, tairay liyay thehr gayay
to nay kaha to jee uthay, to nay kaha to marr gayay

waqt he judai ka itna taweel hogaya
dil main tairay visaal kay jitnay zakhm thay bhar gayay

barish visil woh huee sara ghubar dhul gaya
woh bhi nikhar nikhar gaya, hum bhi nikhar nikhar gayay

itnay kareeb hogayay, itnay raqeeb hogayay
woh bhi adeem darr gaya, hum bhi adeem darr gayay.............

momal ali
06-02-2009, 05:45 PM
OUR COLLECTION lollllllziannn :P chinamanx & mahums ... our to humdono --- :P hum beechmay nahi may alag .. a hem ahem..... faaslaa rakho larkiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii... ..................... lolzian

daduzianzz tum bohat he batamezz insan ho :OOPs:
i dint mean 2 say like dis as u considring dis man
i mean he like ur n mine poetr so dats y i said r :(
u foolish :(
muh phatt insaan :(

momal ali
06-02-2009, 05:52 PM
kutt he gayee judai bhi kub yeh hua keh marr gayay
tairay bhi din guzar gayay, mairay bhi din guzar gayay

to bhi kuch aur , aur hay hum bhi kuch aur aur hain
janay woh aur kidhar gaya, janay hum aur kidhar gayay

rahoon main milay thay hum, rahain naseeb bun gayeen
to bhi na apnay ghar gaya, hum bhi na apnay ghar gayay

woh bhi ghubar-e-khaak tha, hum bhi ghubar-e-khak thay
woh bhi kaheen bikhar gaya,hum bhi kaheen bikhar gayay

koi kinar-e-aab jo, baitha hua hay sir nagoon
kashti kidhar chalee gayee, janay kidhar bhanwar gayay

tairay liyay chalay thy hum, tairay liyay thehr gayay
to nay kaha to jee uthay, to nay kaha to marr gayay

waqt he judai ka itna taweel hogaya
dil main tairay visaal kay jitnay zakhm thay bhar gayay

barish visil woh huee sara ghubar dhul gaya
woh bhi nikhar nikhar gaya, hum bhi nikhar nikhar gayay

itnay kareeb hogayay, itnay raqeeb hogayay
woh bhi adeem darr gaya, hum bhi adeem darr gayay............

very nyc but i think i have shared dis 1 b4 dun u think :10:

momal ali
06-02-2009, 06:14 PM
CHALO FARAZ KI EK GHISI PITTI NAZAM SUNO
ACHI TU BAOHT HEY BUT PITT BOHAT GAI HEY :laugh:

Ab kay yun dil ko saza di hum ne
Iss ki har baat bhula di hum ne

Aik aik phool bohut yaad aya
Shakh-e-Gul jab woh jala di hum ne

Ajj talak jis per woh sharmatey hain
Baat woh kab ki bhula di hum ne

Shehar jaan raakh se abaad huwa
Agg jab dil ki bhuja di hum ne

Ajj phir yaad bohut Aya woh
Ajj phir iss ko dua di hum ne

Koi tu baat hai iss main Faiz
Har khushi jiss pe Luta di hum ne

chinamanx
06-02-2009, 06:18 PM
haaan end may bhi ghisi pitti logo ke haath phir say ghiss gayeee lolziann jee nahi u never shared dat 1 :P

Barf jaisa na-mukamal hay shararay jaisa
Main ne daikha na suna tumharay jaisa

woh jo rehta tha palk pay kisi aanso ke tarah
Ab wohee shakhs hay tootay huyay taray jaisa

Is liyay karta hoon aangan-e-shajr say batain
Yeh bhi lagta hay kisi hijr kay maray jaisa

Koi shay kaat rahe hay mujhay andar andar
Kya maira jism hay dariya kay kinaray jaisa

Kis liyay bata main majnoo ka hawala aya
Aap kehtay thay nahin koi hamaray jaisa

Daikhna hay keh who nazdeek say kaisa hay
Door say tu ata hay nazr sitaray jaisa ahem ahemmmmm......

momal ali
06-02-2009, 06:37 PM
KEYA BAT HEY DDOR SEY TU AAT HEY WOH NAZAR SIATERY JESA BOHAT UMDA
but door sey dekhny sey ek sher yaad aa gaya arz hey :laugh:

ahem ahem omg

door sey dekha tu andey ubal rahy they
pass j k dekha tu ganjy uchal rahay they ... cha gai ho momo tum :laugh:

ek or pujnabi sher arz hey :laugh:

is darakhat dey thely asi ishq laraya kerdy c
mey pandey manja kerti thi tu muj nawaya karta tha ..... daamn keya tabahai ka sher bola mey nay :laugh:

or ek or sher arz hey ahem ahem

tu ney tu mery sang jeeny merny ki qasmey khain thi
phir apny aaba ko dekh k dour q lgaia thi :(... :( hahahahaha keya baat hey meri collection k8i :laugh:

chinamanx
06-02-2009, 06:38 PM
OUR COLLECTION lollllllziannn :P chinamanx & mahums ... our to humdono --- :P hum beechmay nahi may alag .. a hem ahem..... faaslaa rakho larkiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii... ..................... lolzian

daduzianzz tum bohat he batamezz insan ho :OOPs:
i dint mean 2 say like dis as u considring dis man
i mean he like ur n mine poetr so dats y i said r :(
u foolish :(
muh phatt insaan :(

hain ..... may sahi kaha... lolziannnnnnnn

chinamanx
06-02-2009, 06:59 PM
hahahah kya collection tumhay zaroor kisi nay skool may sher maraay homngay lollllllll

haan tumharaay type ka answerrrrrrrr :P mardoooooooooooooood

Batain badal gayeen kabhi chehra badal gaya
Who shakhs mairay samnay kaisa badal gaya
Kehta hay ab ke baar mujhay choor kay deekha
Alfaaz to wohee hain par lehja badal gaya
Mairay khayal main bhi agar kho gaya who shakhs
Mujh ko yeh he laga keh who kitna badal gaya
Nikle hoon aur simt main poohnche hoon aur simt
Kya janay kis khayal main raasta badal gaya
Socha tha aaj faisla kar kay rahoon ge main
Bachoon ka sochtay he irrada badal gaya
Jo baat ibtida main thee who ab nahin
Lagta hay darmiyaan kaheen kissa badal gaya

momal ali
06-02-2009, 10:16 PM
wow bohat aala janab keya bat hey dadduzianaz

chaly aap k sanjedda mizaj ko dekhty howey ek bari he achi c nazam share ker rahi hun hope ull like it :D
na bhi pasand aai tu who cares :D
mujhy tu pasand hey na :peace:

Woh dil ki baatein zamaneybar ko na yun sunata, mujhe batata
Woh ik dafa tu meri muhobbat ko azmata, mujhe batata

Zubaan-e-halqat sey janay kya kya bawar kara raha hai
Kissi bahaney ANA ki deewar girata, mujhe batata

Zamaney waloon ko kya pari hai sunein jo haal-e-dil shikasta
Magar meri tu yeh arzoo thi mujhey bulata, mujhe batata

Mujhe khabar thi chupke chupke andherey isko nighal rahe hain
Mein isss ki raah mein apne dil ka diya jalata, mujhe batata

Munir iss ne sitam kiya kay shehar chor diya khamoshi kay saath
Mein iss ki khatir yeh duniya chor jata, mujhe batata....

chinamanx
06-03-2009, 02:28 AM
Mujhe khabar thi chupke chupke andherey isko nighal rahe hain
Mein isss ki raah mein apne dil ka diya jalata, mujhe batata nice.....

by the way what u said was well said...... none take none given..........................

this should end right here........................

Tu kahin b rahe sar pe tere ilzaam to ha ,

Tere hathon ki lakiiron me mera naam to ha ,

Mujhko tu apna bana ya na bana teri Khushi ,

Tu zamane me mere naam se badnaam to ha ,

Mere hisse mein koi jaam na aya !!
na sahi ,

Teri mehfil me mere naam koi shaam to ha ,

Dekh kar log mujhe naam tera lete hain ,

Es pe ma Khush hoon muhabbat ka ye anjaam to ha ,

Woh sitamagar hi sahi dekh ke usko, shukr is dil-e-bimaar ko aaraam to ha .

Ali jee
06-03-2009, 12:34 PM
nice ................................................

momal ali
06-03-2009, 03:20 PM
ahem ahem keya baat hey daddu ji kesa ikhtitam chahty hey aap bhi
beautiful but daedly :10:

chaly parveen shakir yaad aa gain is tym tu kuch arz hey ahem ahem

Teri khushbu ka pata karti hai
mujh pe ehsaan hawa karti hai

choom kar phool ko aahista se
mojiza badd-e-saba karti hai

shab ki tanhaai mein ab to aksar
guftgu tujh se raha karti hai

dil ko uss raah pe chalna hi nahin
jo mujhe tujh se juda karti hai

zindagi meri thi lekin ab to
tere kehne mein raha karti hai

uss ne dekha hi nahin varna ye aankh
dil ka ehwaal kaha karti hai

beniyaaz-e-kaaf-e-dariya angusht
rett par naam likha karti hai

dekh to aakar chehra mera
ek nazar bhi teri kya karti hai

shaam padte hi kisi shakhs ki yaad
koocha-e-jaan mein sadaa karti hai

mujh se bhi us ka hai waisa hi sulook
haal jo teraa ana karti hai

dukh hua karta hai kuch aur bayaan
baat kuch aur hua karti hai

abr barse to inaayat uss ki
shaakh to sirf dua karti hai

masla jab bhi utha chiraagon ka
faisla sirf hawa karti hai.

chinamanx
06-03-2009, 03:44 PM
wesay kya baat hay meri :P

masla jab bhi utha chiraagon ka
faisla sirf hawa karti hai.

yay baat likhloooo... :P wesay lets finish it.... what you reckon !!!! or by 9th as it is 10th is cummin :P

ab hawaain keray gi faisal diyaay ke bhujnaay ka - jismay jitni jaan hogi utna jalaay gaa :P pehlay bhi kehchukaa hu ...

wesay tumhari jaan ko sukooon nahi h ay ....

Aa k le jaey meri aankh ka pani mujse,
Kiun hassad karti hai darya ki rawani mujse,

Gosht nakhun se alag kr ke dikhaya mainay,
Usne pochay thay judai ke ma'ani mujse,

Teri khushbu ki lehd par main barra tanha tha,
Ro parri mil k galay raat ki rani mujse,

Khatam honey laga jab khoon b ashkon ki tarha,
Kar gaey khawab mere naqal makani mujse.

Sirf ik shakhs k gham main mujhy barbad na kr,
Roz rotay howay kehti hai jawani mujse......... wesay yaay hui naa baat ;) ahem ahem

06-03-2009, 04:06 PM
jwasni tu dhal gain na aap ki dadduzianzzzz :D

ABH Q YAAD KERTY HO BETY DINO KO TAR TAR :D

acha jin larkeyon ki tum aksar bat kerty ho woh kafi massom thi :D
meri terha clever nahi thi :D

un lerkyon k naam ek nazm keye deti hun :D

APNY BISTAR PEY BOHAT DER MEY NEEM DARZ

sochti thi k woh is waqt kaha ho ga
mey yaha hun magar us k kochaq ey rango boo mey
roz ki terha woh aj bhi aya ho ga
or jubh us ney muj ko waha na paya ho ga
aap ko ilm hey aaj woh nahi ain ?
meri her dost sey us ney yahi pocha ho ga
q nahi aai akhir keya bat hoi
khud sey is bat peysou bar uljha ho ga
kal woh aey gi tu us sey mey nahi bolon ga
aap he aap wo kai bar rotha ho ga
woh nahi hey tu bulnadi ka safar kitna kathan hey
sereyaan charhty howey us ney ye socha ho ga
rahdari mey hary lawn mey pholo k qareb
us ney her simt aan k mujhy dhonda ho ga
nam bholy sey jo kahi aya ho ga
gher mehsos tareqqey sey chonka ho ga
jane mehfil hey magar faqat aaj mery bagher
haey kis darjey wahi bazm mey tanha ho ga
kabhi sanato sey wehshat hoi ho gi usey
us ney beysakhta phir mujhy pukara ho ga
chalty chalty koi manos c aahat pa ker
doston ko bhi kisi uzar sey roka ho ga
yad ker k mujhy num ho gain hun gi palkey
aankh mey per gaya kuch ye keh k tala ho ga
or ghabar k kitabon mey jo li ho gi panah
har satar mey mera chera ubhar aya ho ga
jubh mili ho gi usey meri alalat ki khabar
us ney ahista sey dewar ko thama ho ga

itifaqan us sham mujhy meri dost mili
mey ney poch suno aey they woh kesay they ?
mujh ko pocha tha mujh ko dhonda tha charon janib ?
us ney ek lamhy ko dekha or phir hus di
us hasi mey woh talkhi thi k usey sey aagy
keya us ney mujhy kaha mujhy yaad nahi...lekin
itna maloom hey k khuwabon ka bharam toot gaya....

momal ali
06-03-2009, 04:08 PM
by de way ye nazam parveen shakir ki hey n its really close 2 my heart
meri dairy mey likhi hoi thi tu khud type kari hey
agar spelling mistkae ya kuch misshing hu to koi bat nahi
u know about my typing :D

chinamanx
06-03-2009, 04:10 PM
yay kachraa nahi partaa lolziannnnnnnnnnnnnnnnnnn

zara hosla kerooo :P wednesday ...... hay i w ont reply anything now..................... :D ....................... and i never read it ..................................... no more readings ............... and writings........ ignorance is bliss

ORITE END KERO ABHII >>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>..

Bohat hi maan hay tum per
Suno paas-e-wafa rakhna....

Sabhi se tum milo lekinn....
Zara sa faasla rakhna...

Bicharna bhi to parta he...
Zara sa hosla rakhna....

Woh saarey Wisaal ke lamhaay...
Tum aankhoo may sajaa rakhnaa

Abhi imkaan baaki hay ..
Abhi lub- pe dua rakhnaa...

Bohat NAYAAB hain dekho
Humaay sab sey JUDA rakhna

.................................................. .................................................. .................................................. ...................

momal ali
06-03-2009, 04:33 PM
Orite de END ..

momal ali
06-03-2009, 04:36 PM
tu ne barson ki dosti 15 minute me bhula di Faraz

kahin tu ne bhi 'GAJNI' to nahi dekh li

ta taa well dats was nyc shughal anyways ..
God bless u materalistic dadduzianzzz :D

chinamanx
06-03-2009, 04:39 PM
CLOSE THE THREAD NO MORE REPLIES FROM MY SIDE

unless u challenge sum1 else ;) well there are loads of users baba

chinamanx
06-03-2009, 04:40 PM
CLOSE THE THREAD NO MORE REPLIES FROM MY SIDE

unless u challenge sum1 else ;) well there are loads of users baba

chinamanx
06-07-2009, 02:08 AM
Band Ho Gayi Hain Mulakatein Bhi,
Nahi Hoti Ab Tumse Baatein Bhi,
Kaise Kaatun Din Tumahre Bageir?
Nahi Kat-ti Ab Mohsin Ki Raatein Bhi…

Tum Ik Badli Ke Jaisi Thi,
Aayi, Barsi Aur Chali Gayi,
Kuch Main Na Raha Pehle Sa,
Kuch Thi Tum Bhi Badal Gayi…

Baatein Bahut Karni Thi Tumse,
Tum Chup Rahi Aur Na Mainay Kahi,
Hota Tha Pyar Ke Liye Waqt Kabhi,
Jaan, Ab Woh Waqt Bhi Raha Nahi…

Mere Bas Mein Hota To Rok Leta Waqt Ko,
Tumahri Yaadon Ko Main Khone Nahi Deta,
Shayad Rooth Gaya Rabb Bhi Mujhse, Warna
Meri Zindagi Ko Mujhse Juda Hone Nahi Deta…

Tumne Thukra Diya Zindagi Bhar Ke Liye,
Par Tum Bin Kat-ta Mera Ik Din Nahi,
Har Pal Guzarta Hai Sadiyon Ki Tarah,
Bin Tere Rehna Mere Liye Mumkin Nahi…

Tum Bhula Sakti Ho Mujhko Lekin,
Main Tumko Bhoolne Ko Tyaar Nahi,
Ek Baar Rakh Kar Haath Apne Dil Per,
Kehdo Ki Tumko Mohsin Se Pyaar Nahi…

Main Jism Hoon Tum Ho Jaan Meri,
Jaane Kab Tumhe Samjha Paaunga,
Ik Pal Nahi Kat-ta Tumhare Bin,
Poori Zindagi Kaise Reh Paaunga?

.................................................. ...................................

Narazgi Khamoshiyon Se Ho Jaye Baat Se Pehle
Andhere Ke Talabgaar Ho Kyun Raat Se Pehle

Dil Ke Haal Ko Tum Uss Sukoon-E-Dil Se Bhi Chhupaye Rakhna
Khul Ke Ro Lena Magar Mulakat Se Pehle

Main Kis Shehar-E-Sitam Mein Ab Ruswa Nahi Hoon
Na-Ashna Kis Kadar Tha Main Halaat Se Pehle

Judai,Tadap,Ansoo,Shikawe Sabhi Jalwe Mohabbat Ke
Anjam Tum Rakhna Zehan Mein Shuruwaat Se Pehle....

Aur Fir Iss Adaa Pe Bhi To Mar Meete Mujh Jaise
Woh Jurm Kabool Kar Gaya Meri Tehkikaat Se Pehle

Kubooliyat Mein Rukawat Ye Katre Hi Na Sabit Ho
Nikle Lab Se Koi Dua To Iss Barsaat Se Pehle/....

Aur Yeh Ke Woh Jhooth Bolne Ka Hoonar Janta Hi Nahi Hai
Unn Ankhon Ko Padh Apne Sawaalaat Se Pehle ................................

momal ali
06-07-2009, 08:35 PM
ye keya janab ?

ye azyeton k silsily phir sey shoro ?

un sey keh do k ye fasly teh hum sey na hon gey
ye silsileyy muhabton k hey kathan bohat
ye ana or wafa k key keya bay rabt sey taluq hey
us sey keh do k in adaaon sey qail hum na hun gey !!!

chinamanx
06-08-2009, 11:26 AM
QAAIIILLL ki baat chorooooooooooooooooo ahem ahem ............ :P

Apnay Taa'ruf ke liyay itna hi kaafi hay ae DOST

Chaurdaytaay hay woh RAAH jo AAAM hojayaaay ............

--------------------------------------------------------------------------------------- no wonder i stopped posting in this thread ... :P

momal ali
06-08-2009, 12:02 PM
ye qatil nahi qail tha dadduzianzz improve ur urdu ahem ahem :10:

KhizaaN k rang meiN abhii bahaar baaqi hai
chiraaG-e-sahaR hai paR intazaar baaqi hai

hameiN salaam karo ai havaadis-e-dauraaN
tumhaare saath haiN phir bhii qaraaR baaqi hai

guzar chukaa hai umeedoNn ka qaafilaa kab kaa
raah-e-yaqeeN pe ab bhii Gubaar baaqii hai

hameiN pukaaR lo jab chaaho ham mile'nge vahiN
mile haiN Khaak meiN lekin vaqaaR baaqii hai

chinamanx
06-09-2009, 05:32 PM
ahem ahem ................... tufum pafagafal hafo...

Dard ke Baadbaan say lag kar

Zindagi ka Qaraar chahiye tha

Baat itni si hai TUMHAY Mujh say

Raat Din ka Shumaar Chahiye tha

Main Bohat Raig-zaar mein khush tha

Dard ke Karobaar mein khush thaaa

Tum ko Dunia k Sath Chalna tha

Aish-o-Ishrat, Waqaar Chahiye thaa

Aur Mujhay Sirf Pyaar Chahiye Tha..................:win your love:

chinamanx
06-09-2009, 05:33 PM

06-09-2009, 08:09 PM
Oey daduzianzz kaha ghayab hoingz :OOPs:[/NOTICE]

or ye tumhara thaka howa network 2 bar post send kerty ho sab theek na :rolleyes:

china mey tu nahi ho phir bhi thakkar net use karingz 1010011 ips rakhny waly user :D

ye aish = ashweriya
ishrat = meri koi ishrata kahala nahi :D
or han waqr = wqar bhai hey ek :D

keya howa itni thakar shari send kari aaji :1smile1:

nahi dil kerta post kerny ko tu mat send kero koi majbori nahi :1smile1:

ye nadeem shabnam wali shari mat bhejo amer larak ghareb lerki ye ameer larki or ghreeb larka or un ka so called lub :D

chalo kuch hum acha sa shre key detye hey u know hum maah badolat :peace:

Ajnabi Hai Tu Mere Zehan Mein Rehta Kyun Hai
Woh Jo Pathar Hai Tu Sheeshon Ka Maseeha Kyun Hai

Wo Hawa Hai Tu Guzar Jaye Hawaon Ki Tarha
Wo Samundar Hai Tu Thehra Rahe Behta Kyun Hai

Mere Aangn Mein Nahi Koi Umeedon Ka Gulab
Phir Ye Mousam Mere Aangn Mein Utarta Kyun Hai

Jis Ke Chehre Pe Saji Jhoot Ki Tehreerain Hain
Dil Usi Shakhs Ke Wadaon Se Behlta Kyun Hai

Ye Mera Dil Ye Masom Ye Anjan Sa Dil
Phir Na Jane Tere Naam Se Dharakta Kyun Hai !!!

