Hussain
05-14-2009, 02:47 PM
Aaj udhas hoon to zamana mujhey phochne aya ..
Magar Jis pe tha sadiyon ka bharam woh nahi aya..
Woh to ek khuwaab tha toot gaya bikhar gaya hai..
ajj udhas lamhon main phir kyon mujhe woh yaad aya..
Zindagi ki masrufiat ke woh chand din jo guzar chuke hain..
na hi un pe urooj aya,aur na hi aun pe zawaal aya...
Bhool na chahta hoon har lamha,har waqt jo guzar gaya hai..
jitna bhi roka woh waqt utna woh mere sath chala aya...
Guzra hua kal na tha mera,na hai mera aur na ho ga kabhi...
yeh mein janta hoon magar phir bhi na dil ko karaar aya..
woh wade teri woh kasmein woh sab yaad hain mujhe...
magar phir bhi kabhi tum ko mera dil na bhoola paya..
ana parast the tum to khudaar tha main bhi
yeh rishta hi humare dermiyan na raas aya..