Aftab Afi
02-24-2015, 04:18 PM
Ankh Ban Jati Hai Sawan Ki Ghata Sham Ke Bad
Laut Jaata Hai Agar Koi Khafa Sham Ke Bad
Wo Jo Tal Jati Rahi Sar Se Bala Sham Ke Bad
Koi To Tha Ke Jo Deta Tha Dua Sham Ke Bad
Aanhen Bharti Hai Shab-E-Hijr Yateemon Ki Tarah
Sard Ho Jaati Hai Har Roz Hawa Sham Ke bad
Sham Tak Qaid Raha Karte Hain Dil Ke Andar
Dard Ho Jate Hain Saare Hi Rehaa Sham Ke Bad
Log Thak Haar Ke So Jate Hain Lekin Janaa
Hum Ne Khush Ho Ke Tera Dard Saha Sham Ke Bad
Chand Jab Ro Ke Sitaaron Se Galay Milta Hai
Ik Ajab Rang Ki Hoti Hai Fizaa Sham Ke Bad
Hum Ne Tanhaai Se Pucha Ke Milo Gi Kab Tak
Us Ne Be-Chaini Se Foran Hi Kaha Sham Ke Bad
Tum Gaye Ho To Siyah Rang Ke Kapre Pehne
Phirti Rehti Hai Mere Ghar Mai Qaza Sham Ke Bad
Maar Deta Hai Ujarr Jaane Ka Dohra Ehsaas
Kash Ho Koi Kisi Se Na Judaa Sham Ke Baad