-|A|-
06-09-2009, 08:32 PM
i like ur title GHAZAL ALot .. othere wise urz collection is eXcellent

MeOw*
06-09-2009, 09:03 PM
superb

chinamanx
06-10-2009, 12:02 AM
tum shabnam say kam ho lolzannn wesay ho to tum kaali kalotiiii lolziannn tum kahaan shaboo kaha.....

Kathin andheron ki reh-guzar pe chiragh-e-subha jala jala ke............

Qasam se ankhen bhi thak gai hain,tumhare ansu chupa chupa ke......

ye kya khabar thi k ek chehre se kitne chehre kasheed hon ge

mey thak gaya hun tmhare chehron ko aeene mey saja saja ke

Hum itne saada mizaj kab the,Magar sarabon ki reh-guzar pe

Faraib deta raha zamana, Tumhari surat dikha dikha ke,

Ajab tanasub se zehn-o-dil me khayal taqsem ho rahe hain,

Magar mohabt si ho gai hai - Tumhein mohabat sikha sikha ke...

ahem ahem .......................................... kadar karooo meriiiiiiiiiiiiiiiiii dushmanoooo --- may nahi raha to kya karoo ge...........

Kabtak Mere Jazbaat Ko Ruswa Karogey Tum,
Jab Hum Hi Na Hongey To Bolo Kya Karogey Tum?

Jaa Raha Hoon Door Tumsey Is Yaqeen Ke Saath,
Mera Pata Har Ajnabi Se Poocha Karogey Tum.

Khaogey Jis Dum Fareb Raah-E-Ishq Me,
Wafa Se Lipat Kar Mere Roya Karogey Tum.

Aayee Jo Tumhe Kabhi Beetey Dinon Ki Yaad,
Tanhaee Se Bhi Guftgu Kiya Karogey Tum.

Khuwaab Ki Ishq Me Ye Shart Kyon Bhala?
Kya Koi Phir Naya Sauda Karogey Tum?...........................................

its 10th ;) ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,, dus din ;)

Janeeta
06-10-2009, 12:20 AM
awesomeeeeeeeeeeeeeeeeeee

SilentEyes
06-10-2009, 12:37 AM
best choice

~wish munda~
06-10-2009, 12:39 AM
hmm momo v nice
and phinay u r 2 good man

momal ali
06-10-2009, 12:52 AM
AHEM ahem lajwab kar deya aap ney tu janab

hmm very nyc !

han 10 aa gai 10 din ki bat samj nahi aai

or kaha ja rahy ho :s11:

tusi ja raiy hoo ? :s11:

kher jaha bhi rahy khush rahy abbad rahy daduuzianzzzz :peace:

hope k jaldi he koi pari aaey gi

jux lik story
n soon u wud becum a prince from dadduu :D

ek sher yad aaingz
but sahi sey yaad nahi aaingz
woh kuch esay tha

woh kahi bhi gaya lout ker mery he pass aaya
bus yahi ek bat achi hey mery herjai ki !!

pata nahi mey nay sahi bola k nahi :(

chalo jany walon k naam kuch ghisy pitey sher arz kerti chalon !!

Tumein Bhi Tou Khabar Ho Ge..,
k Daryaa Paas Bahtay Houn Tou,
Paani Acha Nhi Lagta...

Kinaaron Say Juree Matti Say Pocho..,
Rog Chahat Ka..,
k Iss Pani Ke Chahat Mein..,
Kinaaron Say Ukhar Ker..,
Ajnabi Daisin Mein Jaana..,
Kitna Mushkil Hai..?
Kinaara Phir Nhi Milta...

Tumein Bus Itna Likhna Hai..,
Yahaan Jo Bhi Bicher Jaay..,
"Dobara Phir Nhi Milta"

or aaj jo daddu tum sara din chup rahy us per bhi kuch arz kerti chalon

Ussay Yah Kon Samjaay???

Wo Dasht-e-Khamoshi Mein,
Ungilyoun Mein Seepiaan Pahnay,
Kisi Sookhay Sumunder Ke,
Adhoori Pyaas Ke Baatein,
Bohut Chup Chaap Sunta Hai,
Bohut Khaamosh Rahta Hai,
Ussay Yah Kon Samjaay???
Khushi k Aik Aanso Say,
Sumundar Bhar b Jate Hein,
Bohut Khamosh Rahnay Say,
"Talluq Marr Bhi Jate Hein"

ok jaha rehna khush rehna apny kherchy par :peace:

Faqat Yahi Iltija Hai Tum Say.,
k Raabton Ko Bahaal Rakhna!
Kahein Bhi Jaana,
Magar Hamara Khyaal Rakhna!
Abhi Banwar Mein Hai Naao Meri.,
Abhi Sitaray Hein Gardishon Mein.

Mein Laut Aaon Kbhi Jo Teri Jaanib.,
Bachaa k Kuch Maah-0-Saal Rakhna..!

Suno,

Apna Khyaal Rakhna........

!~*SOoLi
06-10-2009, 01:04 AM
Wow Very nice ... Specially Ye Jo Shairana Andaaz Main Alvida Kaha Great :laugh: ..
Momal Nick Thora Khatarnaak Lagingz, as compare to mahum :laugh:

Xcellent Sharings, By Both Sides China & Mahum Tum DonO Nay Kamal Kardi .. Keep it up!

Evil alive
06-17-2009, 01:21 AM
nice

momal ali
06-22-2009, 11:41 PM
Falak k teer meri taak mein nahin, meri jaan
K ab mein qariya-e-safak mein nahin, meri jaan

Shajar ko ilm kahan kia hai ranj-e-darbadari
K mera dukh teri idraak mein nahin, meri jaan

Parakh na chashm-e-badan se meri mohabat ko
Gul-e-Irum khas-o-khashak mein nahin, meri jaan

K jis ki zou se damakati thi paishani meri
Wo chand ab mere aflaak mein nahin, meri jaan

Yeh aur dukh hai kahin aur hain jarhein is ki
Mata-e-Dard, dil-e-chaak mein nahin meri jaan

Jo naram fami-e-gul meri guftagu mein hai
Wo tere lehja-e-bebaak mein nahin, meri jaan

Chamak na jis ki meri rooh ki qabah tak ho
Wo taar-e-zar meri poshak mein nahin, meri jaan

wo jism jo kabhi tabaan tha chand ki soorat
Ab uski khaak bhi is ki khaak mein nahin, meri jaan

Mein teri zaat se aage bhi dekh sakti hun
K mera fun teri imlaak mein nahin, meri jaan

momal ali
06-22-2009, 11:55 PM
Ek pasheyman si hasrat say mujhe sochta hai
Ab wahi sheher-e-mohabbat say mujhe sochta hai

May to mehdood say lamhon may mili thi us say
Phir bhi woh kitni wazahat say mujhe sochta hai

Jis nay socha hi na tha hijr ka mumkin hona
Dukh may doobi hui hairat say mujhe sochta hai

May to mar jaoon agar sochnay lag jaoon usay
Aur woh kitni sahoolat say mujhe sochta hai

Garcha ab tark-e-marasim ko bohat dair hui
Ab bhi woh meri ijazat say mujhe sochta hai

Kitna Khush-fehem hai woh shaks kay har mausam main
Ek naye rukh nayee soorat say mujhe sochta ha

momal ali
06-22-2009, 11:58 PM
Har Baar Mujhe Zakhm-E-Judai Na Dia Kar
Agar Tu Maira Nahin To Mujhe Dikhai Na Dia Kar

Sach Jhoot Tairi Ankh Say Ho Jata Hai Zahir
Qasmain Na Utha, Itni Safai Na Dia Kar

Maloom Hai Ab Tu Rahta Hai Mujhsay Guraizan
Paas A Kay Zindagi Ki Duain Na Dia Kar

Ur Jatay Hain Prinday To Wapis Nahi Atay
Har Baar Prindon Ko Rihai Na Dia Kar ...!!!

~wish munda~
06-23-2009, 12:00 AM
oey hoy hoy hoy
kia baat hai
owsummmmmmm :;n1;:

momal ali
06-23-2009, 12:44 AM
Hamare khwab se behter khayal bunta ha
aajeeb shakhs ha pani se jal bunta ha
woh lafz lafz main bunta ha mohjizoon ka wajood
kahanian bhe jo daikho kamal bunta ha
hado k war se bachna mahal ha us ka
jo apne hath se kaghiz ki dhal bunta ha
woh kal k aane ki mutlaq khaber naheen rakhta
jo g k mazi main batoon se hal bunta ha
laboon pe aahni tale laga liye us ne
jo apni soochoon main lakhoon sawal bunta ha
urooj us ki nighaown main kab mohabat ka
mohabatoon ka woh her pal zawal bunta ha

momal ali
06-23-2009, 12:47 AM
Teri Aankhon Main Meray Dil Ka Naqsha Ho Bhi Sakta Hai
Jisey Dewaar Samjha Hai Woh, Woh Rasta Ho Bhi Sakta Hai

Zamana Ghor Sey Daikhey Jisey Is Ney KHUDA Samjha Hai
Woh Is Key Haath Ka Pathar Trasha Ho Bhi Sakta Hai

Nazar Sey Door Reh Kar Bhi Kisi Soch Mein Rehna
Kisi Key Pass Rehney Ka Tareeqa Ho Bhi Sakta Hai

Woh Apni Sard Mohri Sey Mujhey Had Mein To Rakhta Hai
Mera Had Sey Guzarney Ka Irada Ho Bhi Sakta Hai

Bhari Dunya Ka Maila Sath Ho To Kon Sii Mushkil
Magar Eik Shakhs Mailey Mein Akaila Ho Bhi Sakta Hai

Yeh Seedhii Raah Par Chalna Khaan Sey Seekh Aaye Ho?
Yeh Rasta Dostii Ka Hai Yeh Ttaira Ho Bhii Sakta Hai

Main Apney Jism O Jaan Ko Sath Rehtey Dekh Kar Samjha
Nibhaana Ho Jisey Mushkil Wo Rishta Ho Bhi Sakta Hai

Machalta Thokrien Khata Huaa Paani Ka Eik Dharaa
Teray Dil Tak Pohanchney Ka Bahana Ho Bhi Sakta Hai

Nikal Kar Band Kamrey Sey Zara Baazar Mein Aao
Agar Tum Daikhna Chaho Tamasha Ho Bhi Sakta Hai

life2
06-23-2009, 12:54 AM
nyc

momal ali
06-23-2009, 01:47 AM
Gum sum howa Aaag ka daira tha ju ek shakhs.....
pathar bhe nahi rha sitara tha jo ek shakhs..........
chehron ko bary ghor sey perhta tha jo ek shakhs......
sehraa ke terha derr sey peyaasa tha woh shakhs.......
aey tez hwa koi khaber us k junon ke........
tanha safre e shoq per nikla tha jo ek shakhs.....
abh aakhri sutro mey rhta hey naam us ka......
ahbaab ke fursat mey pehla tha jo shakhs.....
hathon mey chupaey phirta hey kai zakham......
shihsey k khilony sey behlta tha jo shakhs......
mar mar k usey dekhna chahey meri aankhein.....
kuch door jo mujhy chorny aaya tha ek shakhs.....
munkir he abh meri pehchan sey woh mohsin....
akser khat mujhy khoon sey likhta jo ek shaks....

momal ali
06-23-2009, 01:53 AM
ye akley pan ke udaseyaan ,ye firaaq lumhy azaab sey...
kabhi dashte e dil pey bhe aa rukein,teri chahaton k qaafly
mey hun tujh ko aziz tar,main ye kesay maan lon ajnabi
teri baat lagti hey weham se,tery lufz lagty hey khab sey...
ye jo mera rang hey roop hey,yun he bey sabab nahi dosto
mere khushbuon sey hey silsaly,meri nisbaty hey gulab se..
wohi motabar hai mery leye,wohi hasile dilo jan hey
wo jo baab tum ney chura leya,meri zindagi ke kitaab sey..

chinamanx
06-23-2009, 04:05 PM
Falak k teer meri taak mein nahin, meri jaan
K ab mein qariya-e-safak mein nahin, meri jaan

Shajar ko ilm kahan kia hai ranj-e-darbadari
K mera dukh teri idraak mein nahin, meri jaan

Parakh na chashm-e-badan se meri mohabat ko
Gul-e-Irum khas-o-khashak mein nahin, meri jaan

K jis ki zou se damakati thi paishani meri
Wo chand ab mere aflaak mein nahin, meri jaan

Yeh aur dukh hai kahin aur hain jarhein is ki
Mata-e-Dard, dil-e-chaak mein nahin meri jaan

Jo naram fami-e-gul meri guftagu mein hai
Wo tere lehja-e-bebaak mein nahin, meri jaan

Chamak na jis ki meri rooh ki qabah tak ho
Wo taar-e-zar meri poshak mein nahin, meri jaan

wo jism jo kabhi tabaan tha chand ki soorat
Ab uski khaak bhi is ki khaak mein nahin, meri jaan

Mein teri zaat se aage bhi dekh sakti hun
K mera fun teri imlaak mein nahin, meri jaan

hosh may aooo larkiii kahin tumnay shairi ki panadol to nahi layliii momo tar tarr :P

Dil kabhi surat-e-hallat say bahir na gaya
Mai Mohabbat mai bhi ouqat say bahir na gaya....

Ek tu hai kay hai jahaan bher say ta'aluq tera
Ek mai hon kay teri zaat say bahir na gaya...

Mahrala tujse judayi ka bhi aa pohncha magar
Mai abhi pehli mulaqat sayi bahir na gaya...

Soch koi na teri soch say hut kar sochi
Tazkara koi teri baat say bahir na gaya...

Aao suraj ko batatay hain tamazat kia hai
Chand kya janay yeh khud raat say bahir na gaya.......

ahem ahem wesay kamaaal ki shairi ki he :P momo tarr tarr kher to hay .....

chinamanx
06-23-2009, 04:08 PM
Ek pasheyman si hasrat say mujhe sochta hai
Ab wahi sheher-e-mohabbat say mujhe sochta hai

May to mehdood say lamhon may mili thi us say
Phir bhi woh kitni wazahat say mujhe sochta hai

Jis nay socha hi na tha hijr ka mumkin hona
Dukh may doobi hui hairat say mujhe sochta hai

May to mar jaoon agar sochnay lag jaoon usay
Aur woh kitni sahoolat say mujhe sochta hai

Garcha ab tark-e-marasim ko bohat dair hui
Ab bhi woh meri ijazat say mujhe sochta hai

Kitna Khush-fehem hai woh shaks kay har mausam main
Ek naye rukh nayee soorat say mujhe sochta ha

waaaaaaaaah waaaaah kya baat hay wesay i wont thank you like other did... coz yay sab meri waja say to hay lolziannnnnnnnnnn kuch ziyaada hi bongi hogayee

Chaahat ka rang tha na wafa ki lakeer thi
Qaatil k haath mein to hina ki lakeer thi

Khush hoon k waqt-e-qatl mera rang surkh tha
Mere laboN pe harf-e-dua ki lakeer thi

Main kaarvaaN ki raah samajhta raha jise
Sehra ki reit par wo hawa ki lakeer thi

Sooraj ko jisne shab k andheron mein gum kia
Mauj-e-shafaq na thi wo qaza ki lakeer thi

Guzra hai shab ko dasht se shaayad wo parda-daar
Har naqsh-e-pa k saath rida ki lakeer thi

Kal uska khat mila k saheefa wafa ka tha
Mohsin har ek satr haya ki lakeer thi

wesay kuch bhi kaho .... magar koi to baat he kahin gusaa to nahi nikaalaa lol

Ye hi Dil tha ke Tarasta tha Marasim ke lye
Ab ye hi Tark-e-Talluk ke Bahaney mange

Mai wo Mehroom ke, jese koi Weerana hoon
Tuu wo Khush-fehm, Kharabon se Khazaney mange

ahem ahem samajh ayaa lolzian :P

chinamanx
06-23-2009, 04:12 PM
Har Baar Mujhe Zakhm-E-Judai Na Dia Kar
Agar Tu Maira Nahin To Mujhe Dikhai Na Dia Kar

Sach Jhoot Tairi Ankh Say Ho Jata Hai Zahir
Qasmain Na Utha, Itni Safai Na Dia Kar

Maloom Hai Ab Tu Rahta Hai Mujhsay Guraizan
Paas A Kay Zindagi Ki Duain Na Dia Kar

Ur Jatay Hain Prinday To Wapis Nahi Atay
Har Baar Prindon Ko Rihai Na Dia Kar ...!!!

OH ZAAAAAAAAAAAALIM KYA BAAT HAY AAPKI .... agar tu m era nahi to mujhay dikhai na diyaa kerr waah waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah wesay i think yay maynay pehlay bhi maara hay :P ahe mahem

wesay iski samajh na ayaaay to pooochlaynaa ahem ahem ....

Soz e gham De K Mujhe Uss Ne Ye Irshaad Kiya
Ja Tujhe Kash-Ma-Kash-e-Dahar Se Azaad Kiya

Wo Karain Bhi Tou Kin Alfaz Main Tera Shikwa
Jin Ko Teri Nigah-e-Lutf Ne Barbaad Kiya

Dil Ki Choton Ne Kabhi Chain Se Rehnay Na Diya
Jab Chali Sard Hawa Maine Tujhe Yaad Kiya

Aisay Main,Main Teray Tajj Takaluf Pe Nisaar
Phir Tou Farmaye Wafa Aap Ne Irshaad Kiya

Iss Ka Rona Nahi Kyun Tumne Kiya Dil Barbaad
Iss Ka Gham Hain Bohat Dair Main Barbaad Kiya

Itna Masoon Hoon Fitrat se, Kali Jab Chatkhi
Jhuk K Maine Kaha, Mujhse Kuch Irshaad Kiya

Meri Har Saans Hai Iss Baat Ki Shahid e Maut
Maine Har Lutf K Mauqay Pe Tujhe yaad Kiya

Mujhko Tou Hosh Nahi Tumko Khabar Ho Shayad
Log Kehtay Hain K Tumne Mujhe Barbaad Kiya

Wo Tujhe Yaad Karay Jisne Bhulaya Ho Kabhi
Humne Tujh Ko Na Bhulaya Na Kabhi Yaad Kiya

Kuch Nahi Iss K siva Josh Hareefon Ka Kalaam
Vasal Ne Shaad Kiya Hijr Ne Nashaad Kiya

chinamanx
06-23-2009, 04:14 PM
Hamare khwab se behter khayal bunta ha
aajeeb shakhs ha pani se jal bunta ha
woh lafz lafz main bunta ha mohjizoon ka wajood
kahanian bhe jo daikho kamal bunta ha
hado k war se bachna mahal ha us ka
jo apne hath se kaghiz ki dhal bunta ha
woh kal k aane ki mutlaq khaber naheen rakhta
jo g k mazi main batoon se hal bunta ha
laboon pe aahni tale laga liye us ne
jo apni soochoon main lakhoon sawal bunta ha
urooj us ki nighaown main kab mohabat ka
mohabatoon ka woh her pal zawal bunta ha

wesay houn to may kamaan ki cheez woh alag baat hay ke yay sher mere liyaay nahi lolzian.....

