PDA

View Full Version : kuch warq hafsa ki diary say


K@IN@@T
04-21-2009, 11:32 PM
ASALAM-O-ALIKUM TO ALL
APNI DIARY SAY KUCH POETRIES SHARE KAR RAHI HO UMEED KARTI HO AAP SAB KO PASAND AAYI GI


BICHAR HI JANA THA

Tuje udas bi karna tha khud bi rona tha..
ye haadsa bi meri jaan kabi to hona tha..
woh muje torr ke phir jorta raha aksar..
main uske waaste jaise koi khilona tha..

Hume kahin na kahin to bichar hi jana tha
ye haadsa meri zindagi me aana tha
woh shaks mujhe saari umar tarse ga..
Naseeb uska "ke usne muhje ganwana tha"

K@IN@@T
04-21-2009, 11:34 PM
DARO DEEWAR HANSTEY HAIN



udaas palkon ke chilmin mein kuch armaan jaltey hain.
jo band kar bhi loon aankhain to sarey khwaab jaltey hain.

jaisey chaha, jaisey pooja wahi badnaam kartey hain.
wafa ke naam par aasteen mey kuch sanmp paltey hain.

aisi wihshat hawa'oo mey ke dar'o'baam hiltey hain.
ye tere sheher ke mausam kyun pal pal badaltey hain.

howi deewangi aisi ke apney ghum mey rehtey hain.
gharaibaan chaak dhaikh kar dar'o'deewaar hanstey hain.

jalain khaimey hain aahoon ke huma ab ghar mey rehtey hain.
sanmbhal ja ae dil'e'naadaan yahan baimaan rehtey hain.

K@IN@@T
04-21-2009, 11:38 PM
woh kuch nahi sonta to mai kehti k mujhay kuch aur kehna tha
woh pal bhar ko jo rokta to mai kehti mujhay kuch aur kehna hai
galat fehmi nay baaato ko barha dala warna
kaha kuch tha woh kuch samjha mujhay kuch aur kehna tha

K@IN@@T
04-21-2009, 11:40 PM
woh baat kyu karay jis ki khabar na ho
woh dua kyu karay jis ka asar na ho
kaisay keh day tumhay lag jayay meri omer
kia pata aglay pal meri omer hi na ho

dur-e-shahwar
04-22-2009, 02:31 AM
v nyc sis
keep it up sis

ShArArTi MuNdA
04-22-2009, 04:40 AM
nice sharing

momal ali
04-22-2009, 07:11 AM
nyc sharin sisoo keep it up janizzzzzzzzzz :fRiEnDS:

CHEEMO
04-22-2009, 09:30 AM
nice

chinamanx
04-22-2009, 09:34 AM
nice 1 keep it cummin .... 1 day u 'll loose this diary of urs for sure ...

K@IN@@T
04-22-2009, 12:39 PM
itna roi ho k ab ankh mai pani bhi nahi hai
sirf ankhay jo ban jayay to yeh hai bohat
pori tasveer mai nay kisi ko dekhani bhi nahi
zindagi ab to taluq ki yeh sorat hai
tujh say rakhni to haior tujh say nibhani bhi nahi

K@IN@@T
04-22-2009, 12:44 PM
dua ki sorat mai us k khatir
jo meray hootay say lafz niklay
jo meri ankho say ashk niklay
unhi k badlay aay khudaya
jab bhi os ka naseeb likhna
urrooj likhna
kamal likhna
kabhi na horf-e-zawal likhna
aur os ki umer daraz likhna

