View Full Version : an ke
waheed ahmed
09-19-2015, 04:02 AM
Ab k uski aankhon meiN..
Be-sabab udaasi thI..
Ab k uske chehre pR..
Dukh tha bad-hawasi thI..
Ab k yoon mila mujhsE..
Yoon gazal suni jaisE..
Main b na-shanasa hooN..
Woh b ajnabi jaisE..
Zard khal-o-khad uskE..
Sogwaar daman thA..
Ab ke uske lehje meiN..
Kitna khurdrapan thA..
Woh k umr bhar jisnE..
Shehar bhar ke logon meiN..
Khud se meharbaan samjhA..
Dil se aashna likhA..
Ab k sada kagaaz pR..
Surkh roshni sE..
Usne talkh lehje meiN..
Mere naam se pehlE..
Sirf BEWAFA likhA..
waheed ahmed
09-19-2015, 04:06 AM
IBaadatoon kay Tarz Badlay hain…
Sawaab kay Mayaar Badlay hain…
Gunah kay Azaab Badlay hain
Per yeh ISHQ!!! USSI ko YAAD KARNA IBAADAT…
USSI ko Soochna Sawab…
USSI Ko Bhoolna Gunah…!!!
waheed ahmed
09-19-2015, 04:08 AM
Koi mousam to aisa ho
Kay jab bichray huo'n ki yaad kay jugnu
Chamak kho dei'n
Kisi kay hijr main ronay say pehlay hi
Meri aankhain kabhi so dei'n
Koi mousam to aisa ho
Kay jab sab phool ulfat kay
Kisi anmit mohabbat kay
Merey dil main khilain par
Un main woh khushbu na ho baaqi
Woh khushbu jo tumharay qurb say mehsoos hoti thi
Koi mousam to aisa ho
Kay dil kay zakhm bhar jaein
Agar aisa nahi hota to phir
Kitna hi acha ho
Kay saari khuahishei'n dil ki
Woh sarey khuab aur arma'n
Yun'hi ghut ghut kay mar jaein
Mujhay aazaad kar jaein
Koi mousam to aisa ho
Kay jo mousam tumhari yaad ka mousam na ho...
waheed ahmed
09-19-2015, 04:11 AM
Chashm-e-bekhwaab ko samaan buhat!
raat bhar shehar ki galiyooN meiN hawa
hath meiN sang liye
khouf sey zard makanooN key dharhaktey dil per
dastakeeN deti jati he
roshni band kawarhooN sey nikaltey howey ghhabrati he
her taraf cheekh si lehrati he
haiN mery dil key liye dard key unwaan buhat
dard ka naam sama’at key liye rahat-e-jaaN
dast-e-kemayaa ko zar
nutq-e-khamoosh ko lafz
khwaab-e-bedar ko makaaN
dard ka naam mery…. shehr-e- khwahish ka nishaaN
manzil-e-reg-e-rawaaN
dard ki rah per taskeeN key imkaan buhat!
chashm-e-bekhwaab ko saman buhat…
Rania
09-21-2015, 04:01 PM
بہت عمدہ اور زبردست شیئرنگ
شیئر کرنے کا بہت شکریہ
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.