Wo paani ki Lehron pe kiya likh rahi thi
khuda jane harf-e-dua likh rahi thi

likha jis ne wafa ka karaarl adhura
wohi piyar ki inteha likh rahi thi

muhabbat main nafrat mili thi use bhi
jo wo har shaks ko bewafa likh rahi thi

namaz-e-muhabbat main malaika wo
apne hue the jo sajde qaza likh rahi thi

i hope you know whats malaika ahem ahem farishta lolzian

chinamanx
06-23-2009, 04:20 PM
Teri Aankhon Main Meray Dil Ka Naqsha Ho Bhi Sakta Hai
Jisey Dewaar Samjha Hai Woh, Woh Rasta Ho Bhi Sakta Hai

Zamana Ghor Sey Daikhey Jisey Is Ney KHUDA Samjha Hai
Woh Is Key Haath Ka Pathar Trasha Ho Bhi Sakta Hai

Nazar Sey Door Reh Kar Bhi Kisi Soch Mein Rehna
Kisi Key Pass Rehney Ka Tareeqa Ho Bhi Sakta Hai

Woh Apni Sard Mohri Sey Mujhey Had Mein To Rakhta Hai
Mera Had Sey Guzarney Ka Irada Ho Bhi Sakta Hai

Bhari Dunya Ka Maila Sath Ho To Kon Sii Mushkil
Magar Eik Shakhs Mailey Mein Akaila Ho Bhi Sakta Hai

Yeh Seedhii Raah Par Chalna Khaan Sey Seekh Aaye Ho?
Yeh Rasta Dostii Ka Hai Yeh Ttaira Ho Bhii Sakta Hai

Main Apney Jism O Jaan Ko Sath Rehtey Dekh Kar Samjha
Nibhaana Ho Jisey Mushkil Wo Rishta Ho Bhi Sakta Hai

Machalta Thokrien Khata Huaa Paani Ka Eik Dharaa
Teray Dil Tak Pohanchney Ka Bahana Ho Bhi Sakta Hai

Nikal Kar Band Kamrey Sey Zara Baazar Mein Aao
Agar Tum Daikhna Chaho Tamasha Ho Bhi Sakta Hai

Machalta Thokrien Khata Huaa Paani Ka Eik Dharaa
Teray Dil Tak Pohanchney Ka Bahana Ho Bhi Sakta Hai w ahh waah wesay zaberdasttttttttttt

kahan akay ruknay thay raastay kahan mor tha usay bhool jaa
woh jo mil gaya usay yaad rekh jo nahi mila usay bhool ja

woh tere naseeb ki barishain kisi aur chat pe baras gayn
dil-e- baykhabar meri baat sun usay bhool ja usay bhool ja

main to gum tha terey hi dhiyan main , teri aas tery guman main
saba keh gayi meray kaan main , merey sath aa usay bhool ja

kisi aankh main nahi ashk-e-ghum, terey baad kuch b nahi hai kam
tujhey zindagi nay bhula diya,,tu b muskura usay bhool ja...

kiyon ata hua hai ghubar main, gham-e-zindagi kay fishar main
woh jo darj tha terey bakht main, so woh ho gaya... usay bhool ja

na woh aankh hi teri aankh thi na woh khawab hi tera khawab tha
dil-e-muntazir to yeh kis lye... tera jaagna ... usay bhool ja

yeh jo raat din ka hai khail sa... isay daikh is pe yaqeen na ker
nahi aks koi b mustaqil, sir-e-aina .. usay bhool ja

jo basat-e-jaan hi ulat gaya .. woh jo rastay main palat gaya
usay roknay say hasool kya .. usay mat bula .. usay bhool jaaa

tujhe chaand ban ke milaa tha jo tere saahilon pe khilaa tha jo
wo tha ek dariya visaal ka so utar gaya use bhool jaa!!

chinamanx
06-23-2009, 04:22 PM
Gum sum howa Aaag ka daira tha ju ek shakhs.....
pathar bhe nahi rha sitara tha jo ek shakhs..........
chehron ko bary ghor sey perhta tha jo ek shakhs......
sehraa ke terha derr sey peyaasa tha woh shakhs.......
aey tez hwa koi khaber us k junon ke........
tanha safre e shoq per nikla tha jo ek shakhs.....
abh aakhri sutro mey rhta hey naam us ka......
ahbaab ke fursat mey pehla tha jo shakhs.....
hathon mey chupaey phirta hey kai zakham......
shihsey k khilony sey behlta tha jo shakhs......
mar mar k usey dekhna chahey meri aankhein.....
kuch door jo mujhy chorny aaya tha ek shakhs.....
munkir he abh meri pehchan sey woh mohsin....
akser khat mujhy khoon sey likhta jo ek shaks....

incompleteeeeeeeee .... and WRONGGGGGGGGGGGGGGGGGGGGGGGG let me correct you...
itnay achi cheez ka kachra kerdiyaa :@ :@ :@ momo tum sahi may tar tar ho :P

gum sum hua aawaz ka dariya tha jo aik shaks
pathar bhi nahin ab woh, sitara tha jo aik shaks

shayad woh koi harf-e-wafa dhoond reha tha
chehroon ko baaray ghor say perta tha jo aik shaks

sehra ki tarhan jo daer say piyasa tha woh shayad
badal ki tarhan toot kay jo barsa tha jo aik shaks

aa taiz hawa laa koi khabar us kay janoo ki!
tanha safar-e-shook pay nikla tha jo aik shaks!

aab aakhari sitaroon mein kahein naam hay uska
ahbaab ki fehrist mein jo pehla tha aik shaks

hathoon mein chupaiyay huay phirta hay kahin zakhum
sheeshay kay khiloonoo say behalta tha jo aik shaks

morh morh kay usay dekhna chahiyhein meri aankhein
kuch dorr mujhay choornay jo aaiya tha aik shaks

aab us nay bhi aapna liyay duniya kay kareenay
saye ki rafaqaat say bhi darta jo aik shaks

haarr zehan mein kuch naksh-e-wafa chorr gaya hay
kehnay ko baaray shehar mein tanha tha jo aik shaks

Munkar hay wohi ab meri pehchaan ka mohsin
aksaar mujhay khaat hoon say likhta tha jo aik shaks !!

chinamanx
06-23-2009, 04:24 PM
ye akley pan ke udaseyaan ,ye firaaq lumhy azaab sey...
kabhi dashte e dil pey bhe aa rukein,teri chahaton k qaafly
mey hun tujh ko aziz tar,main ye kesay maan lon ajnabi
teri baat lagti hey weham se,tery lufz lagty hey khab sey...
ye jo mera rang hey roop hey,yun he bey sabab nahi dosto
mere khushbuon sey hey silsaly,meri nisbaty hey gulab se..
wohi motabar hai mery leye,wohi hasile dilo jan hey
wo jo baab tum ney chura leya,meri zindagi ke kitaab sey..

ur 1 was just okie :P

jaate jaate wo muJhe achchhi nishaani de gaya
uMr bhar dohraoonga aisi kahaani de gaya

uss se maiN kuch paa sakooN aisi kahan ummeed thi
gham bhi shaayad wo baraaye meharbaani de gaya

sab hawaaeN le gaya mere samander ki koi
aur muJhko ek kashti baadbaani de gaya

khaiR maiN pyaasa raha, par usne itna to kiya
mere palkoN ki kataroN ko wo paani de gaya

OH ZALIMMMMMM CHINAMANX

chinamanx
06-23-2009, 04:41 PM
Main khod Zameen Hon Magar Zarf Aasman Ka Haii
k Toot kar Bhi Mera Hoosla Chattaan ka haii...

Bura na Maan,meray harf Zehar Zehar Sahii
Main kia karon,Yehii Zaiqa Zabaan ka Haii

Har ik Ghar Pay Musallat hai dil kii Weeranii
Tamam Shehar Pay Saya Meray Makan ka haii

Bichartay Waqt Say Ab Tak Mai Yun Nahi Royaa
Wo Keh Gaya Tha,Yehi Waqt Imteha'an Ka Hai

Musafiro'n ki khabar hai,na dukh hai kashtii Ka
hawa ko jitna bhi gham haii,wo Baadban ka haii...

Jo Barg-E-Zard Kii Sorat Hawa Me Urtaa Haii
Wo Ik Warq Bhi Meri Apni Daasta'n ka Hai

Ye or Baat Adaalat Hai bay Khabar......Warna
Tamam Shehar Me Charcha Meray Bayan Ka Haii

Asar Dikha Na Saka us k Dil Me Ashk Meraa..
Yee Teer Bhi Kisi Totii Hoee Kaman Ka Haii

Bichar Bhi Jaye Magar,Mujhsay Baykhabar Bhi Rahaye
Ye Hosla Hi Kahan Meray Bad Gumaa'n Ka Haii

Qufs To Kher Muqaddar Me Tha Magar
Hawa me Shor Abhi Tak Merii Uraan Kaa Haii...

momal ali
06-23-2009, 10:47 PM
ahem ahem
keya bat hey janab ki shairi ki
very nyc

n thnx 4 da correction :peace:

u know raat k 2 baj rahy they
tu neend mey post kari thi da second last 1

kher aap hey na hamari mishtakes ku sudharny k leye :D
so fiker not :D

kher janab ki terha her ek psot per coments pas nahi kar sakti :D
u know m da kahil n sust 1 :D

aap k 10 din tu kahatm ho gaey

but in future hamary lout k aany k koi chances nahi :D

chalo jub tuk aamna samna hota raha jub tuk kuch na kuch post kerty rahy gay :D

kub ye azyeonton k shumar khatam ho jain khuda jany :rolleyes:

Silsillay Jo Waffa Key Rakhty Hain
Hoaslay Intiha Key Rakhtay Hain

Hum Kabhi Bad-Duwa Nahin Detay
Hum Salikay Duwa Key Rakhtay Hain

Un Key Daaman Bhi Jaltay Daikhay Hain
Wo Jo Daaman Bacha Key Rakhtay Hain

Hum Nahin Hain Shikast Key Qaail
Hum Safinay Jalla Key Rakhtay hain

Jis Ko Jaana Hay Wo Challa Jaye
Hum Diyye Sab Bujha Key Rakhtay Hain

Hum Bhi Kitnay Ajeeb Hain Aey! Dost
Dard Ko Dil Banna Key Rakhtay Hain

momal ali
06-23-2009, 10:56 PM
Dil kabhi surat-e-hallat say bahir na gaya
Mai Mohabbat mai bhi ouqat say bahir na gaya....

Ek tu hai kay hai jahaan bher say ta'aluq tera
Ek mai hon kay teri zaat say bahir na gaya...

Mahrala tujse judayi ka bhi aa pohncha magar
Mai abhi pehli mulaqat sayi bahir na gaya...

Soch koi na teri soch say hut kar sochi
Tazkara koi teri baat say bahir na gaya...

Aao suraj ko batatay hain tamazat kia hai
Chand kya janay yeh khud raat say bahir na gaya......

keya baat hey
dadduzianz esay he shar phenk phen k larkeyon ko impress kerty ho
or phir depress kerty ho
makaar daduzianzzz :D

Janeeta
06-23-2009, 11:42 PM
niceeeeeeeeeeeeeeeeeeeeee awesomeeeeeeeeeeeeeeeeeee

momal ali
06-24-2009, 12:43 AM
oey hoy hoy hoy
kia baat hai
owsummmmmmm :;n1;:

tentu wisho :D

momal ali
06-24-2009, 12:44 AM
i like ur title GHAZAL ALot .. othere wise urz collection is eXcellent

tentu asad :D

momal ali
06-24-2009, 12:45 AM
superb

tentu billingz :cheer:

momal ali
06-24-2009, 12:47 AM
Wow Very nice ... Specially Ye Jo Shairana Andaaz Main Alvida Kaha Great :laugh: ..
Momal Nick Thora Khatarnaak Lagingz, as compare to mahum :laugh:

Xcellent Sharings, By Both Sides China & Mahum Tum DonO Nay Kamal Kardi .. Keep it up!

tentu 4 liking shetan k waqeel :D

chinamanx
06-24-2009, 02:16 AM
yehi acha hai k apas k bharam na tootne paien
kabhi bhi dostoon ko azmaa kar kuch nahi milta

makaar tumnay banaay pay majbooor kerdiya :P kuch to tumhari sohbat ka asar hona baaqi thaa mere raqeeb...

Dosti jisko kahtay hain , bari muskil se hoti hay
fakhat aik baar hoti hay , khaloos-e-dil se hoti hay

theres a sayin MAHUM jee....

U dono wach u got 'til its gone................................... simple english may :

you dont know what you got - until its gone.......untruly urs ...

momal ali
06-24-2009, 12:37 PM
ahaan tu ye baat hey daduzianzzz :1smile1:
comprehensive english :laugh:

esi bhi baat nahi aap sharminda karingz :(
thor bohat english janty hain hum

like
C 4 cat (Tom cat ) :D
H 4 horrible :D
I 4 idiot :D
N 4 naughty :D
A 4 adopted :D
M 4 monky :D
A 4 acter :D
N 4 nonsence :D
x 4 xtra :1smile1:

abh tu aap ko yaqeen aa ha gaya ho ga how intelligent i m :D

or kitni achi terha say waqif hain hum firangeyon ki zaba sey :D

keya arz keron aaj

aap tu aaj shairi tu aaj dosti ko focus keye howey hay :rolleyes:

hmm
tu may aaj shaair k halwaly say kuc arz ker dun keya :1smile1:
kq hoti hay shari n kis leye hum nazmey shagley kehty or bolty hain :D

Lahu se dil k kaghaz pr koi tehreer hoti he

To ahl-e-dil smjhty hain yahi taqdeer hoti he

Tujhy khwabon me aksar log mjhse cheen lete hain

Suna he sare khawbon ki ult taabir hoti he

Yahi chahat ksi ko taaj ki surat nazar aaye

Yhi chaht ksi k paon ki zanjeer hoti he

Wafa ki jung talwaron se jeeti ja nhi skti

K Sachai or mohabbat se hi wafa ki jeet hoti he

Suno ghazlen be- sabab likhi nahi jati

K shaayer k tassavur me koi tasveer hoti he...!

chinamanx
06-24-2009, 02:18 PM
waah waaah kya baat hay aapki rahi baat english ki to woh bhi kamaal hay comprehensive but full of spelling mistakes lol iska matlab tum sawaloo ke jawab to daytii hogii magar phir bhi fail hojaati hogee lolzian.,.... anyways yay shair kahin tumharay ander to nahi ghus gayaa apni roooh ko khungaaalooo larkii ahem ahem

Usay Apnay Farda Ki Fiqar Thi, Woh Jo Maira Waqif-E-Haal Tha
Woh Jo Us Ki Subah-E-Urooj Thi, Wohi Maira Waqt-E-Zawaal Tha

Maira Dard Kaisay Woh Janta, Mairi Baat Kaisay Woh Manta
Woh To Khud Fanah Kay Safar Main Tha, Usay Rokna Bhi Mahaal Tha

Kahan Jao Gay Mujhay Chor Kay, Main Yeh Pooch Pooch Kay Thak Gaya
Woh Jawab Bhi Na Day Saka, Woh To Khud Sarapa Sawaal Tha

Woh Jo Us Kay Samnay Aa Gaya, Wohi Roshni Main Nahaa Gaya
Ajab Us Ki Haibat-E-Husan Thi, Ajab Us Ka Rang-E-Jamal Tha..

Dam-E-Wapsi Yeh Kia Howa, Na Woh Roshni Na Woh Tazgi
Woh Sitara Kaisay Bikhar Gaya, Woh To Apni Aap Misaal Tha

Woh Mila To Sadiyon Kay Baad Bhi Mairay Lab Pay Koi Gila Na Tha
Usay Mairi Chup Nay Rula Diya, Jisay Guftagu Main Kamal Tha.... OH ZALIMMMMMMMM

Woh Mujh Say Mil Kay Ro Diya, Faqat Itna Mujh Say Woh Keh Saka
Jisay Janta Tha Woh Zindagi, Woh To Sirf Wehm-O-Khayal Tha

samajh ayaa it has 2 meanings lol :P dufassss

momal ali
06-24-2009, 08:58 PM
wah wah wah
keya baat hey janab

usay meri chup ney rula deya jisay gufatgo mey kamal tha
1 of may favt :peace:
or may fail nahi hoi lyf may kabhi samjhy :eat:

bus typig mishtake bht kerti hun i know :(

or may pehlay bhi keh chuki hun
shayd aap nay paerha nahi
k mishatke ho gai tu keya :D
aap hey na sudharyny k leye :D

dadduzianzz master ji :D

hum kai mamlat ko apni rooh sey meelon dour rakhty hain :peace:
daduzianzzz :D

so dere is no need 2 khangalingzzz :D

ahem ahem

tu kuch arz bhi ker dun
rooh dil demagh q keya or kesay sochta hey :D
arz keya hey :rolleyes:

Marne ka tere gham mai irada bhi nahi hai
hai ishq magar itna zada bhi nahi hai
hai u k ibadat ki zaban aur hai lekin
kaghaz mere taqdeer ka saada bhi nahi hai
q dekhte rehtay hain sitaro ki taraf hum?
jab un se mulakat ka wada bhi nahi hai
q rah k manzar mai ulajh jati hain aankhain?
jab dil mai koi uar irada bhi nahi hai
q uski taraf dekh kar pao nahi uthtay?
wo shakhs haseen itna zada bhi nahi hai
kis mor pe lai aya hamain hizr-e-musalsal
tahad-o-nagar wal ka wada bhi nahi hai
pathar ki tarha sard hai q ankh ki
Amjad jo bicharne ka irda bhi nahi hai...

momal ali
06-24-2009, 09:04 PM
or like u said about sum unsaid words
is ki bhai kai reason hoti hain :D

or haan har chez may faida mat dekha kero :rolleyes:
esa nahi ho kabhi koi faida he jan leva sabi ho jaey :10:
samjhay :peace:
nahi bhi samjhay tu hamy keya
waqt bohat bara usatad hey itself :10:
sab sekha day ga beta ji :D
ahem ahem :p

Khud apna bharam mujhko mokarnay nahi deta
main dil main teri yaad ko marne nahi deta

sailaab sa rehta hai meri aankhoun main jari
main ashk k dariya ko utarnay nahi deta

rakhta hon dil-o-jan ko yakja teri khatir
ukhri hoe saanso ko bikharne nahi deta

karta hon wohi kaam jo taqdeer ki zid ho
main khud koe kaam sanwarne nahi deta

ye sooch k tabeer ki khawahish na sataaey
main khawaab ko aankhoun se gozarne nahi deta

har rah main raqsan hain kae khouf k saaey
ye khouf he rastay se gozarne nahi deta

hathoun ki lakeroun main kae roop hain Sadi
main khud he koe shakal ubharne nahi deta

ahem ahem
ek or nazam bari intresting lagti hay mujhy :10:
tu janab intresting logon k nazar kerti jaon :10:

ahem ahem safar kii had hai vahaan tak ke kuchh nishaan rahe
chale chalo ke jahaan tak ye aasmaan rahe

ye kyaa uThaaye qadam aur aa gaii manzil
mazaa to jab hai ke pairon mein kuchh thakan rahe

vo shaKhs mujh ko koii jaal_saaz lagataa hai
tum us ko dost samajhate ho phir bhii dhyaan rahe

mujhe zamiin kii geharaaiion ne daab liyaa
main chaahataa thaa mere sar pe aasmaan rahe

ab apane biich maraasim nahiin adaavat hai
magar ye baat hamaare hii darmiyaan rahe

magar sitaaron kii faslen ugaa sakaa na koii
merii zamiin pe kitane hii aasmaan rahe

wo ik sawaal hai phir us kaa saamanaa hogaa
duaa karo ke salaamat merii zabaan rahe..!!

ahem ahem :10:

chinamanx
06-25-2009, 02:48 PM
:ahsaaaaasm:

sudher jaooo larkiii lolziannn

acha kerti ho muamlaaat ko apni roooh se milooo door rakhti ho lol kahin yay meelo ka safar chand kadmo ka safer bangaya to muamlaaaaat dil aur dimaag pay asar ker saktay hay lol

HUM APNI ROOH USK JISM MEIN CHOR AYE FARAZ
GALY SAY LAGNA TO EK BAHANA THA............

aur waah kya baat hay ... marnaay ka meray ghum may irada bhi nahi hay - hay ishq magar itna zayada bhi nahi he..... sochloooo kahin baat marnaay maaraaanaay ki ho rahi hay .... may to ab tak maaraa

nahi kahin tumharay marnay ki baari naa ajayeee lolziannnnnnn..................................... .. anyways thanks for sharin all the blooodyyyyyyyyyyyy info abt me on the chat :D........or by the way har cheez may faida na dekha keruu u mean ... jab maynay tumhay kaha ke tumhara mujhay koi faidaa nahi ......

kya baaaaaaaaaaaaaaaaaaaaat h ayyyyyyyyyyyyyyyyyyy :

woh shaks mujhko koi jaal saaz lagta hay ... tum usko dost samajhtey ho phir bhi dhayaan rahaay ...

tum yay shero shiairi may hi sab kuch kehdaytiii ho lolziannn....

chalo yay sunooo

Basa saktay thay Yaadoon k kaye Chehray kaye Paiker
Mager Kuch Sooch ker hum nay yay dil Veeran rakha hai
Humain Shoq-e-Azeeyyat hai, wagerna is Zamanay main
Teri Yaadain bhulanay ko buhut Saamaan Rakha hai

momal ali
06-25-2009, 11:33 PM
keya bat hey janab ki shairi ki
beautiful janab :smileyshot22:

or mery marny ki boaht jaldi hey kheryat tu hay na :D

lalchi meri mukhatsar c jaidaad per tu nazar nahi rakhi na :D

lalchi daduzuianzzzzz :smileyshot22:

kher ahem ahem :10:

ye sabh tu Allah k ikhteyar may hey daduzianzzzz
dekho jub hukam howa us ka kesay roh frar hoti hey gosht postt k jiasm say :ghost:

kher

kuch arz ker dun janab
aap ki shiri mukhtasar hoti jaing
n meri shairi lengthy hoti jaingz
ajab baat haya keya hoingz ye sab

thak gaya dadu post ker ker k

ya her kisi k bass ki bat nahi beta ji :zpghh:

ahem ahem
kher shairi hamara tu shouq hey is leye hum thaktay nahi :peace:

araz keya hay :D

khak may guzra howa kal dhonda nahi kerty
woh jo palkon sey gira pal,dhonda nahi karty

jis nay kerna ho swal,aap chala aata hey
loug ja ja k tu sayal dhonda nahi karty

ye hain khamosh agar is ko,ghanemat jano
yun hi juzbat mey halchal,dhonda nahi karty

pechay hey khaai tu aagay hay samandar gehra
masla esa hay tu phir hal dhonda nahi karty

ahem ahem :10:

got it haan :10:

momal ali
06-26-2009, 11:16 PM
FalaK Per AiK sitara Reh GaYa hY
Mera Saathi Akaila Reh GaYa hY

Yeh Keh Ker Phir Palat AaYin Hawaein
Shajar Per AiK Patta Reh GaYa hY

Har Ek Rut Mein Tera Ghum hY Salamat
Yeh Mausam AiK JaYsa Reh GaYa hY

HumarY Baad Kya Guzri AzeezOo
Sunao Sheher KaYsa Reh GaYa hY..??

