waheed ahmed
08-26-2015, 11:05 AM
MaiN muhabbat kaa shikaarii houN
ke maiN mosomouN kaa pujaarii houN
Kisi kii zindgii le ker
kisi ko zindagi de ker
ye sawen bhadhouN jaa rahaa he
aur dil pehloo se niklaa jaa rahaa he
ke mujh ko es kii ghan garj se dar bhi lagta he
ke wese ye be zarrarr hii hotaa he
aur es ki bijliyaaN merii aankouN ko
kheerah ker deti he magar
ye bijli gir bhii saktii he
aur barish jab barastii he
dareechouN se hawa khanak uthtii he
aur mitti ki sondhii khushboo se
dill kii kalii kalii mehk uthtii he
ek nyaa mosam dil ke kewwadouN per
dastak de rahaa he
badal se merii dostii he
ye badal jab bhii aataa he
maiN es ke peeche peeche bhagtaa houN
maiN es ko pakdnaa chahtaa houN
magar ye ab jaa rahaa he
acha suno maiN tumhaaraa
phir se kerouN gaa intizaar
al widaahh mere yaar. -
ke maiN mosomouN kaa pujaarii houN
Kisi kii zindgii le ker
kisi ko zindagi de ker
ye sawen bhadhouN jaa rahaa he
aur dil pehloo se niklaa jaa rahaa he
ke mujh ko es kii ghan garj se dar bhi lagta he
ke wese ye be zarrarr hii hotaa he
aur es ki bijliyaaN merii aankouN ko
kheerah ker deti he magar
ye bijli gir bhii saktii he
aur barish jab barastii he
dareechouN se hawa khanak uthtii he
aur mitti ki sondhii khushboo se
dill kii kalii kalii mehk uthtii he
ek nyaa mosam dil ke kewwadouN per
dastak de rahaa he
badal se merii dostii he
ye badal jab bhii aataa he
maiN es ke peeche peeche bhagtaa houN
maiN es ko pakdnaa chahtaa houN
magar ye ab jaa rahaa he
acha suno maiN tumhaaraa
phir se kerouN gaa intizaar
al widaahh mere yaar. -