View Full Version : maiN tu kehtaa thaa
waheed ahmed
09-20-2015, 03:05 AM
Ma to kehta tha
Meri paristeesh na kar!!
Meri uryan hatheli pay palkoan k andar chHupi khwahesoan k sitary
Na chuun
Meri qasmoan ma leptay howy wasal waday say
Apni reshmi chahtoan k kinary na bun’
Mery lafzoan pay mat ja
K na motbir lafz fasl e khezan ki hawa ma bekharty howy zard patoan
ki awaz hien
mery paoan k talwoan pay ya qowat-o-marjaan hontoan
k moti nechawar na kar
ma to khta tha
jazboan ki mu zoor aandheoN k rastay ma itny deya mat jala
apni khwaishoan k tapaty howy dasht ma
by jehat karty bagoloan ki khali hahtailei pay
shafaf khwaboan k resham ma leptay howy jognoouN k gohar mat sajaa
mat saja sazishe sorejoan k moqbil shokh aienay
ma tu khta tha
chahat ki sari lekrien
sub he zaiqay
sub he rutien
dhoop chaoan k andhay adhoray safar say obhahrti hoe
gard ki tehh ma posheeda manzar k banty bigarty khado khal ka
estaara samjh
gardesh-e-roz shab ka eshra samjh
dekh apni jawani ki jalti hoe dophar ma koe khwab dekha na kar
mery hathoan ki yakh bastage pay sar e sham
socha na kar
mujh say itne aqeedat ache
mery nazdik aa
mery tan ma otar
meri bahoan k angan ma bekhri hoe dhop ma ban sanwar
mujh say kesa hazar?
Mujh ko “apna”samjh
Mery nazdik apnayat say bhra koi rishta nahin
Meri chahat ka koi taqaza samjh
Mery andar ka insaan koi farishta nahin
Or…………….ab
Tery rothy howy lafz!
Gajron k sokhy howy phool!!
Ankhoan ma bekhry howy ansoan k gohar!
Tery masoom jazboan k such ki mosalsaal gawah he…mgr
Ma tu khta tha meri parestish na kar
waheed ahmed
09-20-2015, 03:21 AM
kahon kis say qisaa e dard o ghum
koe hum nasheen na yar ha
jo annis ha teri yad ha
jo shafeeq ha dil e zaar ha
tu hazaar karta lagaawatian
ma kabhe na aataa faraib ma
mujhy phly es ki khbar na thii
tera 2 hii din ka ya pyar ha
ye naveed oroan ko jaa suna
hum aseer e daman ay saba
humian kia chaman ha jo rang par
humien kia jo fasl e bahaar ha
mujhy reham aataa ha dekh kar
tera haal akbar e nuhagar
tujhy wo bhii chahay khuda karay
k tuu jis ka ashiq e zaar ha
waheed ahmed
09-20-2015, 03:22 AM
Saarii Cheezien Hii Na-mukammal hein
Kuch Bhi Pora Nahi hai Paas Meray
Na-mUkammal hai Rat-Jagon Ka Safar
Khwaab Bhi hain Sabhi Adhoorey Se
Aur Tkhayul Kii Waadiyon Mein Khien
Chund Ghazlien Bhatk-ti Rehtii hein
jo Pohnchtii Nahi hein Kaaghaz Par
Aur Agar Yeh Pohanch Bhi Jaaien to
Pora hota Nahi ShaiR koii
Chund Nazmien Bhi hein Adhori jo
Zehan Mein Aa Ke laut jAati hein
jaisey Mayos Kii dua koii
Dil Se Nikley Flak Se Takraaye
Or Phir Be-Asar Hii laut Aa Jaye
Kuch Bhi Pora Nahi hai Pass Meray
Saarey Jazbey Hii Na-mumkammal hain
Bara dhondney Kii Koshish Kii
Kho Gya Apna Aap Jaaney Khaan
hum Ne dhonda Yhaan Whaan Khud Ko
Mil Na Paaya Magar Suraagh koii
Safar e Aagahii Adhora hai
Mera Sab Kcuh Abhi Adhora hai
Kuch Bhi Pora Nahi hai Pass Meray
Saarey Sapney Hi Na-mukammal hein
Chand Ehbaab Se Bhii Milna Tha
Par Adhorii hein Sab mulakaatien
yon to Milta hon Har Kisi Se Magar
Pora Milta Nahi Kisi Se Bhi
Shaayed Apni Hi Zindgii Se Bhi
Khatt Bhi Kuch Teray Naam Likhney Thai
wo Bhi Na Poray Ho Sakey Ab Tak
Kuch Bhi Pora Nahi hai Pass Meray
Saarey Waadey Hii Na-mukammal hein
Kuch Kitaabien Ke Jin Ko Parhna Tha
wo Bhi Ab Tak yon Hi Parii hein Kahen
Sirf do Chaar Hii Warq Paltey
Dil Ko Phir Yeh Khyaal Aaney Laga
Saarey Safhon Ko chor don Aisey
Zindgii Ke Tamam RiShton Ko
Kyon Na Chup Chaap tor don Aisey
Kuch Bhi Pora Nahi hai Pass Meray
Saarey Rishtey Hii Na-mUkammal hein
Munjamind SilSilon Mein Halchal ho
Gham Ke Sehraaon Mein jal-Thal ho
Zindgii Ka Sabhii Adhoora Pan
tum Chaley Aao to mukammal ho...
