View Full Version : waheed favourates poetry
waheed ahmed
09-21-2015, 04:12 AM
"کانچ کی چوڑی"
کتنی سادہ
کتنی پیاری
کانچ کی چوڑی جیسی لڑکی
کالج کے اک کمرے میں بیٹھی
جانے کیا کچھ سوچ رہی تھی
اس کا ہاتھ کلائی پر تھا
اور وہ کچھ خوفزدہ تھی
اب کیا ہوگا؟
میں بھی اس کے پاس ہی بیٹھا
اس کو غور سے دیکھ رہا تھا
میں نے اسکا ہاتھ تھاما
اور پیار سے پوچھا
کیا قصہ ہے؟
اسکی آنکھیں بھیگ گئیں
اور وہ دھیمی آواز میں بولی...
دیکھو...!!
"چوڑی ٹوٹ گئی"
Salwa
09-21-2015, 04:15 AM
Wahh
Zabrdast
waheed ahmed
09-21-2015, 04:49 AM
Aik dil waalon ki basti thi
Jahaan chaand aur sooraj rehte thay
Kuch sooraj man ka paagal tha
Kuch chaand bhi shokh aur chanchal tha
Basti basti phirte thay
Her pal hanste rehte thay
Phir aik din dono rooth gaye
Aur saare sapne toot gaye
Ab chaand bhi us waqt aata hai
Suraj jub so jaata hai
Baadal shab se kethe hai
Sooraj uljha rehta hai
Chaand k saath sitaare hain
Per sooraj tanha rehta hai...!!!
waheed ahmed
09-21-2015, 04:50 AM
ہم خوابوں کے بیوپاری تھےپر اس میں ہوا نقصان بڑا
کچھ بخت میں ڈھیروں کالک تھی کچھ غضب کا کال پڑا
ہم راکھ لئے ہیں جھولی میں اور سر پہ ہے ساہوکار کھڑا
جب دھرتی صحرا صحرا تھی ہم دریا دریا روئے تھے
جب ہاتھ کی ریکھائیں چُپ تھیں اور سُرسنگیت میں کھوئے تھے
تب ہم نے جیون کھیتی میں کچھ خواب انوکے بوئے تھے
کچھ خواب سجل مسکانوں کےکچھ بول بہت دیوانوں کے
کچھ نیر و وفا کی شمعوں کے کچھ پاگل پروانوں کے
کچھ لفظ جنہیں معنی نہ ملیں کچھ گیت شکستہ جانوں کے
پھر اپنی گھائل آنکھوں سے خوش ہوکے لہو چھڑکایا تھا
ماٹی میں ماس کی کھاد بھری اور نس نس کو زخمایا تھا
جب فصل کٹی تو کیا دیکھا،کچھ درد کے ٹوٹے گجرے تھے
کچھ زخمی خواب تھے کانٹوں پرکچھ خاکستر سے گجرے تھے
اور دور اُفق کے ساگر میں کچھ ڈولتے ڈولتے بجرے تھے
اب پاوں کھڑاوں دھول بھری اور تن پہ جوگ کا چولا ہے
سب سنگی ساتھی بھید بھرے کوئی ماشہ ہے کوئی تولہ ہے
اب گھاٹ ہے نہ گھر دہلیز ہے نہ در اب پاس رہا کیا ہے بابا
بس اک تن کی گٹھڑی باقی ہے جا یہ بھی تو لے جا بابا
ہم بستی کو چھوڑے جاتے ہیں تو اپنا قرض چکا بابا
•♥◘_◘♥• •♥◘_◘♥• •♥◘_◘♥• •♥◘_◘♥•
Hum khwaabon k beo-paari thay per is maiN howa nuqsaan barra
Kuch bakht main dheron kaalik thi kuch ghazab ka kaal parra
Hum raakh liye hain jhouli maiN aur sur pe hai sahoo-kaar kharra
Jub dharti sehra sehra thi hum dariya dariya roye thay
Jub haath ki rekhayeN chup theeN aur sur-sangeet maiN khoye thay
Tub hum ne jeewan khaiti maiN kuch khwaab ankhe boye thay
Kuch khwaab sijal muskaanoN k kuch bol bohat deewaanoN k
Kuch neer-o-wafaa k shamaoN k kuch paagal perwaanoN k
Kuch lafz jinheN ma'na na mileN kuch geet shikasta jaanoN k
Phir apni ghayel aankhoN se khush ho k lahoo chhirrkaaya tha
Maati main maas ki khaad bhari aur nus nus ko zakhmaaya tha
Jub fasal kati to kia dekha, kuch dard k toote gajre thay
Kuch zakhmi khwaab thay kaantoN per kuch khaakster se gajre thay
Aur door ufaq k saager maiN kuch dolte dolte bajre thay
Ab paaoN kharraoN dhool bhari aur tun pe jog ka choula hai
Sub sangi saathi bhaid bhare koi maasha hai koi toula hai
Ab ghaatt hai na ghar dehleez hai na dar ab paas raha kia hai baaba
Bus ik tan ki gathrri baaqi hai ja ye bhi tu le ja baaba