Baras Kuch Aur Aye Aawaara Badal
Keh Dil Ka Sheher Pyasa Reh GaYa hY

KhudaWand Samnbhaal Apni Amanat
Bashar DunYa Mein Tanha Reh GaYa hY

Hawadas Kis LiYe Dhoondein Gain Mujh Ko..??
MerY Daman Mein Ab Kya Reh GaYa hY..??

SitarY Baanta Phirta HoOn Mohsin
Magar Ghar mein Andhaira Reh GaYa hY

momal ali
06-27-2009, 01:07 PM
yaad ki mundairo'n se jagte huwe lamhey
orh kar tera chehra bolte huwe lamhey

karte rehte hain aksar mujhsey guftgu teri
soi soi aankho'n mai jagte huwe lamhey

hijr k jazirey par ab bhi sans laite hain
terey wasl ka imkaa'n sochte huwe lamhey

aik umr tau mainey ye sambhal kar rakkhey
phir bikhar gaye mujhsey tut_te huwe lamhey

kirchi kirchi ye tera aks chunte rehte hain
lamha lamha ye tujhko dhundhte huwe lamhey

kitni khahishain dil mai palti hain magar NAHEED
hath hi nahee'n aatey bhagte huwe lamhey

momal ali
06-27-2009, 01:09 PM
munsifo'n salibo'n par faisley nahee'n hotey
be_sabab baghawat k saan_hey nahee'n hotey

jhoot aur sadaqat ki jang tau azal se hai
phir bhi such k jiney pe hausley nahee'n hotey

sauch kar juda hona, phir k mill na payengey
kyu'n k iss zamane mai moa'jzey nahee'n haotey

jo bhi thai giley shikwe, door kar k jana tha
kam se kam bichherhne par dil burey nahee'n hotey

chaand se kaha ham ne tum hi raat bhar jaago
ham se uski yado'n mai ratt_jagey nahee'n hote

1943
06-27-2009, 01:44 PM
kool

chinamanx
06-27-2009, 02:07 PM
UFF UFF UFF ................ LAJAWAAAB ;)

sauch kar juda hona, phir k mill na payengey
kyu'n k iss zamane mai moa'jzey nahee'n haotey

jo bhi thai giley shikwe, door kar k jana tha
kam se kam bichherhne par dil burey nahee'n hotey

chaand se kaha ham ne tum hi raat bhar jaago
ham se uski yado'n mai ratt_jagey nahee'n hote......................... deadlyyyyyyyyyyyyyyyyyyyy

nice nice nice.... kuch humay bhi kehnay ki ijazet doo ;)

(1)

Haath chootay bhi tau rishtay choda nahin kartay..
waqt ki shaakh say lamhay toda nahin kartay ;
Jis kii aawaaaz main silwat ho nigahon main shikan...
aisii tasweer kay tukday joda nahin kartay ;
Shehad jeenay ka milla karta hai thoda thoda...
jaanay walon keliye dil toda nahin kartay ;
Lag kay sahil say jo behta hai usay behnaay doo...
aisay darya ka kabhi rukh moda nahin kartay!!!............

xxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxx xxxxxxxxxxxxxx (2)

Dost ban kar bhi nahin saath nibhanain wala...
wahi andaaz hai zalim ka zamanain wala ;
Ab ussay log samajhtay hain griftaar mera...
sakht nadim hai mujhay daam main lanain wala ;
Subehdam chor gaya nighat-e-gul ki soorat...
raat ko ghunchay-e-dil main simat aanain wala ;
Kya kahain kitnain marasim thay hamaray us say...
woh jo aik shakhs hai munh phair kay janain wala ;
Tere hotay huay aajatii thi saari duniya...
aaj tanha hoon tau koi nahin aanain wala ;
Muntazir kis ka hoon tootii hoiyee dehleez pay main...
kon aaye ga yahan kon hai aanain wala ;
Kya khabar thi jo meri jaan main ghula hai itna...
hai wohi mujh ko sar-e-daar bhii lanain wala ;
Mein nain dekha hai baharon ko chaman main jaltay...
hai koi khuwab ki taabeer batanain wala ;
Tum takkuluf ko bhi ikhlaas samajhtay ho faraz...
dost hota nahin har haath milanain wala !!!

xxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxx( 3)

Tujh say bichar kay hum bhi muqaddar kay ho gaye...
phir jo bhi dar milla ussi dar kay hogaye ;
Phir youn hua kay ghair ko dil say laga liya...
andar woh nafratain thiin kay bahir kay hogaye ;
Kya log thay kay jaan say badh kay aziz thay...
ab dil say mahw-e-naam bhi aksar kay hogaye ;
Ab yaad-e-yaar tujh say karain kya shikayatain...
ae dard-e-hijr hum bhi tau patthar kay hogaye ;
Samjha rahay thay mujh ko sabhii nasahian-e-shaher...
phir rafta rafta khud ussi kafir kay hogaye ;
Ab kay na intezaar karain chara gar ka hum...
ab kay gaye tau kooy-e-sitam gar kay hogaye ;
Rotay ho ik jazeera-e-jaan ko faraz tum...
dekho tau kitnain shaher samandar kay hogaye....

some of my best 1s.......................

Janeeta
09-11-2009, 09:26 PM
awesomeeeeeeeeeeeeeeeeeeee luv it

momal ali
09-14-2009, 10:36 PM
very nyc daduuuzianzzz keya baat hey aap ki collection ki janab hamary sath reh reh k taste improve ho gaya aap ka bi janab :P

K@IN@@T
09-14-2009, 11:43 PM
ZABARDAST MAHUM SIS AATAY HI CHA GAYI AAP :giveheartmw4:

chinamanx
09-15-2009, 03:51 PM
yay star hay iski roshini nahi hotiii :P jo chah jayaay lolziannnnnnnnn ............

Kya Kismat Hai Meri Kya
Rab Ko Manzoor Hai

Aik Zindagi Hai Meri Jo
Berang Benoor Hai

Har Chahat Adhur
i Har Sapna Adhura

Aik Mohabbat Hai Meri Jo
Mil Kar Bhi Duur Hai

momal ali
09-16-2009, 09:26 AM
lolzzz ye kon c muhabat or koun c doreyoon ki baaty karingz daddu

is umar mey muhabaty wesay bhi raas nahi aati

is leye itna pecha na karo apni so called muhabato ka
grown up child :D

kher keye arz keron kuch shairi sey bi naata toot gaya hey apna lagta hey shayad

dard kii baarish sahii maddham zaraa aahistaa chal
dil kii miTTii hai abhii tak nam zaraa aahistaa chal

tere milane aur phir tere bichhar jaane ke biich
faasalaa rusvaaii kaa hai kam zaraa aahistaa chal

apane dil hii mein nahiin hai us kii maharuumii kii yaad
us kii aankhon mein bhii hai shabanam zaraa aahistaa chal

koii bhii ho ham-safar 'Raashid' na ho Khush is qadar
ab ke logon mein vafaa hai kam zaraa aahistaa chal

MAsooM LArKa
09-16-2009, 12:49 PM
Hey Allah ye kaisa dardnaak thread hai i mean yadon bhara piyaar bhara Ehem Ehem
yaha tu a kar kuch kuch hone lagta hai bhag le maSoom puthar:p

momal ali
09-16-2009, 01:48 PM
Hey Allah ye kaisa dardnaak thread hai i mean yadon bhara piyaar bhara Ehem Ehem
yaha tu a kar kuch kuch hone lagta hai bhag le maSoom puthar:p

lolzzzzzzzzz masoooommm its very funny man bhag ley masoom putar i mean :roflrd0:

acha hey bhagana he aap k leye acha ho ga :10:

but shari ki tareef tu katy kam sey kam :10:

MAsooM LArKa
09-16-2009, 02:08 PM
lolziYannnnnnnnnnnnnnnnn
Chalo Komal ji nahi maham ji itni piyaari bultiful poetry ajtak kabi nahi paari ma ne
apke pass dunya jahan ka nayab tareen khazana-e-shairy jama kiya howa haii
ma apne nawasa nawasiyon k leye sambal kar rahongaaa aur kahonga bachoo ye boht hi piyaari aur nayab poetry apki anty komal ki hai so enjoy :D
ab theek hai naa
:p
ham kisi k armaan ansoo ma behne nahi dety ji sachi

chinamanx
09-16-2009, 05:00 PM
fiker na kero beta jee .... yay asli mohabbat nahi thi :P .............

Yay Sher Zakhmi zaroor hay magar Shikaar kerna nahi bhooola aur aisa wesa shikaar bhi nahi kerings so tumsay mohabaat chal hat .... :P

jo na hua kabhi ek raat ho gaya,
chaand ko suraj se payar ho gya,

Chaand niklaa talash main aur kho gya,
chaand k jatay he aasman udas ho gaya,

suraj to jalta he raha intezar me or aag ho gaya
suraj ki khata se chaand k liye andhera ho gaya

chaand ne ki bewafai or tarron k sath ho gaya
silah milah kuch iss tarah dono pe garehan ho gya

Kartay rahay berukhi hamesha k liye
ek bann gya din aur dusra raat ho gya

(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
09-16-2009, 05:18 PM
beautiful shayri....

chinamanx
09-16-2009, 05:45 PM
fankxxxxxxxxxxxxx khusboooooooo :D

bas kabhi kabhi acha likh dayta hu lolziannnnnnnnn :bangin:

momal ali
09-16-2009, 09:51 PM
chal hat again bola u know my answer NOOOOOOO nahiiii :D
acha may nay kub bola muj sey muhabat haan i jux asked k kis muhabat ki baty hoingz :think:
wesay bi muj sey muhabat lolz muj sey muhabat k chakar mey tu tum parna bi nahi :D
its a friendly advice haan :rolleyes:
werna awein he pagalo ki terha bhatkty sory hop hop kerty raho gey :D
ye tu chor ki darhi mey tinkay wali baat hoi :rolleyes:

baqi rahi baat zakhmi sher ki or us k shikar ki tu best luck zakhmi sher ji :D
hope koi hathni aap k hath lag he jaey :D
kher kuch khari khari suna don aap ki baat k jawab mey keya :rolleyes:

Tu Bhi Naya Naya Mila Hai
Mera Bhi Yeh Pehla Tajarba Hai
Teri Bhi Apni Ek Soorat Hai
Mera Bhi Apna Ek Aiena Hai
Tu Bhi Hai K Sar-e-Furat Piyasa
Mujh Main Bhi To Dasht-e-Karbala Hai
Tu Bhi Koi Parsa Nahi Hai
Mujh Sy Bhi Gunah Hogaya Hai
Tujh Sy Meri Manzilien Alag Hain
Mujh Sy Tera Raasta Juda Hai
Tu Bhi Mujhy Khuab Hi Samajh Ly
Main Ny Bhi To Dar Guzar Kia Hai
Tujh Ko Bhi Neend Aa Gaee Hai
Main Ny Bhi Diya Bujha Diya Hai

K@IN@@T
09-16-2009, 09:56 PM
Zabardast shairy mahum sis

chinamanx
09-17-2009, 07:09 AM
araaay jaooo jaaaoooooooooooooooooooo ..... chor ki daari may tinkaa :P ......

mujhay kheri kherii sunaaaingssssss lol ab meri baari hay :P chal hatttt.... wesay bhi tum kya jawab do giii jawaaab to yaay hay :P

Kucch log sitam karne ko tayyar bethe hain
kuch log magar humpe dil har bethe hain

iss kashmakash main pehchane nahi jate
kahan dushman or kahan dost yaar bethe hain

ishq ko aag ka darya hi samjh li-jiyeh huzooooor
koi iss paar to koi uss paar bethe hain

kon kehta hai k iss sheher main saare hain bewafa
humare samne wafadar do chaar bethe hain

kal tak jinhein hasrat thi humein badnam karne ki
aj wahi log apne kiye pe sharamsar bethey hain

duniya se rooth jane ki khuwahish hai humari
kya karoon iss khuwahish pe pehredaar bethey hai.................. ahem ahem

(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
09-17-2009, 09:14 AM
beautiful......

kal tak jinhein hasrat thi humein badnam karne ki
aj wahi log apne kiye pe sharamsar bethey hain

duniya se rooth jane ki khuwahish hai humari
kya karoon iss khuwahish pe pehredaar bethey hai..................

momal ali
09-17-2009, 01:15 PM

thnaxxxx khushboo janizzzz :0016:

momal ali
09-17-2009, 01:19 PM
Zabardast shairy mahum sis

thnxxxxx kainaaaat janizzz :0016:

momal ali
09-17-2009, 01:30 PM
araaay jaooo jaaaoooooooooooooooooooo ..... chor ki daari may tinkaa :P ......

mujhay kheri kherii sunaaaingssssss lol ab meri baari hay :P chal hatttt.... wesay bhi tum kya jawab do giii jawaaab to yaay hay :P

Kucch log sitam karne ko tayyar bethe hain
kuch log magar humpe dil har bethe hain

iss kashmakash main pehchane nahi jate
kahan dushman or kahan dost yaar bethe hain

ishq ko aag ka darya hi samjh li-jiyeh huzooooor
koi iss paar to koi uss paar bethe hain

kon kehta hai k iss sheher main saare hain bewafa
humare samne wafadar do chaar bethe hain

kal tak jinhein hasrat thi humein badnam karne ki
aj wahi log apne kiye pe sharamsar bethey hain

duniya se rooth jane ki khuwahish hai humari
kya karoon iss khuwahish pe pehredaar bethey hai.................. ahem ahem

DADUUU i swear tum pagal ho gaey ho lol buzurgoo aaj kal ki generation sey panga nahi haan :sword:

dekho abhi sey pagalao wali baty karingzzzzz :D

dil par ley li baaty hamari keya aao nay :17:

duniya se rooth jane ki khuwahish hai humari
kya karoon iss khuwahish pe pehredaar bethey hai.............

lolzzz is sher ke matalab keya hay hamy samjh do dhang sey :17:
ye pehray daaron k mey ney aath aath (8) aaany ki supari di na tu ghadri kar jaey gey tum sey :17:
mar jao gey merya hathon sey tum :D
m giving u sum tym abhi bhi mouqa hey bhag ley beta :D
werna esay peray daron k bharosey rahy tu mary jao gey :17:

kher pagal daduuzianzzzz ek nazam aap jesay pagal k naam :D

arz keya hey :omg:
ahem ahem

Pyar kay deep jalanay walay khuch khuch pagal hotay hain
apni jaan say jaan sey walay khuch khuch pagal hotay hain

Hijar kay gehray zakham milay to mujh ko yeh ehsaas hua
pagal ko samjhaanay walay khuch khuch pagal hotay hain

jaan say piyare logoon say bhi kuch kuch pardah lazim hai
saari baat bataanay waalay khuch khuch pagal hotay hain

khaaboon main bhi piya milan ke sapne dekhtay rehte hain
neendoon main muskaney wale kuch kuch pagal hotay hain

iss jhooti naggri main hum nay yehi hameshaa dekhaa hai
sachi baat bataanay waalay khuch khuch pagal hotay hain

piyaar jinhain ho jaaye un ko chain bhalaa kab miltaa hai?
shab bhar ashk bahane walay kuch kuch pagal hotay hain

apni zaat se ujhray gulshan se wo piyar kahan karte hain?
auroon ko mehkanay walay khuch khuch pagal hotay hain

us kay ishq main bheeg kay 'wasiq' hum ko yeh ehsas hua
Dil ki baat main aane walay khuch khuch pagal hotay hain

ahem ahem :D

chinamanx
09-17-2009, 03:18 PM
mu hahahahaha . old one which i posted -----

meri billi mujhi ko meowwwwwwwwwwww...................... kher mujhseee gadaari to koi karna sakaay haan shayad .... tumhay gadaaarooo ka pata ho lollllllllllllllllllllllllllll..... kher tum jo itnay parr maar rahiii ho na :P un parooo ko jornaa aur kaatnaa aataa hay bachooo ---- kher tum saabun say nahaaanay walaay log kya jaanoo :p humaray mulk may ataniyaa nahi hotiii wesay supari kaunsiii dogee i like FANOOOS :) ahem ahem i specially ask sum1 2 get frm pakiland .... acha yay batao athani lol chorrr .................. tum dost ho ya raqeeeeeeeeb !!!

wesay is nazm pay daaat wasiqqq bhai ko dayniii chaiyaay waaah waaah coz tum to pehlay say hi pagall ho aur mujhay batanaay ki zaroorat nahi ........tum behter samajhti ho ..... chalo en nazm-e-ahem ahem sunooo

kuchh to ehasaas-e-ziyaaN thaa pehle
dil ka ye haal kahaaN thaa pehle

ab to manzil bhi hai Khud garm-e-safar
har qadam sang-e-nishaaN thaa pehle

safar-e-shauq ke far_sang na puuchh
waqt beqaid-e-makaaN thaa pehle

ye alag baat ki Gam raas hai ab
is mein andeshaa-e-jaaN thaa pehle

yuun na ghabraaye huye phirte the
dil ajab kunj-e-amaaN thaa pehle

ab bhi tuu paas nahiin hai lekin.....
is qadar duur kahaaN thaa pehle.....

