PDA

View Full Version : khowab ur haqqeqat mai kia farq hai


K@IN@@T
04-23-2009, 02:56 PM
salam all friends

this is a simple question plz tell me that k khowab aur reality mai kia farq hai ?

sab apnay nazriyay k mutabiq jawab day

i m waiting 4 ur answer

CHEEMO
04-23-2009, 05:16 PM
Khuwab woh hai Ju Humain Khud Atain Hai or Woh Khowab Hum Such Honai ka Sochtain Hai
and
Reality woh hai ju humarain naseeb main hota hai

K@IN@@T
04-23-2009, 05:22 PM
nice answer cheemoo

K@IN@@T
04-23-2009, 05:23 PM
meray khayal mai khowab woh hotay hai jo toot jatay hai
aur haqqeqat woh hoti hai jo toor dayti hai

K@IN@@T
04-23-2009, 05:24 PM
baqi sab bhi jawab day jaldi i m waiting 4 ur answersssssssssssssssssssss

K@IN@@T
04-23-2009, 07:33 PM
friends i m waiting 4 ur answers

SHAYAN
05-07-2009, 05:57 PM
Khuwab... Jo Sotey Hoye Aatey Hain Or Chaley Jatey Hain lol
Haqeeqat.... Kisi Sach Baat Ko Maan'na :D :shy:

s_sableo
05-07-2009, 07:33 PM
assan see baat
shair k zariye bataunga

jo khwab sacha hota hai
wo khwab he poora hota hai
hur khwab ki tu taabeer na mang
hur khwab adhoora hota hai

or haqeeqat insaan k samney jo kuch ho raha hota hai
sab haqeeqat hota hai

pkmuslim
05-08-2009, 05:49 PM
Dunya ki zingai aik khowab hai mernay ka baad haqqeat maloom ho gi. Qiymat ki din loog dunya ki zindgi ko aik khowab samjay gain.

Abhi waqat ha ka ham apna iman bana lain naik amal kar lain. Marnay ke baad koi moqa na mela ga. Only once chance.

K@IN@@T
05-14-2009, 02:25 PM
hmmm nice answerKhuwab... Jo Sotey Hoye Aatey Hain Or Chaley Jatey Hain lol
Haqeeqat.... Kisi Sach Baat Ko Maan'na :D :shy:

K@IN@@T
05-14-2009, 02:27 PM
aap ka point of veiw bhi theek hai qyamat bhi ek haqqeqat haiDunya ki zingai aik khowab hai mernay ka baad haqqeat maloom ho gi. Qiymat ki din loog dunya ki zindgi ko aik khowab samjay gain.

Abhi waqat ha ka ham apna iman bana lain naik amal kar lain. Marnay ke baad koi moqa na mela ga. Only once chance.

K@IN@@T
05-14-2009, 02:28 PM
yeh bhi acha answer hai sableo bhai assan see baat
shair k zariye bataunga

jo khwab sacha hota hai
wo khwab he poora hota hai
hur khwab ki tu taabeer na mang
hur khwab adhoora hota hai

or haqeeqat insaan k samney jo kuch ho raha hota hai
sab haqeeqat hota hai

s_sableo
05-14-2009, 09:54 PM
Thanku thanku
sab hee achey n sachey hain
ku k khwab n haqeeqat ki bohat see misaalein hain
or sari sachi hain jhoot ni isiliye

~wish munda~
05-14-2009, 11:43 PM
khawab wo hai jo insaan ki khawahish hai
aur haqeeqat wo hai jo wo usay pora kernay k lyee kerta hai

K@IN@@T
05-14-2009, 11:45 PM
nice wish bhai zabardast

~wish munda~
05-14-2009, 11:47 PM
thank u sis

K@IN@@T
05-15-2009, 01:47 AM
u welcome

dur-e-shahwar
05-15-2009, 03:37 AM
mere kyal mea kwab wo hia jo mea dekti hon or
haqeqat wo hia k jo mea kahwab dekti hon dad pura kr dete hia lolzzzzzzzzz
matlb ye k jo khwaish ki wo puri hui usi tym bas muje tu ye pta hia
bcoz aj tak jo caha wo mila hia
or kahwab wo hote hia jo ham cate hia k puree hon or mere kahwab
pure ho jate hia jo k haqeqat hia bas

night angel
05-15-2009, 11:20 AM
Nice topickhwab or haqeeqat my farq nice topic jee

khwab wo hy hoty hain jo humein un khawabo ko haqqeqat my badlny ka hosla himmat dety hain

log kehty hain k khawab ek weham hoty hain but i think khawab or haqeeqat ka fasla utna hi hy jitna dua or dwa k hy

K@IN@@T
05-15-2009, 08:33 PM
sahi kaha sis nice answer sis

K@IN@@T
05-15-2009, 08:34 PM
aap k bhi point of veiw acha hai night angel bhai

night angel
05-16-2009, 11:16 AM
i m a girl dear sis not boy

K@IN@@T
05-16-2009, 11:26 AM
sorry sis what is your good name plz

night angel
05-18-2009, 08:44 AM
MY name is Night Angel

M A H i
06-30-2009, 11:03 PM
nice question.....................
acording to me KHUWAB woh hai jo apko sone nahi deta :) aur HAQEEQAT woh hai jise aap deakhna nahi chahty!!!!!!!!!

~wish munda~
06-30-2009, 11:15 PM
hmm nice thinking mahi
khawaaab jis main hum rehna chaahtaay hain
haqeeqat jo humain rakhna chahti hai

dogars
07-01-2009, 04:10 PM
khwab aik rasta hai jo hamain haqeeqat tak ponhchata hai.....

very simple k khwab hum bnd ankhun se dekhte hain or real hum hum apni jagti ankhun se dekhte hain....

or dono k bgair koi guzara nahe.......

M A H i
07-01-2009, 09:50 PM
thnx wish to appericiate my thought :)
mere liye tu khuwaab band ankhoon sy deakhny ka naam nahi balkey khuwaab wohi hota hai jo hameien bechain rakhta hai sone nahi deta.........

~ Bikhre Lamhe ~
07-01-2009, 10:35 PM
(Khwab) wo jo hum lashaori main dekhte hain sochte hain
(Haqeeqat ) wo jo hum dekhte hain humari Kholi Aankhon ke samne jo bi hota ha wo Haqeeqat ha
that's all i can say

Hussain
07-03-2009, 12:53 AM
Dreamz r theory

Reality is Practical..

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.