Log in

View Full Version : . x{ kitaab-e-zeest }x .


» ßerükhï «
09-11-2008, 01:28 PM
http://dl2.glitter-graphics.net/pub/1053/1053102x7rq84ksen.jpg

kitaab-e-zeest ka har warq parhaya hota
zindagi kaisay guzartee hai bataya hota

kantay raastay k mai palkon se uthaoon kaisay
iss mushaqat mein mera saath nibhaya hota

duniya daaree k takalus se naheen hoon waqif
tumnay jeenay ka yeh andaaz sikhaya hota

ghoont ghoont zehr peelanay se tu acha yeh tha
baas ek baar hee sooli pai charhaya hota

aisay bichray kai kabhi loout kai aai hee naheen
khud na aai tu kabhi humko bulaya hota

» ßerükhï «
09-11-2008, 01:32 PM
http://sl.glitter-graphics.net/pub/1289/1289412w306ywsrpi.jpg

Mehfil-E-Yaaro Ko Jab Bhii Sajaya Gaya,
Muje Bulaya Gaya Par Ishare Se Uthaya Gaya,

Roshni Kii Zarurat Jab Jab Padi Unhe,
Mujh Gareeb Kaa Hii Dil Jalaya Gaya,

Zara Si Baat Kaa Naa Ban Jaye Afsaana,
Waqt-E-Taruf Muje Ajnabee Bataya Gaya,,

Katl Unhone Kiya Jaante Hai Sabhi,
Ilzaam Fir Bhii Hum Par Lagaya Gaya,

Unki Nadaani Sabab Hain Meri Rusvayee Kii Magar,
Kusoorwaar Meri Deewangi Ko Thehraya Gaya,

Ekk Lamhe Mein Tark-E-Taluk Kar Liya,
Rishta Jo Ekk Ars Me Banaya Gaya,

Chaand Roya Sitaare Roye Roye Zamee Aasme,
Begunaah Ko Jab Bhi Sooli Pe Chadaya Gaya,

Bharam Ekk Bewafa Ki Wafa Ka Rakhne Ka,
Aansu Peekar Mehfil Me Muskuraya Gaya,

Kali Phool Udaas The,Khush Tha Baagban,
Shaakh Se Bulbul Ka Aashiya Jab Giraaya Gaya

~*Gillanii
09-11-2008, 04:16 PM
Chaand Roya Sitaare Roye Roye Zamee Aasman,
Begunaah Ko Jab Bhi Sooli Pe Chadaya Gaya lolxxx

Itna Bura Bhi Nahi Main :o
Bakwass Poetry, Meri Bayizatii Kar Di Poet Nay :(

» ßerükhï «
09-11-2008, 04:17 PM
:naraz: toh phir kaisi poetry pasand janab ko..
Dil hi tor diya :(
Banda nick bhi soch samajh k rakhta hai na! :@

umair8005
09-11-2008, 05:17 PM
Zabardast jee.......

A L i
09-11-2008, 05:30 PM
Excellent

life
09-11-2008, 09:16 PM
bohat khob

~*Gillanii
09-11-2008, 11:38 PM
:naraz: toh phir kaisi poetry pasand janab ko..
Dil hi tor diya :(
Banda nick bhi soch samajh k rakhta hai na! :@

Oyee Larki!! :we-r-mast: Mere Nick Ko KuCh Na KahO :@ SOoLi Ki Qadar Ka Tumhain Kia Pata :o
SOoLi To Bhagat Sing Bhi Charha Tha, Na Asman Roya Na Zameen Royi Balkay Aaj Poora India Is Baat Par Fakhar Mehsoos Karta Hay ... :@

Aur Kitni Khoobia BataO Main Tumhain SOoLi Ki ? :crazy4:

:bailan: :bailan: :bailan:

ZaHa
09-12-2008, 12:38 AM
mooLi slap misal b di tu kess ki slap

» ßerükhï «
09-15-2008, 01:34 PM
hahahaha sooli sahib bhajan bhi dete hain :p

» ßerükhï «
09-15-2008, 01:34 PM
Zaha meri taraf se bhi ek lagana lol

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.