Dere Daale hain bagolon ne jahaaN
us taraf chashm-e-ravaaN thaa pehle

ab vo dariyaa na bastii na vo log
kya Khabar kaun kahaaN thaa pehle

har Kharaabaa ye sadaa detaa hai
main bhi aabaad makaaN thaa pehle

kya se kya ho ga_ii duniyaa pyaare
tuu vahiin par hai, jahaaN thaa pehle

ham ne aabaad kiyaa mulk-e-suKhan
kaisaa sun_saan samaaN thaa pehle

ham ne baKhshi hai Khamoshii ko zubaaN
dard majabuur-e-fuGaaN thaa pehle

ham ne roshan kiya maamuur-e-Gam
varna har simt dhuaaN thaa pehle

Gam ne phir dil ko jagaayaa 'Nasir'
Khaanaa_barbaad kahaaN thaa pehle

chinamanx
09-17-2009, 03:19 PM
beautiful......

kal tak jinhein hasrat thi humein badnam karne ki
aj wahi log apne kiye pe sharamsar bethey hain

duniya se rooth jane ki khuwahish hai humari
kya karoon iss khuwahish pe pehredaar bethey hai..................

thanks khusbooo but just beautilicioussssss .... iwas expectin fabolicioussssss.......... :P :NoTaLlOw:

momal ali
09-17-2009, 03:44 PM
hum ney kabhi aapni jaga reserve ki hey nahi tu koi keya ley ga hamai jaga beta ji :D

or agar hey bi koi tu best of luck laly di jaan :handshake:

Zara_Ansu
09-17-2009, 03:45 PM
V niCe MahUn sis :khob:

chinamanx
09-17-2009, 05:10 PM
lolziannnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnn yay kya baat hui .......................... yay to koi bura mana gaya aur hathyaaaaaaaar daaalnay wali baat hogayeee lol acha chalo kuch acha suna ta hu tumhay

ab teri yaad se wehshat nahi hoti mujhko
zakhm khulte hain aziyat nahi hoti mujhko

ab koi aaye,chala jaye main khush rehta hon
ab kisi shaks ki aadat nahi hoti mujhko

aesa badla hon tere shehr ka paani pee kar
jhoot boloon to nadamat nahi hoti mujhko

hai amaanat mein khayaanat,so kisi ki khatir
koi marta hai to hairat nahi hoti mujhko

itna masroof hoon jeene ki hawas mein Mohsin
saans lene ki b fursat nahi hoti mujhko . . .

momal ali
09-17-2009, 06:13 PM
aap ko kis ney bola k hum ney bura mana ya hathyar phenka haan ye zaror hey i always admited da realities n accept dem :rolleyes:

Bana Gulab To Kante Chuba Gaya Aik Shakhs
Hua Chirag To Ghar Hi Jala Gaya Aik Shakhs

Tamam Rang Mere Aur Sare Khoawab Mere
Fasane Thay Ke Fasana Bana Gaya Aik Shakhs

Mein Kis Hawa Mein Uron Kis Fiza Mein Lehraon
Dukhon Ke Jaal Har Su Bhicha Gaya Ail Shakhs

Mohabbaton Ne Kissi Ki Bhula Rakha Tha Isse
Mille Who Zakham Ke Phir Yaad Agaya Aik Shakhs

Khula Yah Raaz Ke Aaina Khaana Hai Duniyaa
Is Mein Mujhay Tamasha Bana Gaya Aik Shakhs

momal ali
09-17-2009, 06:16 PM
chill man n b happy :rolleyes:

momal ali
09-17-2009, 06:31 PM
Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya
woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya

kuch din to mera aks raha ayeena naqsh
phir yoon huwa k khud mera chehra badal gaya

jab apnay apnay haal pay ham tum na reh sakay
to kiya huwaa jo ham say zamana badal gaya

kadmon talay jo ret bichi thi woh chal pari
us nay churaaya haath to sehra badal gaya

koi bhi cheez apni jageh par nahin rahi
jaatay hi aik shakhs kay kiya kiya badal gaya

ik sarkhoshi ki moj nay kaisay kiya kamal
wo be niaaz saara ka saara badal gaya

uth kar chala gaya koi wakfay kay darmiaan
parda utha to saara tamaasha badal gaya

hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay
baaton main apni baat ko kaisay badal gaya

kehnay ko ik sehan main deewar hi bani
ghar ki fiza makaan ka naqsha hi badal gaya

shaayad wafa kay khel main uktaa gaya tha woh
manzil kay paas aakay jo rasta hi badal gaya

qayem kisi bhi haal pay dunyaa nahin rahi
tabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya

manzar ka rang asal main saaya tha rang ka
jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya

andar kay mosaamon ki khabar us ko ho gayee
us no bahaar naaz ka chehra badal gaya

Ankhon main jitne ashaq the jugnoo se ban gaye
woh muskuraaya aur meri dunyaa badal gaya

apni gali main apna hi ghar dhoondtay hain log
hanzala yeh kon shehar ka naqsha badal gaya

~ Bikhre Lamhe ~
09-17-2009, 07:23 PM
Beautiful sharing and fight guys keep it up

from ma side for u both

Use yaad na aye hum par us ne haamin bholaya nai
khushiyan na de paye haamin par khabi rulaya nai

Mana k door ha muj se par dil k buhat paas ha wo
Pas reh kar bi pas aa kar khabi behlaya nai

Suljhata tha baal us k jab hota tha wo paas mere
Ab jab door ha muj se tu khud ko bi khabi suljhaya nai

Wo samajhta kyun nai k ha use koi buhat chhahne wala
Chupta phirta ha wo muj se par samne khabi wo aya nai

Mere dil mein chupe pyar ko wo dekh kyun nai pata ?
main ne tu aaj tak khabi kisi se kuch chupaya nai

~ Bikhre Lamhe ~
09-17-2009, 07:32 PM
Bhol kar bi bhola nai sakte
Our hum tuj ko pa nai sakte

Khud pe ilzaam dhar liya hum ne
Tuj pe tuhmat laga nai sakte

Dil pe likha ha youn tera naam
Chah kar bi mita nai sakte

Us ne dunia bhola kar rakh di ha
Hum tu lab bi hila nai sakte

Bhol jate hain rooz wo ye keh kar
Hum tum ko bhola nai sakte

chinamanx
09-17-2009, 10:56 PM
aap ko kis ney bola k hum ney bura mana ya hathyar phenka haan ye zaror hey i always admited da realities n accept dem :rolleyes:

Bana Gulab To Kante Chuba Gaya Aik Shakhs
Hua Chirag To Ghar Hi Jala Gaya Aik Shakhs

Tamam Rang Mere Aur Sare Khoawab Mere
Fasane Thay Ke Fasana Bana Gaya Aik Shakhs

Mein Kis Hawa Mein Uron Kis Fiza Mein Lehraon
Dukhon Ke Jaal Har Su Bhicha Gaya Ail Shakhs

Mohabbaton Ne Kissi Ki Bhula Rakha Tha Isse
Mille Who Zakham Ke Phir Yaad Agaya Aik Shakhs

Khula Yah Raaz Ke Aaina Khaana Hai Duniyaa
Is Mein Mujhay Tamasha Bana Gaya Aik Shakhs

kuch khayaall kerooo larkiii .... :P hum dono aisay cartooon hay jaisay tom n jerry inki replacement nahi hay lolzioannnnnnnnnnnnnn:;party:

not bad yaar wesay ............ repeatation kyun hoings lolziannnnnnnnnnn

Ae Dost tu lajaawaaab hay tujhay phooolo ki lya zaroorat - tu khud gulaab hay............

Dil ki chokhat pe eik deep jala rakha hai
Tere laut aane ka imkaan saja rakha hai

Saans tak bhi nahi lete hai tujhe sochte waqt
Humne is kaam ko bhi kal pe utha rakha hai

Rooth jaate ho to kuch aur haseen lagte ho
Humne yeh soch ke hi tum ko khafa rakha hai

Tum jise rota hua chhorr gaye they ek din
Humne us shaam ko seeney se laga rakha hai

Chain lene nahi deta yeh kisi taur mujhe
Teri yaado ne jo tofaan utha rakha hai

Jaane wale ne kaha tha ke woh laut aaye ga zaroor
Ek isi aas pe darwaaza khula rakha hai

Tere jaane se jo ek dhool uthi thi ghum ki
Humne us dhool ko aankho me basa rakha hai.....!

Ghuncha
09-17-2009, 10:58 PM
Great Sharing

chinamanx
09-17-2009, 11:04 PM
Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya
woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya

kuch din to mera aks raha ayeena naqsh
phir yoon huwa k khud mera chehra badal gaya

jab apnay apnay haal pay ham tum na reh sakay
to kiya huwaa jo ham say zamana badal gaya

kadmon talay jo ret bichi thi woh chal pari
us nay churaaya haath to sehra badal gaya

koi bhi cheez apni jageh par nahin rahi
jaatay hi aik shakhs kay kiya kiya badal gaya

ik sarkhoshi ki moj nay kaisay kiya kamal
wo be niaaz saara ka saara badal gaya

uth kar chala gaya koi wakfay kay darmiaan
parda utha to saara tamaasha badal gaya

hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay
baaton main apni baat ko kaisay badal gaya

kehnay ko ik sehan main deewar hi bani
ghar ki fiza makaan ka naqsha hi badal gaya

shaayad wafa kay khel main uktaa gaya tha woh
manzil kay paas aakay jo rasta hi badal gaya

qayem kisi bhi haal pay dunyaa nahin rahi
tabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya

manzar ka rang asal main saaya tha rang ka
jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya

andar kay mosaamon ki khabar us ko ho gayee
us no bahaar naaz ka chehra badal gaya

Ankhon main jitne ashaq the jugnoo se ban gaye
woh muskuraaya aur meri dunyaa badal gaya

apni gali main apna hi ghar dhoondtay hain log
hanzala yeh kon shehar ka naqsha badal gaya

waaaaaaaaaaaah waaaaaaaaaaaaaah waaaaaaaaaaaaaaaah

kher to hay .... lagta hay kitaab saath layker gayee ho ahem ahem

wesay humdono dushman hi achaay hain kya kehtiii hoo ....... (".)

Sama'at kho chuka tha kiya usay sada daitay
Yahi bohat tha kay yah waqeya bhula daitay

Humaray ikhtiyaar main hota gar ye sanam
Tere khatoot kiya teri tasweer bhi jala daitay

Na dushmni bhi saleeqe say ho saki tum say
Diya tha aas ka hum ek baar hi bujha daitay

Yahi bahut hai ke khud ko sambhal kar rakha
Hum unko mil b jo jatay to woh ganwa daitay

Jo apni zaat main dhoka aur faraib the chanda
Woh humain kaisay wafa ka koi sila daitay

chinamanx
09-17-2009, 11:05 PM
bikhre lamhay and ghunchooooooooo thankumsszzzzzzzzzzzzzzzzzzz

magar is baandri ko samjhaoooooooooooo :P @ mahum

~ Bikhre Lamhe ~
09-18-2009, 03:01 AM
ChinaaaMix Long Time Man Where The Hell You Been ?

nafrat si hone lagi ha muje apni hi muhabbat se
kuch is terah jhuki nazron se muje mere eahsas mile hain

ek sadi k baad apne armaanon se phir rubaroo howa houn
magar aaj bi muje wo sare badbad mile hain

momal ali
09-18-2009, 05:57 AM
thnx a lot ghun n bikhry lamhy :0017:

momal ali
09-18-2009, 06:06 AM
ahem ahem keya baat hay keya shairi arz ki hay pheenay wah wah beautiful janab :peace:

Humaray ikhtiyaar main hota gar ye sanam
Tere khatoot kiya teri tasweer bhi jala daitay

esi baty na kaero ek delete par click karna hota hey aaj kal tu :10: so its not a big deal boss :peace:

or haan ye bandri samjhny wali nahi u better know haan :rolleyes:

so mery samjhny k imkaan nahi hey ab ki baar janaa :peace:

kher kuch arz kerti chalon keya khayal hey :rolleyes:
ye bus hazri laga k chali jaon :10:

ahem ahem

Sakoot-e-jaan ka matlab batado phir chalay jana
Ya phir sargoshian dil ki suna do phir chalay jana

Jo mera aur tumhara waqt guzra hansnay ronay may
Usay puri tarha se tum bhulado phir chalay jana

Ye saray pair poday tum bin kai raat jagay hai
Tum aakay ek baar inko sulado phir chalay jana

Kisi ko chahne ka aur kisi se chahay janay ka
Jo hai ahsaas tum usko bhulado phir chalay jana

Bus ik murda hansi se apnay ashko ko chupanay ka
Jo fun aata hai tum ko, wo sikhado phir chalay jana

Wo jo ik lafz-e-ulfat hai, juda hai apnay maani se
Bus in alfaz-o-mani ko milado phir chalay jana

Jo kehte kahte ruk gaye, un sari bato ki
Sama'at ko talab hai wo suna do phir chalay jana

Na janay q hai lakin dekhne ki tum ko aadat hai
Meri ye be-waja aadat chura do phir chalay jana

Merey in roz-o-shab ka ek fakat unwan bus tum ho
Mujhe tum doosra unwan lado phir chalay jana

Pyar ki koshish, ay Khuda, na jaayein raayegaan
Mujhe is sabr ka kuch phal dila do phir chalay jana..

~*Gillanii
09-18-2009, 08:17 AM
:o .. Bht Shairi Ki Chor Di, Dil Nahi Manta Is Taraf Murnay kO .. :o

Read Sura'h Ash Shu'ara .. Kya Giraftar-e-Azaab Hain Hum, Allah Muaf Karay..

momal ali
09-18-2009, 08:25 AM
:o .. Bht Shairi Ki Chor Di, Dil Nahi Manta Is Taraf Murnay kO .. :o

Read Sura'h Ash Shu'ara .. Kya Giraftar-e-Azaab Hain Hum, Allah Muaf Karay..

keya howa sooli bhai shairi q chor di aap tu khud shairi kerty they :think: ab esa keya howa ?

!~*AdOrAbLe*~!
09-18-2009, 08:29 AM
v nice....:)

chinamanx
09-18-2009, 02:07 PM
ChinaaaMix Long Time Man Where The Hell You Been ?

nafrat si hone lagi ha muje apni hi muhabbat se
kuch is terah jhuki nazron se muje mere eahsas mile hain

ek sadi k baad apne armaanon se phir rubaroo howa houn
magar aaj bi muje wo sare badbad mile hain

...........................................

not badd oi herooo tu hay kidher aur yay kiskii pic hay lolllllllllll on ur siggy lollllllllllll tu nahi teri nunny nunny khwahishaaay m here .... u tell what u been up 2 ! :(;punk;):

chinamanx
09-18-2009, 03:04 PM
Sakoot-e-jaan ka matlab batado phir chalay jana
Ya phir sargoshian dil ki suna do phir chalay jana

Jo mera aur tumhara waqt guzra hansnay ronay may
Usay puri tarha se tum bhulado phir chalay jana

Ye saray pair poday tum bin kai raat jagay hai
Tum aakay ek baar inko sulado phir chalay jana

waaah waaaaaah ............ kya baaaaaaat hay .... sochlo ek baar agaayaa na to tumnay jaanaay nahi dayna lolziannnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnn ...... humari qurbateinn bara imtehaaan layti hay lol....... wesay aaj kal lagta hay tumhari collection achi ho rahi hay ................ kher chalo chorooooooooo

Ye ajeeb marhale hain ye ajeeb silsile hain
k jahan se hum chale the us mor pe chale hain

wohi raasta hamara hai wohi dagar hamari
jo na jaaye manzilon tak ye wohi to raasta hai.

rahe saath saath har pal na gumaa'n hoa ye mil kar
jisey dosti jo kehtey wo kuch or silsile the.

ye khawab to nahi hai koi sarab to nahi hai
zara ap hi batain ye jo hum main faasle hain.

nahi mumkin us ko paana to phir us se kyun milain hum
karain justujoo bhi kyun hum is soch main parain hain.

tere naam zindegani hai ye meri kahani
meri zindagi main roshan teri yaad k diye hain.

meri qurbatoo'n se pehle zara juratoo'n se pehle
meri jaan soch lena k ye raaste kare hain...........

CHULBUL! $! NANHI PAR!
09-18-2009, 03:20 PM
nyc poetry :D

momal ali
09-18-2009, 03:25 PM
meri shairi or mey tu shuro sey he munfarid rahy hey aap ab realize ker rahy hay :D

anyways aap ki shairi b hamary company mey reh k imrove ho he gai ilke it :D

chinamanx
09-18-2009, 04:03 PM
whatevaaa apnay muuu miyaa mithuuuuuuuuuuuu by the way nice siggyyyyyyyyy.......... issay dekh ker mujhay meri bulgarian gf yaad ajaaati hay :( peechay say aisay hi lagti thiii i mean hay lolzian

momal ali
09-18-2009, 04:09 PM
tum or tumhari girl frndz ki lambi list :D

kher as i ve already said k munfarid logo k munfarid shairi n ab munfarid siggi jalo nahi phenay :D

momal ali
09-19-2009, 10:12 AM
daduuu so u r man of ur words :fish:

ek kaam kaha tha woh woh abi keye deta hon :fish:

10 din ho gaey koi pata nahi kaam ka :fish:

ye hey aap k words us tym keh rahy they k abi karingz :0001:
ye hoty hay man of words :0001:

is leye kehti hon zada uchla na kaero tang turwa lo gay :rolleyes:

chalo apni apni raey hoti hey aap na bhi kuch farman jari kar dey :D

koi bat nahi agar woh jhoota he tha tu :D

men hamesh jhoot ka shara lety haiy :D

cyx itni jaga panga leya hota hey k un ka jhoot boly bina guzara he nahi hota :peac:

m i right :rolleyes:

kher arz kerny aai thi keya baat ley k beth gai :rolleyes:

Kiyoon Na Hum Uss Ko Ussi Ka Aaina Ho Kar Milein
Bewaffa Hey Woh To Uss Ko Bewaffa Ho Kar Milein

Talakhiyon Mein Na Dhal Jayein Wasl Ki Uktahatein
Thakk Gaye Ho To Chalo Phir Se Juda Ho Kar Milein

Pehli Pehli Qurbaton Ki Phir Uthayein Lazzatein...
Aashna Aa Phir Zara Hum Na Aashna Ho Kar Milein

Aik Tu Hey, Sar Se Paa Tak Hey Saraapa E Inkisaar...
Log Woh Bhi Hein Jo Bandon Se Khuda Ho Kar Milein

Maazrat Ban Kar Bhi Uss Ko Mil Hi Saktay Hein Adeem
Yeh Zaroori To Nahi Uss Ko Sazaa Ho Kar Milein.......

(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
09-19-2009, 10:30 AM
beautiful shayri mahum sisooo.... aur super sigggiiiii.....

chinamanx
09-20-2009, 03:50 AM
janaaab jo kaam jahaan na kar sakey shaitaaan - insaan ke bachaay waha do teen hi bohat hay lolziannn

kaam hogayaa hay :P shayad aap thoray slow hay lolllllllllllllllllllllllllllllllllllllllllllllll kher men hamesha jhoot ka sahara laytaay hay magar jhoot say faidaa nahi uthaataay jaisay womens kerti hay :P ahem ahem ....,,, aaj arz bhi kerti ho aisay lagta hay ke khanjer haath may hay :P anyways chaand mubarak :P and eid mubarak in advance lolziannnn

Jab Se Mohabbat Ki Raah Se, Hum Door Door Ho Gaye
Hum Bewafaa Ke Naam Se, MashHoooor Ho Gaye

Chorr Di Humne....... Jis Din Se Teri Gali.......
Bad Nasebi Mil Gayee, Khushiyo'n Se Door Ho Gaye

Teri Nigaah Mein Ab Talak, Basey Huwe Hain Aaj Bhi
Apni Nigaah Mein Girkar, Hum Chur Chur Ho Gaye...

Dekh Charchey Uski Wafa Ke , Aur Teri Bewafai Ke MOHSIN....
Wo Kaise Mash Hoor Ho Gayi, Tum Kaise Mash Hoor Ho Gaye.....

xxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxx

tumnay waah waah to zaroor ki hogiii ;) Golmatoool

chinamanx
09-20-2009, 03:54 AM
beautiful shayri mahum sisooo.... aur super sigggiiiii.....

wesay kabhi larkooooo kaa saath bhi dediyaa kertaay haynnnnnnnnnnnn :( koi haal nahi kasmaay fiker na kerooo larkaay aksar minatttooo say maaan jaataaay hay lolziannn..... tum abhi kachi ho iska matlaab larko manaaana to larkio ke liyaay aisa hay jaisay Aloo cheeel na :P .... abhii momo tar tarr say hi pooochlooooooooooooo

(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
09-20-2009, 04:44 AM
:lol: very nice chini mini :D

momal ali
09-20-2009, 07:22 AM
j

Jab Se Mohabbat Ki Raah Se, Hum Door Door Ho Gaye
Hum Bewafaa Ke Naam Se, MashHoooor Ho Gaye

Chorr Di Humne....... Jis Din Se Teri Gali.......
Bad Nasebi Mil Gayee, Khushiyo'n Se Door Ho Gaye

Teri Nigaah Mein Ab Talak, Basey Huwe Hain Aaj Bhi
Apni Nigaah Mein Girkar, Hum Chur Chur Ho Gaye...

