waheed ahmed
06-12-2015, 02:52 AM
aaj mera idher aana huwa tu socha ke naee ghazal liki thi pesh ker douN
chand tarouN ke jhurmat sajaa diye us ne
shab-e-taareek maiN diye jalaa diye us ne
na wo parii thii naa hoor aik moajza thii wo
aish-e-jannat mujh ko bhulaa diye us ne
jamood-e-desht maiN derya ki rawaanii jaise
suraab raastouN maiN guul khilaa diye us ne
sakoot-e-shab ke sab taar hilaa diye us ne
lab-e-khamoush se kaafiye milaa diye us ne
suraab-e-lab se lab-e-sheereeN mila diye us ne
khuwaab kitne hii haqeeqat banaa diye us ne
maikhaane ke shab-o-roz bhulaa diye us ne
saaghar chashm-e-meenaa pilaa diye us ne -