Hum basti ko chorre jaate hain tu apna qarz chuka baaba
waheed ahmed
09-21-2015, 04:56 AM
Misr
Doodh myn pani milaty hyn gawaly lekin
Taarrny waloon k andaz py qurbaan jayn
Nok'e'angasht py ek qatra utha kr wo
Jan jaty hyn k es doodh myn kuch pani hy
Lekin insaan ki jazbaat shanasi k liye
Aesa pemana nahi hy koi
Jis sy pehchaan sky khoty khary ko insaan
Is tarhaa bunty hyn bafandy haq'o'batil ko
Koi fankaar bhi andaza nahi kr sakta
Sach hy ya jhoot koi nam nahi dhar skta
Kagazi phool py joban ka nikharna mat puchh
Andaliboon ki nigahyn bhi bhatak jati hyn
Bhool jati hyn k ye roop nahi maya hy
Rutt hy sawan ki wahin dhoop wahin saya hy
"boo'e'gul, nala'e'dil, dard'e'chiraag'e'mehfil"
Ik tarazoo py yahan tulty hyn
Lala'o'gul hyn qadaah khwari k bais badnaam
"Khoon'e'anjum ka hy damaan'e'saher pr ilzaam"
Dastaan aesi yahan roz buni jati hy
Jhooti tuhmat hi sahi daman'e'Yusuf py magr
Misr myn ab bhi Zulaikha ki suni jati hy
(Shareef Kanjahi)
waheed ahmed
09-21-2015, 04:59 AM
Mery hathon myn taash k patty
Un k hathon myn nabz patton ki
Shart ye thi k jeetny k liye
Chaar patton myn ek tasalsul ho
Paan ka badshah tha un ki talab
Mujh ko darkar phool ki begum
Un k chehry py aitmaad ka noor
Meri aankhon myn sirf herani
Main ny danista apny hathon sy
Paan ka badshah he phaink diya
Qehqahy sy ubal parry har soo
Or main sochta hoon reh reh kr
Tera patton k khail myn kal raat
Jeet jata to maat ho jati
waheed ahmed
09-21-2015, 05:36 AM
***********
یہ سب چاند، تارے
بہاریں، خزائیں، بدلتے ہوئے موسموں کے ترانے
ترا حسن، میری نم آلود آنکھیں
تصور کے ایواں، نگاہوں کی کلیاں، لبوں کے افسانے
یہ سب میرے سانسوں کی جادوگری ہے
مگر مجھ کویہ غم ہے کہ جب میں مروں گا
یہ سب چاند، تارے
بہاریں خزائیں
بدلتے ہوئے موسموں کے ترانے
ترا حسن، دنیا کے رنگیں فسانے
یہ سب مل کر زندہ رہیں گے
فقط اک مری اشک آلود آنکھیں نہ ہو گی۔۔۔
***********
waheed ahmed
09-21-2015, 05:53 AM
Muhabbat dasht-e-furqat mein
Bina rakht-e-safar chaltay
Kisi majzoob ke dil se nikalta
Ek noha haY
Muhabbat raaston ke jaal mein bhatka hua raahi
Kisi ke baam pe thehra hua ik ajnabi chehra
Muhabbat khuaab bun jaaey to taabeerein nahi miltein
Muhabbat aik baarish haY
Jo ik ik boond bun kaY
Tun-0-mun mein jab utarti haY
Sureelay saaz bajtay hain
Anokhay baab khultay hain
Muhabbat kerne waley to
Faseel-e-jaan ko daao per
Laga ke baat kertay hain
Woh kaanto ki zameeno pay bhi nangay paaon chaltey hain
Muhabbat aik sargoshi haY
Kisi funkaar ke haathon se chirta bay-khudi ka raag
Muhabbat baarishon ke mausam mein yaad ki kaaya
Muhabbat jaltay-tuptay raaston per phailta saaya
Muhabbat ik qaza bun ker bhi aati haY
Kai logon ke jeewan mein
Muhabbat marg-e-gul bhi haY
Muhabbat yaas ki soorat
Ek aisi piaas ki soorat
Kabhi jo bujh nahi paati
Muhabbat ik udaasi haY
Bala ki khaamshi bhi hai
Muhabbat mausmon ko husn ka paighaam daiti hai
Muhabbat chahnay walon ko yeh inaam daiti hai
Qabooliat ke darwaazon pe mehki ik dua bhi hai
Muhabbat ik saza bhi hai
Muhabbat pat-jharon ka naam
Muhabbat ik sulagti shaam..