Dekh Charchey Uski Wafa Ke , Aur Teri Bewafai Ke MOHSIN....
Wo Kaise Mash Hoor Ho Gayi, Tum Kaise Mash Hoor Ho Gaye.....

xxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxx

tumnay waah waah to zaroor ki hogiii ;) Golmatoool

wah wah wah keya bat hey janab aap ki but yaha abi wafa k qisa a e safina par qadam he kis nay rakha hey :p

abhi safar baqi hey dost :D
abi sey natejay par mat poncho :peace:

momal ali
09-20-2009, 07:30 AM
wesay kabhi larkooooo kaa saath bhi dediyaa kertaay haynnnnnnnnnnnn :( koi haal nahi kasmaay fiker na kerooo larkaay aksar minatttooo say maaan jaataaay hay lolziannn..... tum abhi kachi ho iska matlaab larko manaaana to larkio ke liyaay aisa hay jaisay Aloo cheeel na :P .... abhii momo tar tarr say hi pooochlooooooooooooo

hmmm is baat ka keya matlab howa k aloo cheelna momo sey pocho

hmm i mean ye matalb k alloo ko knife ley kar kesa cheela jaey :rolleyes:

ya phir tum aloo ho or tum maery hathon chil chukay ho :rolleyes:

ya momo ki frenchfries k factory hey or m da xpert 1 :rolleyes:

ye ye k tum putt chukkey ho mery hathon OOPs:

zra wazaht kar deaty tu achi baat thi :D

u know mujhy college may frnfz tubelight keh k bulati thie
woh tube light zra der mey julti hey na zra jal bujh k fluctuate ker k :(

is terah mujhy foran baat samjh nahi aati zra dear baad samj aaingz zra bata dena wots da meaning
of allo chany ki chaat wali statemnet k :rolleyes:

or haan eid muarak aap ko bhi bohat zada :D

momal ali
09-20-2009, 07:36 AM
larky bhi bohat sary face wash or mask apply kerty hey atleast mask tu mey nay kabhi apply nahi kara like u :p pehly apna aap dekh lo phir bola kero :p rahi bat mery makeup ki tu mujhy makeup k bina he zada compliments milty hey han jub khud ka mood ho sajny sanwarny ka jub he thora bohat makeup kerti hun :d APNI MARZI K LEYE :p
APNI ZAAT K LEYE HAN :peace: chalo bhago mask or face wash waly daddu :laugh:

Mujhey darya nahi likhna,mujhey sehra nahi likhna
Tasallsul se safar main hoon, mujhey thehra nahi likhna

Purani rabton ki raakh ab tak dil main baqi hai
Meri jalti hatheli par naya wada nahi likhna

Ana se jeet kar usko agar jo mainey khoya hai
Mera noha nahi likhna mera naghma nahi likhna

Bisat-e-zindagi ki aakhiri sarhad pe khara hoon
Mujhey fateh nahi likhna mujhey mohra nahi likhna

Tumhari aankh main agar main kabhi chup chaap jal jaow
Tum apni aankhon main laiken mera sadma nahi likhna

Gawahi apnay dil se lo tumhara dil kiya kehta hai
Mujhey jhoota nahi likhna mujhey sacha nahi likhna

May uski yaad may gum hoon ke apne aap may gum hoon
Mujhey mehfil nahi likhna mujhey tanha nahi likhna

May apney lafzoon se shohrat tumhey de jaonga ik din
Mujhey mashhoor na karna mera charcha nahi likhna

Ye na ho tum kabhi us ko mitaa na chaho..na mittay
Mujhey apna samajh lena magar apna nahi likhna

Meri aankhon may baatein hay magar chehray pe gehri chup
Meri aankhein to likh dena mera chehra nahi likhna

Kahin aisa na ho meri kasak us dil main reh jaye
Mera dukh dard likh dena magar gehra nahi likhna

chinamanx
09-20-2009, 10:16 AM
OH ZALIMMMMMMM..................

aap nahi aapki baatein ...........wesay bhi samajahdaar ko ishara hi kaafi hota hay .... maynay allooo cheelnay ka isliyaay kaha ke minnatttein kerna seekhooooooooooooooo lolziannnnnnnnnnnnnnnnnnnnnn :P by the way thanks i hope tum samajh jaoo gee lolziannnnnnnn

Zakhm-E-Dil Ko Gulab Kya Likhun,
Chahaton Ke Azab Kya Likhun,

Apni Aukaat Se To WaaQif Hoon,
Khud Ko Mehtaab Kya Likhun,

Kis Ke Hisse Mein Ayein Tabeerein,
Kis Ke Ujde Hain Khwab Kya Likhun,

Jisne Likha Hai Zindagi Mujhko,
Uske Khat Ka Jawab Kya Likhun,

Sadme Pehle Bhi Seh Liye Hai Magar,
Ab To Toota Hai Ataab Kya Likhun,

Tishnagi To Na Bujh Saki,
Kitne Aaye Saarab Kya Likhun..

CHULBUL! $! NANHI PAR!
09-20-2009, 10:23 AM
waah waaah kia poetry hai waah waaah :1:

momal ali
09-20-2009, 10:31 AM
keya bat hey naya siggi new avatar or jo end ka sher hey wah wah wah i mean keya baat kar di mohsin uncle ney wah wah kher abi jo aap ney azr keya dat 1 is also beautful
eid kesi jaingz
thx kis baat ka
Oh formalities may pary howey hey daduzianzzz its ok :D

chinamanx
09-20-2009, 10:43 AM
formal jaga may formal hona parta hay meray jal kukerr ... dekhlo tumahri sohbat ka kuch to asar hona tha lolziannnnnnnn .................... by the way eid isnt goin with family so kinda borinnnnnnnnnnnnnnn as i think u might be havin the same answer to the question of eid ! how bat ur GULABOO lol

chinamanx
09-20-2009, 10:44 AM
waah waaah kia poetry hai waah waaah :1:

thankum jeeeeeeeeeeeee kabhi garoor nahi kiya na kernay diya lolzian

momal ali
09-20-2009, 11:09 AM
ji same here tumhy bewi bachon ki yaad satatingz tu un k pass q nahi :p

chinamanx
09-20-2009, 11:18 AM
haan soch raha hu meri bachooo ki ama ko kuch kehi dooooooooooooun lolziannnnnnnnnnn

momal ali
09-20-2009, 11:22 AM
eid waly din bachy miss ker rahy hon gay apnya pOps ko :(

chinamanx
09-20-2009, 01:15 PM
bachooo ki mom bhi miss kerings :)

momal ali
09-20-2009, 10:28 PM
bachon ki amma bi aap ko missing karingz tu bula lety unhey apny pass
ya aap khud chaly jaty kanjoos kahi k :rolleyes:

kher eid tu guzar he gai jesay tesay ker k sabhi ki :D

mera demgh kafi OUT hey is leye zada baty na karon tu acha hey
werna awein he anaab shanaab likh jaon gi yaha :rolleyes:
i mean gussey mey hon or eid waly din bachy ko
dantny ka mood nahi :D

is leye arz kerna he munasib rahy ga :rolleyes:

Ae Merey Fan ke Parisstaar Tujhe kiya maloom.
Kitne dukh sehta hay fankar tujhe kiya maloom.

Kitni Raatoon ki lahoo pee ke nikarti hay ghazal.
Kaise ham Likte hain Asha'ar tujhe kiya maloom.

Raat jab Jashn-e-charagha may magan thi dunia.
Kown rooiya Pass-e-Deewaar tujhe Kiya Maloom.

Iss chaman may jisse ham apni fizza kehte hain.
sans lenaa bhi hay dushwaar tujhe kiya maloom.

Qadar-o-qeemmat mere dil sokhtaa armaanoo ki.
Mere Khoshioon ke Kharidaar Tujhe kiya maloom.

Tu tamaashai nahi khel main shaamil hay magar.
Teraa Hay Kown Saa Kirdaar Tujhe kiya Maloom

chinamanx
09-21-2009, 04:05 AM

Dimag out hay baba kyun !! anyways WAAH WAAH OH ZALIM KYA BAAT HAY MAGAR

Yeh bhi Adab tumhary hein tumhein kia maloom
hum tumhein jeet k harein hein tumhein kai maloom

kher kuch humsay bhi sunaay huzooor :P magar abhi nahi 1st i will reply ur mail .........

wicked sonya
09-21-2009, 04:28 AM
v v v nyc

K@IN@@T
09-21-2009, 02:04 PM
Ae Merey Fan ke Parisstaar Tujhe kiya maloom.
Kitne dukh sehta hay fankar tujhe kiya maloom.

Kitni Raatoon ki lahoo pee ke nikarti hay ghazal.
Kaise ham Likte hain Asha'ar tujhe kiya maloom.

Raat jab Jashn-e-charagha may magan thi dunia.
Kown rooiya Pass-e-Deewaar tujhe Kiya Maloom.

Iss chaman may jisse ham apni fizza kehte hain.
sans lenaa bhi hay dushwaar tujhe kiya maloom.

Qadar-o-qeemmat mere dil sokhtaa armaanoo ki.
Mere Khoshioon ke Kharidaar Tujhe kiya maloom.

Tu tamaashai nahi khel main shaamil hay magar.
Teraa Hay Kown Saa Kirdaar Tujhe kiya Maloom

zabardast mahum sis

chinamanx
09-21-2009, 02:11 PM
lamha-e-wisal mere zaat ka hasil tha mujhe maloom na tha,
waqt-e-faraq tere ankh main ansoo tha mujhe maloom na tha,

jis shaks ko hansanay k liye main umar bar roya hoon,
woh chup chup kar har lamha roya hai mujhe maloom na tha,

main jis kai liye khud ko fana kar daita woh to,
meri baqa ka talabgar tha mujhe maloom na tha,

main us ki naraazgi ko khatam karta lekin,
woh shaks mujh say rutha hai mujhe maloom na tha,

na us ke labo'o par koi shikwa tha na thi koi shikayat,
yeh khamoshi tufaan ki qasid thi mujhe maloom na tha,

main us ki aankhon main apni zaat samo daita lekin,
tha koi basa us ki ankhon main mujhe maloom na tha,

main sochta tha aksar q jhuk jati hai nigahain us ki,
main us ka gunahgar tha mujhe maloom na tha,

us ki zulfoon say mera rabta aisa tota kai ab,
main umar bar tadpoon ga mujhe maloom na tha........

MAHUM JEE ur good but aint the BEST :P

K@IN@@T
09-21-2009, 02:16 PM
v nice poetry

chinamanx
09-21-2009, 02:18 PM
v nice poetry

thankshhhhhhhhh:scooter:

momal ali
09-21-2009, 02:19 PM
lamha-e-wisal mere zaat ka hasil tha mujhe maloom na tha,
waqt-e-faraq tere ankh main ansoo tha mujhe maloom na tha,

jis shaks ko hansanay k liye main umar bar roya hoon,
woh chup chup kar har lamha roya hai mujhe maloom na tha,

main jis kai liye khud ko fana kar daita woh to,
meri baqa ka talabgar tha mujhe maloom na tha,

main us ki naraazgi ko khatam karta lekin,
woh shaks mujh say rutha hai mujhe maloom na tha,

na us ke labo'o par koi shikwa tha na thi koi shikayat,
yeh khamoshi tufaan ki qasid thi mujhe maloom na tha,

main us ki aankhon main apni zaat samo daita lekin,
tha koi basa us ki ankhon main mujhe maloom na tha,

main sochta tha aksar q jhuk jati hai nigahain us ki,
main us ka gunahgar tha mujhe maloom na tha,

us ki zulfoon say mera rabta aisa tota kai ab,
main umar bar tadpoon ga mujhe maloom na tha........

MAHUM JEE ur good but aint the BEST :P

KEYA BAAT KAR DI I MEAN M SPEACHLESS BEAUTIFULLLLL JANAB
REALLY DA BEST 1 EK EK SHER WORTH RAKHAT HEY AWESUM DADUUZIANZZZ
AAJ TU JANAB JAAN NIKAL K LEYE GAEY AAP :p
bohat hey khubsuraat :rose5wd:

momal ali
09-21-2009, 02:27 PM
Ae Merey Fan ke Parisstaar Tujhe kiya maloom.
Kitne dukh sehta hay fankar tujhe kiya maloom.

Kitni Raatoon ki lahoo pee ke nikarti hay ghazal.
Kaise ham Likte hain Asha'ar tujhe kiya maloom.

Raat jab Jashn-e-charagha may magan thi dunia.
Kown rooiya Pass-e-Deewaar tujhe Kiya Maloom.

Iss chaman may jisse ham apni fizza kehte hain.
sans lenaa bhi hay dushwaar tujhe kiya maloom.

Qadar-o-qeemmat mere dil sokhtaa armaanoo ki.
Mere Khoshioon ke Kharidaar Tujhe kiya maloom.

Tu tamaashai nahi khel main shaamil hay magar.
Teraa Hay Kown Saa Kirdaar Tujhe kiya Maloom

zabardast mahum sis

thnx a lot kainat janizzz :0016:

momal ali
09-21-2009, 04:31 PM
Zaahir kissi Soorat Bhi kahii Naam Naa karna.
hain Loog bohut khaas hamein aam na karna.

Jaaney ki ijaazzat tuo Dieye detey hain lekin.
Rastey main kaheen ate hoye sham na karna.

kuch Roz se ye Haal hay furqat main tumhare.
baikaar parrhey rehhney koyyi kaam na karna.

ham bhi Naa Dikaayenge Sar-e-raah garibaan.
tum bhi meri wa'adoon ko sar-e-aam na karna.

iss shart Pey Hay tark-Ke-Ta'alooq ki ijaazzat.
Bad-naam Zamaney main mera naam na karna.

badnam na karna hame iss shehr-e-wafa main.
Mash-hoor kaheen pyaar ka paigham na karna.

yaadoon ka nasha hosh urrha deta hay arshad.
saaqqi sey kaho saamney abb jaamm na karna.

life2
09-21-2009, 09:43 PM
nyc.?ALll

"Mohabbat Main Haar Jane Par Log Naseeb Ki Baat Karte Hain...
"AJNABI"...Kabhi Khuda Say Mohabbat Ki Hoti To Ye Shikayat Na Hoti".......

momal ali
09-22-2009, 07:51 AM
tentu lyf sis :addab:

(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
09-22-2009, 12:12 PM
beautiful.....

K@IN@@T
09-22-2009, 05:56 PM
Zaahir kissi Soorat Bhi kahii Naam Naa karna.
hain Loog bohut khaas hamein aam na karna.

Jaaney ki ijaazzat tuo Dieye detey hain lekin.
Rastey main kaheen ate hoye sham na karna.

kuch Roz se ye Haal hay furqat main tumhare.
baikaar parrhey rehhney koyyi kaam na karna.

ham bhi Naa Dikaayenge Sar-e-raah garibaan.
tum bhi meri wa'adoon ko sar-e-aam na karna.

iss shart Pey Hay tark-Ke-Ta'alooq ki ijaazzat.
Bad-naam Zamaney main mera naam na karna.

badnam na karna hame iss shehr-e-wafa main.
Mash-hoor kaheen pyaar ka paigham na karna.

yaadoon ka nasha hosh urrha deta hay arshad.
saaqqi sey kaho saamney abb jaamm na karna.

zabardast mahum sis

chinamanx
09-22-2009, 09:45 PM
wesay waah waah kya baat hay kya kehdiyaa :P nice 1 mahum jee keep it up

Chup chup k muhabbat ko na badnaam kiya jaye
jo kaam kiya jaye sar-e-aam kiya jaye...

ye dil k teray baad behalta hi nahin
ab tu hi bata kesay isay araam kiya jaye

ye to meray harfon ka taqaaza he meri jaan
jo shair likha jaye teray naam kiya jaye...

kya faaida phir aisi jawaani ka ke jis mein
jab sooch samajh ker hi har kaam kiya jaye...

MAHUM ye dunya to hey baazaar ki soorat
hey kis ko khabar kal kisey neelaam kiya jaye.........

momal ali
09-23-2009, 12:00 AM
ahem ahem keya baat hey janab bohat khubsurat osum ...lekin last mey aap tu direct hum sey mukhatib ho gaey hum tu ghabra he gaey qasam sey :gaz:

but janab kuch bady badly hay kahi woh tu yaad nahi aaingz woh jo aap ko miss karingz :laugh:

esay badly bady lehjy per ek gahzal yaad aaingz us ka pehla sher kuch yun tha

keya hey peyaar jisey hum ne zindagi ki terha
woh ashna bhi mila hum ko ajnabi kei terha

hello boss kisi ney mara hey ya koi lafra shafra howa hey tu tell me haan :D
CUX YE SHERNI NA TU ZAKHMI HE OR NA BHOOKI HEY :D
hamy batao hum usey sirf bhaga bhaga k mar dey gey sary jungle mey :laugh:

kher down down keyun :1smile1:
hum aap ka souda nahi kary gey dun worry :laugh: :laugh:
sorry han mujhy msti charhi hey waha shayad aap sach much mey upset shayad :OOPs:

chalo moood theek kero or taza kalam mulahiza fermao :shy:

ahem ahem :shy:

Aag Hou to jallnney main dair kitnii lagatii hai.
barff ke pigghalaney main dair kitnii lagatii hai.

chaahe koi rukk jaaye chaahey koyi reh jaaye.
qaafiloon ko chalney main dair kitnii lagatii hai.

chahe koi jaisa bi ham saffar ho sadiyoon say.
raasstaa badall-ney main dair kitnii lagatii hai.

ya to vaqt ke bas main hai ke kitni mohlat dey.
varna baKht Dhakne mainn dair kitnii lagatii hai.

moum kaa baddan lekar dhuup main nikal aana.
awar phir pigghalney main dair kitnii lagatii hai.

soch ki zameenoo main raastey judaa hoon to.
duuur jaaa nikhalnney main deir kitni lagatii hai.

last 1 samjh aaya souc ki zameno main rassty judaa hon to
dur ja nikalny mey der kitni lagti hey :peace:
very well said hope u agreed :peace:

chinamanx
09-23-2009, 12:51 PM
[B][SIZE="3"]lolzian ............ kasam se pooora ROCKET ho lolzian ... anyways pehlay yaay batao tum jaanwar ho mujhay to pata nahi tha kasam say lolz pehli sherni dekhi hay jo shikar kernay ke bajyaay bhagana pasand keray ge lolzian .... kher baraay kehtay hay maaraaaay huay se bhagaya behtar ......................

momal ali
09-23-2009, 01:10 PM
keya bat hey faraz chachu ki very nyc haan

bhaga bhga k nahi tu kik out kar kar k tu nadhal keya ja sakta hey as i already kiked u out a moment ago :D

ahem ahem zada tu nahi lai na daduzianzzz :D

or mujhy rocket q bola :D
kis khushi mey :D
tum titanic douby howy jahazzzzzzzzzzz :laugh:
:laugh:

every night in my dreames i c u lolzianzzz kamabhakhta jazhaaz kate ko ley dooba lolzainzzz
kher abhi tum mey itna housal nahi k hamy dhamka sako khud\kash hamly ki jackets nahi milti tu besti prrof jacket kaha sey lay aaon dafa ho jao larky :smileyshot22:

aap ko sher pasand nahi aaey jan kar dukh howa abh sara jaahan tu tum ney par chukey ho ab mey keya karo bhala
r:i-hit-u:

kher ek or koshsih sahi lolzzz as u apprciate mey tryzianzzzz lolz :smileyshot22:

arz keya hey zara ghour sey perhna daduzainzz :peace:

Sholaa-e-ishq bujhaanaa bhi nahin chahta hai,
vo magar Khud ko jalana bhi nahin chahta hai,

uss ko manzoor nahin hai meri guumraahi bhi,
aur mujhey raah pe lana bhii nahin chahta hai,

sair bhi jism ke sehra ki Khush aati hai magar,
der tak Khaak urraanaa bhii nahin chahta hai,

kaise uss shaKhs sey tabeer pe israar karein,
joo koi Khwaab dikhaana bhi nahin chahta hai,

apne kis kaam mein laayega batata bhi nahin,
ham ko auro pe ganvana bhi nahin chahta hai,

mere lafzo mein bhi chupta nahin paikar us ka,
dil magar naam bataana bhi nahin chahta hai,

chinamanx
09-23-2009, 01:27 PM
WAAH WAAH WAAAH ........ oH ZALIM really nice hahaha

uss ko manzoor nahin hai meri guumraahi bhi,
aur mujhey raah pe lana bhii nahin chahta hai,

kaise uss shaKhs sey tabeer pe israar karein,
joo koi Khwaab dikhaana bhi nahin chahta hai,

apne kis kaam mein laayega batata bhi nahin,
ham ko auro pe ganvana bhi nahin chahta hai,

nice nice .....

momal ali
09-23-2009, 01:34 PM
tentu tentu :D AHEM AHEM

aap kahy or hum kuch acha share na kary how is dis possible :rolleyes:

chinamanx
09-23-2009, 03:36 PM
thankyou bachayyyyyy itni izzat kaa jaoo tumhay azaaaad kiya..... koi model pakroo aur shaadi kerlo by the way ... model ko urdu may namoona kehtaay hay meri vocab may .....

kher jo may likhings u nay suna hoga but ek do lines mashoor hay chand logo nay siggies may bhi use ker rakhi hay ....

