Hussain
05-15-2009, 09:15 PM
Bay sada lafzon main
Wajh-e-zindagi keh kai
Wasl ki zaroorat per
Phir sai zor detay hain
Aaj aisa kertay hain
Zikr wohi kertay hain
Naam aur detay hain
Zabt k kinaaron sai
Dard aan lipta hai
Toottay kinaaray ab
Dard aur detay hain
Aaj aisa kertay hain
Dard say ulajhtay hain
Zabt chor detay hein
Taar taar daaman ko
Khaar khaar raahon main
Ranjishain bhula kay ham
Aa kai jor detay hain
Aaj aisa kertay hain
Khud nahi palattay hain
Raah mor detay hain
Sabz sabz mousam main
Laal laal aankhon kai
Khwaab ki ragon se hum
Khoon nichor detay hain
Aaj aisa kertay hain
Ye bhi kar guzartay hain
Khwaab tor detay hain
Aa k abb duaaon ko
Maatami ridaaon main
Phir se kar k alwidaa
Mauqa aur detay hain
Aaj aisa kertay hain
Darya main utartay hain
Rab pe chor detay hain...........
Wajh-e-zindagi keh kai
Wasl ki zaroorat per
Phir sai zor detay hain
Aaj aisa kertay hain
Zikr wohi kertay hain
Naam aur detay hain
Zabt k kinaaron sai
Dard aan lipta hai
Toottay kinaaray ab
Dard aur detay hain
Aaj aisa kertay hain
Dard say ulajhtay hain
Zabt chor detay hein
Taar taar daaman ko
Khaar khaar raahon main
Ranjishain bhula kay ham
Aa kai jor detay hain
Aaj aisa kertay hain
Khud nahi palattay hain
Raah mor detay hain
Sabz sabz mousam main
Laal laal aankhon kai
Khwaab ki ragon se hum
Khoon nichor detay hain
Aaj aisa kertay hain
Ye bhi kar guzartay hain
Khwaab tor detay hain
Aa k abb duaaon ko
Maatami ridaaon main
Phir se kar k alwidaa
Mauqa aur detay hain
Aaj aisa kertay hain
Darya main utartay hain
Rab pe chor detay hain...........