Hussain
05-19-2009, 03:32 PM
Insha jee uthoo ab kooch kero, is sheher mein jee ko lagana kia
Wehshi ko sakoon se kia matlab, jogi ka nagar mein thikana kia
Is dil k dareeda daman ko dekho to sahi, socho to sahi
Jis jholi mein so chaid hueye us jholi ka phailana kia
Shab beeti, chand bhi doob chala, zanjeer parhi darwaze per
Kun dair gaye ghar aye ho? Sajni se kero gey bahana kia?
Us roz jo un ko dekha hai ab khawab ka alam lagta hai
Us roz jo un se baat hui, eo baat bhi thi afsana kia
Is husn k sache moti ko hum dekh sakein per chu na sakein
Jise dekh sakein per chu na sakein wo dolat kia wo khazana kia
Jab sheher k log na rasta dein, kun ban mein na ja basram kerein
Dewano ki si na baat kere to or kere deewana kia??