Agar tum apnay honay ki gawahi de nahi saktay ...
Tu behter hay key phir pooray yaqeen key saath mer jaoo

Chalo Uss Ka Nahi ALLAH Ka Ihsan Letey Hain ...
Woh Minnut Sey Nahi Mana Tu Mannut Maan Letey Hain

Hum Apni Bey sarosamaniyan Ejad Kerney Ko ...
Tujhey Jan e Tamanna Kiyon Zaroorut Jan Letey Hain

Kayi Mad e Muqabil Tu Ye Sun Ker Har Jayein Gay ...
Key Hum Maftooh Ki Sari Sharayit Maan Letey Hain

Mohabbut Zindagi Tehri Tu Phir Iss Ki Zamanut Kya ...
So Tum Sey Ehd Kertey Hain Na Kuch Peeman Letey Hain

Na janey Hum Shanasayi Key Kis Alum Mey rehtey Hain ...
Tumhari Ajnabiyut Sey Tumhey Pehchaan Letey Hain

Bata Kya Unn Key Eman Ki Saza Bhi Koi Rakhi Hay ...
KHUDAWAND Jo Tujh Ko Ehtiyatun Maan Letey Hain!

momal ali
09-23-2009, 04:16 PM
Oh hello Boss kon c qaid or kon c ijazat
haum kabhi apny aap k qadi nahi rahy
tu ye tum jesa dawey daar k qiadi keyun or kesay ho gaey :D

khushfemyaaan achi hey but ye galatfehmeyaa na ban jaey boss :peace:
kher meri shadi ki fikeer aap na kary abba hazour :D
bohat hey is baat ki fikar karny waly so stay out of my way in dis metter :peace: lolzz

kher arz karna tha kuch yaha :rolleyes:

Kaheen tum apni qismat ka likha tabdeel karletey.
Tu shaaied ham bhi apna Rasta Tabdeel karletey.

Agar Ham waqayi kam-hosla hote muhabbat main.
Maraz barrhne se pehle hi Dawa tabdeel karletey.

tumhaare saath chalne par jo dil raazi nahi hota.
Buhoot Pehle ham apnaa faislaa tabdeel karletey.

tumhein in mosamoo ki kia khabar milti agr ham bi.
Guthan ki Khowf se Aab-o-hawa tabdeel karletey.

Tumhari tarha jeeney ka hunar aata tu pir shaied.
Makaan apnaa wahi rakhte pata tabdeel karletey.

Judaayi bhi naa hooti zindagi bhi sehel hoo jaati.
Jo ham aik doosrey sey Maslaa tabdeel karletey.

Hamesha ki tarah is baar bi ham bol uthey warna.
Gawaahi deney waaley waaqiaa tabdeel karletey.

Bohut dundla gaia yaado k rim-jhim may dil-e-saadha.
Woh mill jata tu Ham ye Ayiena Tabdeel karletey.

life2
09-23-2009, 04:59 PM
v...lovley........sopper

momal ali
09-23-2009, 05:07 PM
tentu tentu lyf 2 :;shyy:

darkness_shine
09-23-2009, 05:13 PM
Nice Poetry parh kar bohot acha laga :haaaappy:

chinamanx
09-23-2009, 05:18 PM
waah waaaah wahhhh...

Tune dekha nahi aainay ke aagay kuch bhi…
Khud-parasti mein kahi tu na gawaa de mujhko!!!! lolziannnnnnnnnnnn .... wesay fantaaaaaaaanastic thi :P

kher kuch khaas dil nahi kerings ..... chalo yay lo... aish kerooo

Yunhi besabab na phira karo--koi shaam ghar bhi raha karo
Wo ghazal ki sachi kitaab hai--usay chupkay chupkay padha karo

Koi haath bhi na milaaye ga - jo galey milo gai tapaak say
Yeh nayee mizaaj ka sheher hai - zara faasley say mila karo

Kabhi husn parda nasheen bhi ho--toh zara aashiqaana libaas mai
Jo mai ban sanwar kar chala karun--meray saath tum bhi chala karo

Mujhey ishtehaar si lagti hain--yeh mohabbaton ki kahanian
Ju kaha nahi wo suna karo--jo suna nahi wo kaha karo

Nahi bai-hijaab wo chaand sa - ke nazar ka koi asar na ho
Usay itni garm-e-shauq say - badi der tak na takka karo

Yeh khizan ki zard shaam mai - jo udaas paidh kay paas ho [ paidh = tree ]
Yeh tumhaarey ghar ki bahaar hai - isay ansouon say harra karo

Abhi raah mai kayee modh hain--koi aayeega koi jayeega
Tumhein jis nay dil say bhula dia - usay bhoolnay ki dua karo....

momal ali
09-23-2009, 05:28 PM
hmm dat was jux okeazz :rolleyes:
or weaay bhi mujhy samjh nahi aaingz k baat key kahna chah rahy hey shair sahab :(
ye shayd roman rudu is lil bit difficult :(

chinamanx
09-23-2009, 05:32 PM
bus soch kuch tumhari tarah hi likh dun lolziannn tumhariii bhi samajh nahi ayiii beta jeee .....

momal ali
09-23-2009, 05:35 PM
Oh tu ye inteqaami karawai thi lolzz acually m watchin very intresting movie so shayad dhnag sey focus ker k nahi parhi i mean attention is divert on movie at da same tym
tum ney meri asan wali nazam ko bhi mushkil bandeya :smileyshot22:

chinamanx
09-24-2009, 01:29 AM
Chehrey pe gard peiroN meiN safar hai ke nahi hey
tu deikh ke meri manzil pe nazar hai ke nahi hey!

jaa apney leeye dhoondh ley kisi ahl-e-mehal ko
naa jaaney meri qismat mein ghar hai ke nahi hey

terey paas heiN abhi aur dard to wo bhi mujhey dey
naa pooch ke mujh meiN aur sabar hai ke nahi hey

meri neendeiN to mar chuki heiN rat'jagoN ke haath
terey khaaboN ko bhi koi aesa dar hai ke nahi hey!

ye soch ke ley aya hooN meiN jungle sey kuch jugnu
naa jaaney ab qismat meiN sehar hai ke nahi hey

tu deikh mera shaoq, meri shikastoN ko na deikh
peroN taley terey ghar ki dagar hai ke nahi hey!

maaNga hey tujhey Rab sey ke ik zid si hey kab sey
dekhooN tu meri duaoN mein asar hai ke nahi hey!..........

momal ali
09-25-2009, 12:49 PM

Osum Osum n Osum Sohneyoooo :D

very nyc 2 b very honest very very very nyc :goodpost:

MAsooM LArKa
09-25-2009, 01:03 PM
Spamming Kam ho jaye tu boht achi collection chal rahi hai:p

Wah janab ab kis kis ki tareef karo sab apni misal app hai
Lajwab

momal ali
09-25-2009, 01:06 PM
woh bulaayein to kia tamasha hoo.
hum na jayein to kia tumasha hoo.

yeh kinnaaroon se khelney waaley.
dhoob jaayein to kya tamahsa hoo.

banda parwar jo hum pe guzzri hai.
hum bataayein to kia tamahsa hoo.

aaj hum bhi teri WAFAAWOON par.
muskarayein to kyaa tamahsa hoo.

teri Soorat joo ittiffaaq sey humm.
bhool jayein to kyaa tamahsa hoo.

waqt ki chand saa'atain SAAGAR.
lawt aa'ain to kiyaa tamahsa hoo.

chinamanx
09-25-2009, 02:56 PM
woh bulaayein to kia tamasha hoo.
hum na jayein to kia tumasha hoo.

yeh kinnaaroon se khelney waaley.
dhoob jaayein to kya tamahsa hoo.

banda parwar jo hum pe guzzri hai.
hum bataayein to kia tamahsa hoo.

aaj hum bhi teri WAFAAWOON par.
muskarayein to kyaa tamahsa hoo.

teri Soorat joo ittiffaaq sey humm.
bhool jayein to kyaa tamahsa hoo.

waqt ki chand saa'atain SAAGAR.
lawt aa'ain to kiyaa tamahsa hoo.

TOOOOOOO GOOOOD not bad ..... untouchable....

woh phir na ayein to kia tamasha hoo.
zakhm phir ubhar jayein to kya tamahsa hoo.

yeh Wafaaoun se khelney waaley Yahaan.
bina bateye mar jaayein to kya tamahsa hoo.

banda parwar jo hum pe guzzri hai.
kisi roz bataayein to kia tamahsa hoo.

LOLZIANNNNNNNNNNNNNNNNNNNNNN ...... aur bataooo champa kalii kidher ghum hooo

Pal pal kaise guzarta hai tumhe kya maloom?
Pal pal qayamat hai tumhe kya maloom!

Furkat ke lamhon mein na jeete hain na marte hain
tum saath ho to sa'adat hai tumhe kya maloom!

honton pe na tabassum na aankhon mein khushi
utra huva chehre ki ye rangat hai tumhe kya maloom!

tanhaiyon mein aksar baatien karte hai tumse
is kadar aap ki kurbat hai tumhe kya maloom!

lambe safar par nikal pade hai tanha
ye haunsla e raghbat hai tumhe kya maloom!

kaun bhala saath nibhata hai yahan
chand lamhon ki rifaqat hai tumhe kya maloom!

milna humara to taih hai ek na ek din
woh jalwa e haseen mulaakaat hai tumhe kya maloom!

Chhhaya kaisa khumar hai khud se begane huye hai
barson ki yeh chaahat hai tumhe kya maloom!

aise ehsaas ki deewangi maar daalegi Sameer....
mehsoos phir lamhaat ki lazzat hai tumhe kya maloom .........

momal ali
09-25-2009, 03:26 PM

[/QUOTE]

very very nyc tumhy keya maloom .... ?
vesar hamy sab maloom hey chachu :D :zpghh:
or ye chamapa kali kaha hey :1smile1:
hmmm mey yaha hun yaha hun yaha hun yaahaa :P
ABHI BHI NAZAR NAHI AAI KEYA HUh HUh :smilestar:

momal ali
09-25-2009, 03:49 PM
Oh apni shairi arz karna tu bhool gai :D
ahem ahem arz keya hey :rolleyes:

toota zaroor hoga bicharrne ke baad woh.
Tarrpa zaror hoga bicharrne ke baad woh.

kehta nahi kisi se magar jaante hain ham.
rooya zaror hoga bicharrne ke baad woh.

phailaa ke apne gird tasaawir or khutoot.
Bikra zaroor hoga bicharrne ke baad woh.

Rato k sayen saayen may tanhayio k bich.
jaaga zaror hogaa bicharrne ke baad woh.

Utt-tey qadam hamari taraf roktey hoye.
Uljha zaroor hoga bicharrne ke baad woh.

har zakham ka illaaj masihaayei main nahi.
samjha zaror hoga bicharrne ke baad woh.

chinamanx
09-25-2009, 04:19 PM
waaaaah waaaaaaaaah ..... phailaa ke apne gird tasaawir or khutoot.
Bikra zaroor hoga bicharrne ke baad woh.,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

ahem ahem.... hosh may aoooo ::::: *ChinamanX slapping MAHUM on her right cheek with his left hand* mu h ahah

Ashaar Mere YuuN To Zamaane Ke Liye Hain
Kuchh Sher Faqat Unko Sunaane Ke Liye Hain

Ab Ye Bhii Nahiin Theek ki Har Dard Mitaa dien
Kuchh Dard Kaleje Se Lagaane Ke Liye Hain

Aankhon mein jo bhar loge to kaanton se chubhenge
Ye Khwaab to palakon pe sajaane Ke Liye Hain

DekhuuN tere haathon ko to lagataa hai tere haath
Mandir mein faqat deep jalaane Ke Liye Hain

Socho to badi cheez hai tehzeeb badan ki
Varnaa to badan aag bujhaane Ke Liye Hain

Ye Ilm kaa saudaa, ye risaale, ye kitaabien
Ek shaKhs ki yaadon ko bhulaane Ke Liye Hain

momal ali
09-25-2009, 05:53 PM
tumhara keya khayal hey k tum mujhy slap kero or mry chup chaap bethi rahon gi :hm:
kon khushfehmi mey betho ho dadauu u stupid :uare:

ju mey ney kuch kaha tu rony lag jao gey bachon ki terha :D
is leye Boss zada free nahi hony ka
or kher as m already said k mujhy kuch kehny wala
abhi is dunya mey warid nahi howa
tu hoshmmey aao daduzianzz D
zada hope hope nahi :D
werna kunwey mey gir dun gi :D
phir sari umar hop hop kerty rehna i mean uchlty rehna or budhy ho jana :D
mey aaon gi phir kabhi us kunwey per tumhary naam ka katba lagany :laugh:
or ye kis ko bhulany ki baty hoingz last mey
bata dun aunty ko :D
mar khao gey apni charo beveyon sey :laugh:

momal ali
09-25-2009, 06:18 PM
Oh phir bhool gai irshad kerna (irshad chutti par gaya hey :( )
lolz chalo phir arz kerty jaey :laugh:

Wo yaksr mukhtalif he munfarid pehchan rakhta hay.
aik aayinney ki sooratt sheher ko heiraan rakhta hay.

kooyi iss main bhi hogi mantaqq phooch leingey ham.
Bahaaroon main wo khaali kis lie guldaan rakhta hay.

ye dil yaadoon se bar jata hay aksar sard rato main.
Ye Kamra sardiyoon main garam Aatishdan rakta hay.

har ik aahat pe akhir kio dharrak jaataa hay dil mera.
abhi tak kiya terey aaney ka kuch Imkaan rakta hay.

faqqat tum apney dil ko roo rahey ho aaj tak saajid.
woh apney khelney ke or bhi mayidaan rakta hay

K@IN@@T
09-25-2009, 06:22 PM
woh bulaayein to kia tamasha hoo.
hum na jayein to kia tumasha hoo.

yeh kinnaaroon se khelney waaley.
dhoob jaayein to kya tamahsa hoo.

banda parwar jo hum pe guzzri hai.
hum bataayein to kia tamahsa hoo.

aaj hum bhi teri WAFAAWOON par.
muskarayein to kyaa tamahsa hoo.

teri Soorat joo ittiffaaq sey humm.
bhool jayein to kyaa tamahsa hoo.

waqt ki chand saa'atain SAAGAR.
lawt aa'ain to kiyaa tamahsa hoo.

gr8 mahum sis

chinamanx
09-26-2009, 03:13 AM
tumhay aankh maaru gaa to marjaoo geee lolziannnnnnnnnnnnnnnnnnnnnn kya baat kehdi hay huzooooooor

har ik aahat pe akhir kio dharrak jaataa hay dil mera.
abhi tak kiya terey aaney ka kuch Imkaan rakta hay.

faqqat tum apney dil ko roo rahey ho aaj tak saajid.
woh apney khelney ke or bhi mayidaan rakta hay............

maydaaaaaaaaaaaaan ahem ahem samajh ayaa ke nahi ...... yaa abhi bhi is khiladi ke khel say waaqif nahi hui :P

Gungunatey Huye Aanchal Ki Hava Day Mujh Ko
Ungliyaan Pheir Kar Baloun Mein Sula Day Mujh Ko

Jiss Tarah Faaltu Guldaan Parey Rehtey Hein
Apney Ghar Key Kisi Koney Sey Laga Day Mujh Ko

Yaad Kar Key Mujhay Takleef Hi Hotti Ho Gi
Eik Qissa Houn Purana Sa Bhula Day Mujh Ko..

Doubtey Doubtey Aawaz Teri Sun Jaoun
Akhri Baar Tu Sahil Sey Sada Day mujh ko ...

Main Tery Hijar Mein Chup Chap Na Mar JAoun Kahein....!!!
Chal dil ki gehraaiii se Baddua de mujh kooo...........

momal ali
09-26-2009, 04:59 PM
wah wah keya baat hey daduzianzzz
dil ki gehari sey badua lolzz
keya baat hey janab ahem ahem nyc 1 haan :rolleyes:

kher tum kaha gayab hoingz aaj :(
daduzianz kunwey mey finally gir tu nahi gaey :OOPs:
phir tu mujhy ana pary ga katba lagany marhoom :laugh:

or han ye shair hey sony k leye sleeping pills q nahi use karty :rolleyes:
itni taraqi kar li hey dunya nay na us ka abba aany dey na shair soey :laugh:

any ways arz keya hey wesay dis 1 is da simplest 1 :D

zara si baat pe har rassam thorrh aaya tha.
Dil-e-Tabaah ne bhi kiya mizzaaj paaya tha.

Muua'af kar naa saki meri Zinndagi Mujjh ko.
wo aik lamha ke main tujh se tang aaya tha.

Shaguffta Phool Simmat kar kali Bani jaisey.
Kuch is tarah se Tu ney badan churaya tha.

Pata naheen keh mere baad unn pey kiya guzri.
main chand khwab zamane main chorr aaya tha.

momal ali
09-26-2009, 05:03 PM
thnx dear kainat janiz :0016:

chinamanx
09-26-2009, 07:04 PM

lol tumhay kaunsi baduuua lagnay waali hay lolzian tumharaay naam ka namaaz-e-jaanaza ke nafal par loun lol utnaa hi kaafi hay mahina beemar pari rahoo gee ahem ahme :$ may kahan gaib huaaan huu.... tumhari harkeetein ... mujhay gaib kerdaytiii hay ... kuch zayada hi simple hogaya tumhara sherr :P :but-but-but:

chalo chorooooooooooooo maynay socha break laytaay hay or koi kaam nahi kya jo forums pay khwaringss lollllllllllllll

K@IN@@T
09-26-2009, 07:05 PM
u always welcome mahum sis :thanx:

chinamanx
09-26-2009, 07:12 PM
araay meri baari to reh hi gayee lolzian :P mazloom qaum ye looo : mashriqiii pakistan lolzian

Mujhey Ye Zid nahi mere Gallay ka Haar ho jao
Akela Chor dena , tum jahaan Be-zaar ho jao

Bohat Jaldi Samajh mein aany lagtey ho Zamane ki
Bohat Aasaan ho, thoray Bohat dushwaar ho jao

Mula-qaakto mein wafa is liye hona zaroori hai
Ke tum ik Din Judaaee ke liye Tayaar ho jao... ahem ahem

Main Kesi Chal chalta, Dhoop ke Sehra Se aya hoon
Bas ab Esa karo , Tum Saya-e-Dewaar ho jao

Tumhary paas denay kay liye jhooti Tasali ho
Na Aaye Esa Din , Tum isqadar Nadaar ho jao

Tumhy Maloom ho jaye ga Kesay Ranj Sehtay hain
Meri itni Duaa hai Kaash tum Fankaar ho jao!! OH ZALIMM

wesay u to fankaar pehlay say hoo lollllllllllllll

life2
09-27-2009, 11:18 PM
nyc.....momal..

Aankhain Hamari Namm He Rahi
Wo Tapakta Raha Aanso'on Ke Tarah

chinamanx
10-01-2009, 03:52 PM
XXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXX XXX

Mohhabat Ka ghum hota bohut Hai,
K ab Ye Lafz Bhi Ruswa bohut Hai,

Udasi Ka Sabab Main Kiya Bataon?
Gali Kochon Mein sannata bohut Hai,

Na milne Ki qasam Kha K Bhi Main Ne,
Tujhe Har Raah Mein dhunda bohut Hai,

Ye Aankhein Aur Kiya Dekhein Kisi Ko,
Inn Aankhon Ne tujhe Dekha bohut Hai,

Na Jaane Kyun Bacha Rakhe Hein Aanso,
Shayid mujhe Rona bohut hai,

Tujhe maloom To hoga mere humdum,
Tujhe Aik Shakhs Ne Chaha bohut hai.!

xxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxx

Labon pe phool khiltay hain kisi ke naam se pahle
dilon ke deep jalte hain charagh-e shaam se pahle

kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahin paata
kahani khatam hoti hai kabhi anjaam se pahle

yahi taare tumhaari aankh ki chilman mein rehte the
yahi sooraj nikalta thaa tumhare baam se pahle

hui hai shaam jungle main parinde laut-tey honge
ab in ko kis tarah rokain nawaah-e-daam se pahle

ya saare rang murdaa the tumhaari shakl banne tak
ya saare harf muhmal the tumhaare naam se pahle

huaa hai wo agar munsif tou Amjad ihtiyataN ham
sazaa tasleem karte hain kisi ilzam se pahle...........