waheed ahmed
09-21-2015, 05:54 AM
tum to bus aik hi dukh puchte ho
kon se dukh ki karai'n bat zara ye to batao
mosmo'n ,sard havao'n ki masihaie ka dukh
rah ki dhool mai bikhri hui be-naie ka dukh
sang k shehr mai khud dukh se shanasaie ka dukh
ya kisi bhegti barsat mai tanhaie ka dukh
kon se dukh ki karai'n bat k dil ka darya
itni tughyani ki zaad pe hy k kuch yad nai
kab hamai'n bhool gaya kon se harjaie ka dukh
tum to bus aik hi dukh puchte ho ...
waheed ahmed
09-21-2015, 05:56 AM
○
○○
○○○
Main siyah raat kay safar parr hoon
aik qendeel yaad-e-janan ki
hath mein hai,magar hawa hai taez
main to ik baat kay safar parr hoon
jo kisi kunnj-e-labb say phooti thi
aur meri tamam umr ko--- aik
dasht-e-pur khaar mein dhakael ga'ei
saari subhein,usi kay naam huein
saari fathein,usi kay naam huein
main,faqat maat kay safar parr hoon
main to ik baat kay safar parr hoon!
waheed ahmed
09-21-2015, 05:58 AM
Main Shehr-e-fana hon ,Tere kis kaam ka,
Ik bujhta sa dia hon ,Tere kis kaam ka,
Tu rafaqt k liye aur kisi ko chun lay,
Main to khud tanha hon, Tere kis kaam ka,
Tjhko chahtey hain phoolon k mehktay saye,
Main to sehra mn khara hon, Tere kis kaam ka,
Aey paristar-e-gul-e-tarr tera rasta taktay,
Shaakh pe sookh gaya hon, Tere kis kaam ka,
Tu b aoron ki tarha mjhse kinara kr lay,
Saari dunia se bura hon, Tere kis kaam ka.?
waheed ahmed
09-21-2015, 05:59 AM
Kabhi yaad aao to is tarhan,
Kabhi gungunao to is tarhan,
Mera dard phir se ghazal bane,
Kabhi dil Dukhao to is tarhan,
Meri Dharkanen bhi laraz uthen,
Kabhi bhool jao to is tarhan,
Na sisak saken na balak saken,
Kabhi choor jao to is tarhan,
Na ujar saken na sanwar saken,
Kabhi yaad aao to is tarhan,
waheed ahmed
09-21-2015, 06:00 AM
Kabhi main aalam-e-imkaan se guzar jaata hoon,
Aur kabhi jism ki daldal main utar jaata hoon,
Ye bhara sheher kabhi mujh main simat aata hai,
Kabhi main sheher main her gaam bikhar jaata hoon,
Sheher se rehti hai aikk jang musalsal din bhar,
Sheher jub haanpne lagta hai to ghar jaata hoon,
Is kashmakash main he milta hai nishaan hone ka,
Jub bhi takmeel ka ehsaas ho mar jaata hoon,
Le urri roshni he jurrat-e-beenaayi meri,
Ab to main din k ujale se bhi dar jaata hoon,
Apne zarre se he nazar aate hain ta-hud-e-nazar,
Aik zara sur to jhukaon to bikhar jaata hoon,
Aik he aankh main apni he kahani dekhoon,
Apna chehra nazar aata hai jidher jaata hoon,
Sheher sajate hain guzar-gahen chamak uthti hain,
Apne he khoon main doobun to sanwar jaata hoon,
Khulta he nahi mout ka hangaam hai kia,
Waqt ruk jaata hai ya main he theher jaata hoon...!!!
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.