waheed ahmed
09-20-2015, 03:24 AM
Zara tham tham k barsa kar
Abhe itna na roya kar
Abhe to dor ha manzil
Abhe khud ko na tanha kar
Teri ankhien smndar hien
Smndar ko na sehra kar
Mera dil doob jata ha
Mujhy esy na dekha kar
Howa mujh say kahy,pagal!
Na yoan rahoan ma beth kar
Wo ik din chor jay ga
Usy itna na chaha kar
waheed ahmed
09-20-2015, 03:27 AM
Bay-hunar zamaanay may...
Raaeygaa'n safar apna...
Khauf k bayabaa'n may...
soojhhta kuch bhi nahee'n...
Bad-gumaani palti hay...
Saaeybaa'n hi jab apna...
Munharif ho chhaao'n say...
Justujoo parraao ki...
Bay-samar si lagti hay...
Bay hunar zamaanay may...
Raaeygaa'n safar apna....!
waheed ahmed
09-20-2015, 03:52 AM
Aitaibaar tootay to...!
Woh bhi aisay laugo'n per..
Jin ko apna hum jaanai'n..
Jab bhi gham say bojhal ho'n..
Un ko meherbaa'n maanai'n..
Aitaibaar tootay to..!
Aisay zakhm miltay hai'n..
Jo kabhi nahee'n bhartay..
Meherabaa'n saaey jab..
Hum say rooth jaaey'n to..
Aisi dhoop milti hay..
Jis may rooh jalti hay..
Aitaibaar tootay to..!
Dil k aainay jo hai'n..
Woh bhi toot jaatay hai'n..
Aks woh jo apnay ho'n..
Woh bhi rooth jaatay hai'n..
Aitaibaar tootay to..!
Aisay zakhm miltay hai'n..
Aisi dhoop milti hay..
Aisay aks khotay hai'n..
Laug ha'ns bhi lai'n shaayed..
Dil hamaisha rotay hai'n..
Aitaibaar tootay to..!
waheed ahmed
09-20-2015, 03:53 AM
Kabhi is nagar tujhay daikhna...
Kabhi us nagar tujhay dhoondna...
Kabhi raat-bhar tujhay sauchna...
Kabhi raat-bhar tujhay dhodndna...
Mujhay ja-bjaa tairi justujoo...
Tujhay dhoondta hoo'n ku-baku..
Kahaa'n khul saka tairay ru-baru...
Maira is qadar tujhay dhoondna...
Tairi yaad aaey to ro liya...
Jo tu mil gaya tujhay kho diya...
Mairay silsilay bhi ajeeb hai'n...
Tujhay chorr ker tujhay dhoondna...!
waheed ahmed
09-20-2015, 03:55 AM
Juda hona hi thehra to..
Gilay kaisay, shikaayat kya..
Juda ho jaaey'n chup-k say..
Na tum bolo, na mai'n boloo'n..
Hamaaray bol parrnay say..
Judaa'ee phail sakti hay..
Hawaao'n may..
Fizaao'n may..
Judaa'ee zaat may bhar lai'n..
Chalo hum is tarah ker lai'n..
Kisi sunsaan rastay ko..
Kisi bhi morr pay dono..
Juda ho jaaey'n chup-k say..
Na tum bolo, na mai'n boloo'n..
Hamaaray bol parrnay say..
Judaa'ee phail sakti hay..!
waheed ahmed
09-20-2015, 04:00 AM
gham-e- zindagi teri rah mein
shab-e-arzoo teri chah mein
jo ujar gaya woh basa nahin
jo bichar gaya woh mila nahin
jo dilo nazar ka suror tha
meray pass reh kar bhi door tha
wohi ik gulaab umeed ka
meri shahkh-e-jan pe khila nahin
mera hamsafar jo ajeeb hai
tou ajeeb tar hon mai aap bhi
mujhay manzilon ki khabar nahin
ussay raston ka pata nahin
pas-e-karwaan sar-e-rahguzar
main hara hon tou is liay
k qadam tou sab say mila liay
mera dil kisi say mila nahin
waheed ahmed
09-20-2015, 04:01 AM
koi tum se pochay kon hun main,
tum keh daina koi khas nahi,
ik dost hai kacha pakka sa,
ik jhoot hai adha sacha sa,
jazbat ko dhanpay ik parda,
bas ik bahana acha sa,
jeevan ka aisa sathi hai,
jo door na ho kar pass nahi,
koi tum say poochay kon hun main,
tum keh daina koi khaas nahi..