@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@

FAJAAN
10-13-2009, 04:25 PM
beautiful....
collection

momal ali
10-13-2009, 04:28 PM
tentu fajj kon sey garhy murday ukhaar deye :laugh:

chinamanx
10-13-2009, 06:47 PM
haaan FAJAAAAAAAAAY

thanks but

Garaay murdaay ukhaaraaa na kar
bigrii hui baaatoun ko saaanwaara na kar

Yay aag ke sholay hua kertaaay hain ......
inko ko chup hi rehnaay day, sataya nahi kerr........

lolziannnnnnnnnnnnnnnnn

momal ali
10-14-2009, 12:27 PM

lolzzz ye tu sher ban gaya pheenay

keya chahty ho last post meri ho yaha :think:

i know haar bardasht kerna tumhary buss ki baat nahi :sword:

chalo esa hey tu esa he sahi :peace:

mery leye jeet haar maani nahi rakht ti :peace:

Koi OR Taraan Ki Bat Karoo..!!
Dil Jis Say Sab Ka Behail Jayee
Dehaan Or Taraf Nikal Jayee
Koi Or Taraan Ki Bat Karoo.. !!

Dehaan Or Taraf Nikal Jayee
Kisi Or Khayaal Main Dhaal Jaye
Bay'masroof Din K Akheer Par
Yea Dhalti Shaam Sambhaal Jayee

Is Sakht Mukaam Zamanon Ka
Yea Sakht Mukaam Badal Jayee

Koi Or Taran Ki Bat Karoo

Kisi Ghaat Par Kashti Aaan Lagay
Koi Nayee Nayee Pechaan Lagay
Koi Naya Naya Anjaam Lagay

Bay'masroof Din K Akheer Par
Yea Dhalti Shaam Sambhal Jayee

Koi Or Taran Ki Bat Karoo..!! :smoky:

!~*SOoLi
10-14-2009, 12:35 PM
Koi Aur Baat Karo.. Dayhaan Bata Rahay Ga.. :laugh:
Nice 1

momal ali
10-14-2009, 02:29 PM
Koi Aur Baat Karo.. Dayhaan Bata Rahay Ga.. :laugh:
Nice 1

yr baaat tu MUNIER NEYAAZI ko samjhani chahyey sOoLI BHAI Q Kya khayal hey :fish:

!~*SOoLi
10-14-2009, 08:22 PM
Haan Haan Humain Pata Hay Tum Shayer Ka Naam Janti Ho :laugh:

MeOw*
10-14-2009, 10:38 PM
gud going chalakoz :type:

momal ali
10-15-2009, 08:37 AM
haan haan humain pata hay tum shayer ka naam janti ho :laugh:

jesh jesh :d

momal ali
10-15-2009, 08:41 AM
gud going chalakoz :type:

tentu tentu billingz :nail:

momal ali
10-15-2009, 11:50 AM
paa-ba-gil sab hain rihaaii kii kare tadabiir kaun
dast-bastaa shahar mein khole merii zanjiir kaun

dast basta tied hand , :rolleyes:

meraa sar haazir hai lekin meraa munsif dekh le
kar rahaa hai mere fard-e-jurm kii tahariir kaun

aaj darvaazon pe dastak jaanii pahachaanii sii hai
aaj mere naam laataa hai merii taaziir kaun

neend jab Khvaabon se pyaarii ho to aise ahad mein
Khvaab dekhe kaun aur Khvaabon ko de taabiir kaun

ret abhii pichhale makaanon kii na vaapas aai thii
phir lab-e-saahil gharaundaa kar gayaa taamir kaun

saare rishte hijraton mein saath dete hain to phir
shahar se jaate hue hotaa hai daaman giir kaun

merii chaadar to chhinii thii shaam kii tanhaai ney
beridaai i ko merii phir de gayaa tashaher kaun

dushmanon ke saath mere dost bhii aazaad hain
dekhanaa hai keh chalata hai mujh pe pahalaa tiir kaun ?!!

chinamanx
10-16-2009, 03:22 PM
bus likhti hi rehtii ho jaa kuch samajh may bhi aaataa hay lollllllzian

wesay tumhari choice achiii jaati horahi hay ..... dekhaa ;) waqt ke saaath saath ahem ahem ..... buri sohbat ka asar hay lolzian

Zindagi tujh ko manaaney nikley
hum bhii kis darjaa deewanay nikley

kuch to dushman the mukhaalif-saff mein
kuchh mere dost puraaney nikleyy

nazar andaaz kiya hai us neyy
khud se milaney ke bahaane nikleyy

be-basaarat hai ye bastii yaaro
aaiinaa kis ko dikhaaney nikleyy

In andheron mein jiyoge kab tak
koii to shamaa jalaaney niklaaay.............

ahem ahem

(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
10-16-2009, 04:43 PM
beautiful .....

chinamanx
10-16-2009, 05:27 PM
beautiful .....

thankss khusbhoo jeee ahem ahem

chinamanx
01-14-2010, 08:18 AM
Hota nahi ek pal bhi basar tum se bichar ker
jaltay hain meray sham-o-sahar tum se bichar ker

kyun shab ko chamaktay hain falak per ye sitaray
kyun jaltay hain yadoon k sharar tum se bichar ker

aye rahat-e-jan pyar se ab tamam bojh ko
kab tak main karon tanha safar tum se bichar ker

is dil ki tamanaein to mansoob theen tum se
hoty hi nahi ab to sahar tum se bichar ker

kab tak dil-e-wehshi ko bhatakna hai meri jan
milty hi nahi rahgawar tum se bichar ker

sheron main phirota hoon ashkon k ye moti
sekha hai ek yehi hunar tum se bichar ker

aye bichray huay dost nazar aoo gay kab tum
be chain hai ab tak ye nazar tum se bichar ker

is sheher main jeenay k liey kuch bhi nahi hai
kis ko hai bhala mout ka dar tum se bichar ker

momal ali
01-14-2010, 08:27 AM
wah g ahem ahem keya baat hey janab
baghawat ki to sir qalam ho jaey ga apna
ye mil k bichrna or bichr k milna bohat zarori hota hey sum tym
werna
logon ko naey naey hunar kesay milay sekhnay ko :laugh:
sheron main phirota hoon ashkon k ye moti
sekha hai ek yehi hunar tum se bichar ker

chinamanx
01-14-2010, 06:08 PM

acha jee ... sir kalam lollllllll maynay to socha tha sar kataa saktay hay magar sar jhuka saktay nahi lolziannnnn......

hayaay allah g.........

sheron main phirota hoon ashkon k ye moti
sekha hai ek yehi hunar tum se bichar ker

ahem ahem........... qatra qatraa samandar ;) lolzian samjhdaar ho :p

Wafa Mein Ab Yeh Hunar Ikhtayaar Karna Hai
Woh Sach Kahay Na Kahay Aitbaar Karna Hai

Yeh Tujh Ko Jagtay Rehnay Ka Shouq Kab Se Huwa?
Mujhay Tow Khair Tera Intezaar Karna Hai

Hawa Ki Zad Mein Jalanay Hein Ansouon K Chiraagh
Kabhie Yeh Jashan Sir E Raahguzaar Karna Hai

Woh Muskura K Naye Waswason Mein Daal Geya
Khiyaal Tha K Ussay Sharmsaar Karna Hai

Chalo Yeh Ashk Hi Mooti Samajh K Baich Ayen
Kisi Tarah Tow Humein Roozgaar Karna Hai

Khuda Khabar Yeh Koi Zid K Shouq Hai Mohsin
Khud Apni Jaan K Dushman Se Piyaar Karna

momal ali
01-15-2010, 07:03 AM
keya ho gaya dadu may ney tu shairi he perhna chor di or tum arz pr arz keye jaingz :laugh:
wesay very nyc choice still improve hoingz tumari :10:
hmmm
kuch khas zehan mey nahi jo araz keron
bola na shairy perhna chor di tu zehan mey memorised shairy ka b fuqdan ho gaya hey :laugh:

hmm ek munni c nazam hey zehan mey wahi likh deti hon :10:

Khawab sajanay wali aankhien, pal bhar main banjar ho jaien
Rastay taktay taktay thak ker, umeedien pather ho jaien

Lab per tehri ho khamoshi aur, seenay main hashar bapa ho
Lafzoon ki malla ka dhaga, beech se toote gaya ho

Bholi bhali sary batien, main bhi jaisay yaad bana loon
Bhool ke apnay dhukray saray, Hontoon pe muskan saja loon

Tum dhondo phir mujh main mujhko aur, main khud main ghum ho jaoon
Aisa bhi to ho sakta hai main bhi ik din tum ho jaoon

chinamanx
01-15-2010, 09:04 PM
hayaay allah ggg kher to hay ..... dushmanoooooooo

Tum dhondo phir mujh main mujhko aur, main khud main ghum ho jaoon
Aisa bhi to ho sakta hai main bhi ik din tum ho jaoon

ZALIMMMMMMMMMM tum nahi yay nazam ahem ahem .......AAR PAAR HOGAYEE...

Bil-Aakhir Yeh Haseen Manzar Mita Dena Hi Padta Hai
Kisi ke Sar Ko Shaane Se Hata Dena Hi Padta Hai

Kisi Der Ashna Ko Joothey Sachey Kuchh Hawalon Se
Taa'rruf Ke Liye Sab Se Mila Dena Hi Padta Hai

Jo Saanson Mein Mehekte Hai Jo Aankhon Mein Damakte Hai
Achanak Ek Din Unko Bhoola Dena Hi Padta Ha..............

xxxxxxxxxxxxxx i

zara gaur farmaiyaay ahem ahem

Ghamon Main Hasnay Walon Ko Rulaya Nahin Jata
Lahroon Say Pani Ko Hataya Nahin Jaata
Bananay Walay Ban Jatay Hain Apnay
Kisi Ko Keh Ker Apna Banaya Nahin Jata

____________________________________________

momal ali
01-20-2010, 06:17 AM
bohat achy pheenay
ghor ferma kr he perhati hon recomend na kro ghor krny k leye :laugh:

acha kal kuch gazalz pari mujy achi lagi tumhara pata nahi :10:
na b pasand aey tu keya mujy tu achi lagi na :10:
wesay b ye mera thread hey so MERI MARZI chaly gi na :smileyshot22:

Rat-Jagon K Sehra Mein Khawaab Jab Ujar Jaien Tum Udaas Mat Hona
Zindagi K Mailey Mein Hum Agar Bichar Jaien Tum Udaas Mat Hona

Jin Pay Naam Likhey Hon Un Ujaar Shaakhon Par Kab Bahaar Aati Hai
Aarzoo Ki Tehni Say Jab Gulaab Jhar Jaien Tum Udaas Mat Hona

Jaan Kya Zaroori Hai Dasht-E-Naarsaaii Mein Ek Dua Bhi Poori Ho
Hum Agar Rawaajon Ki Sooliyoun Pay Garr Jaien Tum Udaas Mat Hona

Waqt Ek Drinda Hai Aur Hum Sabhi Is Ki Dehshaton Ki Zad Mein Hai
Jab Yeh Bey-Sakoon Lamhey Apni Zid Pay Arr Jaien Tum Udaas Mat Hona

Jaber Ki Fizaoun Mein Muskura K Jee Laina Yeh Bhi Ek Ibadat Hai
Chahey Karb K Saaye Meray Qad Say Barh Jaien Tum Udaas Mat Hona

Kuch Bhi Ho Magar Apney Dilnasheen Tabasum Say Zabt Ka Bharam Rakhna
Chahey Hum Bichar Jaien Kiyo Na Hum Ujar Jaien Tum Udaas Mat Hona
_________________

Sun Li Jo Khuda Nay Woh Duaa Tum Toh Nahi Ho
Darwazay Pay Dastaak Ki Sada Tum Toh Nahi Ho.......

Mehsoos Kya Jo Tum Ko Toh Geeli Howe Palkein~~~
Bheeghay Huway Mausum Ki Ada Tum Toh Nahi Ho

Anjan Si Rahoon Mai Nahi Koi Bhi Mera
Kis Nay Mujhay Yun Apna Kaha Tum Toh Nahi Ho

Duniya Ko Toh Bahar Hal Gilay Shikway Raheyin Gein..
Duniya Ki Tarah Mujh Say Khafa Tum Toh Nahi Ho

ahem ahem pheenay :shoaby:

chinamanx
01-21-2010, 09:15 PM
kher to hay huzooor say selection badal nahi gayee tumhariii ....

not badd at all,...........

Kuch Bhi Ho Magar Apney Dilnasheen Tabasum Say Zabt Ka Bharam Rakhna
Chahey Hum Bichar Jaien Kiyo Na Hum Ujar Jaien Tum Udaas Mat Hona

ahem ahem....

Anjan Si Rahoon Mai Nahi Koi Bhi Mera
Kis Nay Mujhay Yun Apna Kaha Tum Toh Nahi Ho

Duniya Ko Toh Bahar Hal Gilay Shikway Raheyin Gein..
Duniya Ki Tarah Mujh Say Khafa Tum Toh Nahi Ho

meri sohbat ka acha asar horaha hay lolziannnn selection is turnin in2 a zaberdast collection :P

kher acha tha :$ ab apna bhi to bharam rakhna hayna dushmanooo :P

Pyar Kay Deep Jalanay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain
Apni Jaan Say Janay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain
Hijar Kay Gehray Zakham Milay Tu Mujh Ko Yeh Ehsas Hua
Pagal Ko Samjanay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain

Jaan Say Pyaray Logon Say Kuch Kuch Parda Lazim Hai
Sari Baat Batanay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain
Khuwaboon Main Bhi Piya Milan Ke Sapnay Dektay Rehtay Hain
Neenddon Main Muskanay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain

Iss Jhoti Nagri Main Hum Nay Yehi Hamesha Dekha Hai
Sachi Baat Batanay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain
Pyar Jahan Ho Jaiiii - Unn Ko Chain Bhala Kab Mil Pata Hai
Shaab Bhar Ashk Bahanay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain

Apni Zaat Kay Ujray Gulshan Say Wo Pyar Kahan Kartay Hain
Auroon Ko Mehkhanay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain
Issi Kay Ishq Main Bheeg Ke "AZEEM" Hum Ko Yeh Ehsas Hoa
Dil Ki Baat Main Anay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain.....

zara gor farmaiyaay .... :P

ab jiske jee may ayaay wohi payaay roshini
humnay to dil jalake sar-e-aaam rakhdiya .........

momal ali
01-22-2010, 06:28 AM
ye isi thread mey may nay already post kra tha u can cheked 4 sure :10:
bongay shairi mukk gai tumhari :10: zarori nahi k esay log kuch kuch pagal hon :10:
sumtym esay log kuch kuch PHEENAY or kuch kuch DADUU b hoty hay :10:

chinamanx
01-22-2010, 12:33 PM
lolziannn dimaag tumhara thikaanaay pay haay lloll chalo acha huaa lol pagal nahi banni ab tak lolzian

chalo yay to suna nahi hogaa :P tumnay ab ghar jaooo lolzian chawaloo pay zinda rehnay wali qaum lolzian

Waqt ki taiz rawi dekh ke dar jatey hain
Log jetey hain kuch istarah ke mar jatey hain

Zindagaani teri azmat ko badhane wale
Muskuratey hue maqtal se guzar jatey hain

Bazm- e- yaraan ho ke dasht- e-shab- e-tanahai ho
Zakhm bharne pe jab atey hain to bhar jatey hain

Yeh shab- o- roz bhi auraq- e- pareshan ki tarah
Baarha waqt ki aandhi main bikhar jatey hain

Kitni yadoun se ulajhti hai meri tanhai
Kitne toofaan mere sar se guzar jatey hain

Door reh ker bhi kabhi shikwa- e- doori na raha
Aap hi aap hain jis samt jidhar jatey hain

Waqt nasaaz hai behtar hai ke ab lout chalain
Shaam hote hi parindey bhi to ghar jatey hain

kya badla layrahi ho kitt lagaanay kaa lolllllllllll soch raha hu iradaa badal du :$ jo kiyaay thay waaday woh waada badal doun lolzian

momal ali
01-29-2010, 01:02 PM
mujy yaad he nai raha k mey ney to arz krna tha yaha :(
dat wats my turn :(
its my turn to knockout :knockout:

arz kara hey :D

Mere $hehar may ik raat ba$r kar k dekhna,
Mere ird gird k logo $y mil k dekhna!

Tere baghair hum ki$ tarha g rahe hain,
Zara in logo $y poch k dekhna!

Jo janna chaho k hum kitny uda$ hain?
To $ard raaton k tanha chand ko dekna!

Hum $a na koi tum ko mile ga!
Ek baar $ari dunya ghoom kar dekna!

Tumko meri hi $ada aye gi!
Apne dil $y apne $ine pe haath rakh k pochna!

Kuch aur hota to wo b tumhe de dete!
Ba$ Ek JÅÑ hai,wo b ki$i roz mang kr dekhna...!!

chinamanx
02-14-2010, 01:39 AM
waah waaah .....................

chalo may sochta hu tumhay kuch lesson diyaay jayein ;)

Shayad Mein Teri Zaat Mein Shamil Nahi Raha
Dil Mein Khaloos Ankh Mein Kajal Nahi Raha

Chup Chap Aa Ker Dekh To Berpa Qayamtien
Baazi-E-Ishq Se Mujhy Kuch Hasil Nahi Raha

Usne Andheri Rat Ki Taqdeer Bakhsh Di
Soraj Hamary Mad-E-Muqabil Nahi Raha

Derya Bhi Saath Saath Hai Paani Ki Piyas Bhi
Jeeny Ka Ab Yakeen Jo Kamil Nahi Raha

Sochon Ke Imtehan Mein Mujeeb Hum Rahy
Yeh Sar To Reh Gya Koi Qatil Nahi Raha

Rumisha
02-14-2010, 10:14 AM
v nice

~ Bikhre Lamhe ~
07-11-2010, 07:47 PM
Wah Wah CHINAMIX u our Momal Ki Sard Jung Abhi Tak Chal Rahi ha
Aap Dono K Naam Humari Taraf Se Aik Tufha

Ek rishta jo abi ban raha tha
Totne laga magar banne se pahle

Ek sahare se uthate the ham
Gir gaye magar sambhalne se pahle

Sikhane lage the aap se muskurana
Rula diya magar hasne se pahle

Qadam jo badhin aap ki simt mein
Ruk gaye wohi chalne se pahle

Magne k liye kuch jo jholi phailayi
Khich liya hath kuch dene se pahle

Ham ne jo jalaye umeeidon ke chirag
Bujh gaye magar jalne se pahle

Kya yahi inteha hoti hi rishton ki?
Totana hota ha inhin banne se pahle

~~KING~~
07-12-2010, 05:47 AM
very nice................................:bu:
:thumbsup:

chinamanx
07-13-2010, 07:05 PM
waaah waaah ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,, bikree lamhee lolllllllllllllll oi yaaa garaaa murdaa kahan se uthaa layaaa ye thread to khud hi band ki thi lolziannnnnnnn

beetay hua lamhaay yaad na kerr
ae ishq humaay barbaad na kerr ...

ashkooo ke samandar dooob gayaay
ab milnay ki faryaaad na ker :P........

~ Bikhre Lamhe ~
07-13-2010, 07:21 PM
waaah waaah ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,, bikree lamhee lolllllllllllllll oi yaaa garaaa murdaa kahan se uthaa layaaa ye thread to khud hi band ki thi lolziannnnnnnn

beetay hua lamhaay yaad na kerr
ae ishq humaay barbaad na kerr ...

ashkooo ke samandar dooob gayaay
ab milnay ki faryaaad na ker :P........

oh chinamix main ne socha k Vietnam ki Jung ko sard howe buhat arsa howa so chalo us rakh main chal k dekhte hain kisi murde main abhi sans ha k nai jab us rakh ko khureda tu ik halchal c hoi our mehsoos yehi howa u k jaise us murde k dil par hath lag gya ho jis k dil pe hath lagte hi us ko hosh aagai ho so ..........:Peek a boo!:

Zara udas houn lekin zara masroor bi houn
Tumhare paas houn shayid' shayid door bi houn

Youn pathrile raston pe chalna shoq nai mera
Kuch mamla chahat ka ha kuch majboor bi houn

Muhabbat ho gayi tum se bas itni khata ha meri
Mana k mujrim houn magar Byqasoor bi houn

~~KING~~
07-14-2010, 01:08 AM
very nice............................:bu:

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.