waheed ahmed
09-20-2015, 04:10 AM
Na Mila Karo Sar-E-Sham Mujhay
Main TaNha TaNha Theek Hun
Mujhay Chahton Se Dar Lagta Hay
Main Nafraton Mein Theek Hun
Mujhay Rastoon Mein Chor Do
Mujahy Justuju-E-Manzil Nahi
Na Dekhao Mujhay Raasta
Main Bhatka Hua He Theek Hun
Meray Dosto Mujhay Chor Do
Na Suljhaoo Meri Uljhanain
Mujhay Adavatain He Pasand Hain
Main Dushmanoon Mein Theek Hun
Mujhay Khushi Ki Koi Talab nahi
Mujhay Apna Ghum Bhi Nawaz Do
Mujhay Ansu Peena Pasand Hay
Mujhay Aansoun Mein He Chor Do
waheed ahmed
09-20-2015, 05:02 AM
Hum kawaboon k beopari thay
per is main hua nuqsan bara
kuch bakht main dheroon kaalak thee
kuch ab k ghazab ka kaal para
hum raakh leye hain jhooli main
aur sur pe sahokar karra
yahan bund nahain hey dewey main
woh baj beaj ki bat karey
hum bhaanjh zameen ko taktay hain
woh dhhor anaj ki bat karey
hum kuch din ki muhlat mangain
woh aaj hi aaj ki bat karey
jab dharti sehra sehra thee
hum darya darya roye thay
jab hath ki rekhaiin chup thee
aur sur sangeet main soye they
jab hum ne jewan khhetee main
kuch khawab ankhoye boye thay
kuch khawab sajal muskano k
kuch geet khabat diwano k
kuch neer wafa ki shamoon k
kuch per pagal perwano k
kuch lafaz jinhain maanii na miley
kuch geet shikista jano k
phir apni ghaayal ankhoon se
khush ho k lahoo chhirkaya tha
matti main maas ki khhad bharee
aur nas nas ko zakhmaya tha
aur bhool geye pichhli rut main
kya khhoya tha kya paya tha
waheed ahmed
09-20-2015, 05:05 AM
ye ajeeb fasl-e-firaq hai!
k na lab pe hurfe talab koi
na udasion ka sabab koi
na hujoom-e-derd k shoq main!
koi zakham ab k hara hoa
na kaman badast ado hoe
na malamat-e-saf-e-dostaan
pe ye dil kisi se khafa hoa
koi taar apne lebas ka
na hawa ne hum se talab kia
sar-e-rahguzer wafa berhi
na diya jalane ki arzoo
pe charha gham-e-do jahan
na koi maseeha na charager
na kisi kahayal ki justuju
na khalish kisi k wisaal ki
na thakan rah-o-mah-o saal ki
na dimagh rang rukh batan!
na talash lashker nasehan!!
wahi aik haal hai zabt ka
wahi aik chaal hai deher ki
wahi aik rang hai shoq ka
wahi aik rasm hai sheher ki,
na nazer main khof hai raat ka
na fiza main din ka hiraas hai
pe arz-e- haal sukhanwaran,
wahi humsukhan hai rafeeq-e-jan,
wahi hum shukhan jise dil kahen!
wo to youn bhi kub ka udas hai.
ye ajeb fasl-e-firaq hai,
ye ajeeb fasl-e-firaq hai
waheed ahmed
09-20-2015, 05:16 AM
suna hay is muhabbat me
bohat nuqsan hota hay
mehakta jhoomta jivan
ghamo k nam hota hay
suna hay chain kho kar wo
sehar se sham rota hay
muhabbat jo bhi karta hay
bohat badnam hota hay
suna hay is muhabbat me
kahin bhi dil nhi lagta
bina us k nigahon me
koi mosam nhi jachta
khafa jis se muhabbat ho
wo jivan bhr nahi hansta
bohat anmol hay wo dil
ujar kar phir nahi basta
suna hay is muhabbat me
bohat naqsan hota hay
Rania
09-21-2015, 04:00 PM
بہت عمدہ اور زبردست شیئرنگ
شیئر کرنے کا بہت شکریہ
innocent saneeha
09-21-2015, 04:11 PM
nice collection..............
innocent saneeha
09-21-2015, 04:11 PM
Wo piyar ka saboot dikhaya karta tha.
Wo piyar ka saboot dikhaya karta tha.
Aansoo baha kr mjhe manaya krta tha.
Ye zindagi sirf tum se wabasta hai.
Aksar ye baat mjhe bataya karta tha.
Us ki baton mein kuch aisa asar tha.
Mein barish k bina he bheeg jaya karta tha.
Soney ki fursat kis ko thi.
Wo mjhe sari raat jagaya karta tha.
Bechaini jab had se barh jati the.
Wo ji bhar k galae lagaya karta tha.
Wo itni Muhabbat krne wala badal gaya.
Jo sath nibhane ki qasam khaya karta tha.
waheed ahmed
10-19-2015, 07:49 AM
Rania ji inocent saneehaa thanks and Nice sharing inocent saneehaa ji
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.