K@IN@@T
04-22-2009, 02:48 PM
kagiz pay likh k dekhti ho jis ka naam

mudaat gozar gayi jisay khat likhay hoyay

khushbooo rang sazo khamooshi

kia kaflay mai dastay khila mai rokay howayay

kuch poochti hai raho ki sar sabz tehniya

kuch keh rahay hai raho patay giray howayay

haato mai lay k chalta ho ankho ki mashaalay

har simt hai fizao mai chehray banay hooyay

aay marvayay fikar ab awaz day hum ko

khud say bichar gayay tujhay dhondtay hoyay

hashmi_lonly
07-03-2009, 07:33 PM
v nice

FAJAAN
07-03-2009, 10:30 PM
nyce

K@IN@@T
07-04-2009, 01:47 PM
chali hai thaam k badal k hath ko thaam ko khushboo
hawa k saath safar ka moqabla thehra
kamal-e-zabt khud bhi to azmao gi
mai apnay haath say os ki dulhan sajao
mai sopard kar k chandini k hatho mai
mai apnay ghar k andhero mai loot aao gi
woh kia gaya rafaqat k saaray lotf gayay
mai kis say loot sako kisay manao gi
jawaz dhond raha tha nayi mohabbat ka
woh keh raha tha mai osay bhool jao gi................

K@IN@@T
07-04-2009, 01:50 PM
ek naam ki orti khushboo mai
ek khowaab safar mai rehta hai
ek basti ankhay milti hai
ek sheher nazar mai rehhta hai
kia ahyl-e-honar kia ahyl-e-sharf
sab tokray raddi kagaz k
is door mai woh shaks bara
jo roz khabar mai rehta hai
pani mai roz bahata hai
ek shaks diyay omeedo k
or aglay din tak phir on k hamra bhawar mai rehta hai

K@IN@@T
07-04-2009, 01:56 PM
http://img131.imageshack.us/img131/1748/flowers23.gif
bayzameen logo ko
baykarar ankho ko
badnaseeb kadmoo ko
jis taraf bhi lay jayay
rastoo ki marzi hai
bay nishaan jazeero par
bad gomaan shehero mai
bay zaban musafir ko
jis taraf bhi bhatka day
raasto ki marzi hai
rok lay ya parhnay day
thaam lay ya girnay day
wasal ki lakeero ko
tornay day ya milnay day
raastoo ki marzi hai ..........................

K@IN@@T
07-04-2009, 02:03 PM
http://img517.imageshack.us/img517/1504/glitterrose13.gif
in saa aato say kehdo
zara do ghari to yeh dam laynay day
meri zindagi k par to
zara saanchay mai dhalnay day
khush roo khowaaboo mai
zara daer to khoonay day
mujhay apni band mothi mai
zara daer jugnoo chupanay day
khayalo ki rahgozar mai
beetay lamho ki mehak basanay day
sanso ki dori say
aas ka naata ban janay day
hayat ki mosaafat mai
kahi manzil to aanay day
in saa aato say keh do zara do ghari dam lay.........

K@IN@@T
07-04-2009, 02:13 PM
http://img139.imageshack.us/img139/1748/flowers23.gif
badla na apnay aap ko jo thay wohi rahay
miltay rahay sabhi say per ajnabi rahay
duniya na jeet pao to haaro na khud ko tum
thodi bohat to zehen mai narazgi rahay
apni tarha sabhi ko kisi ki talaash thi
hum jis k bhi kareeb rahay door hi rahay
gozro jo bhaag sayto dua maang k chalo
jis kali mai hai phool woh daal hari rahay

K@IN@@T
07-04-2009, 02:21 PM
http://img22.imageshack.us/img22/8049/flower22.gif
dil ka tumharay jo safah hai
woh bilkul saadah hai
os per bhi to likha tha hum nay
ek naam kabhi
ashaar kabhi
payghaam kabhi
sarkar kabhi
woh safah tum nay dhoo daala
woh saafah bilkul khaali hai
ab kagaz k in safahay ko
kyu aagay laa k rakhtay ho
kyu naam payghaam aashaar likhay
hum log jo sarkaar likhay
ek baar likhay....................

K@IN@@T
07-04-2009, 02:24 PM
http://img240.imageshack.us/img240/1504/glitterrose13.gif
dil mai ho jurrat to mohabbat nahi milti
khayrat mai itni bari daulat nahi milti

kuch log is sheher mai hum say bhi khafa hai
her kisi say apni tabyat nahi milti

dekha tha jisay mainaykoi or tha shayad
woh kaun hai jis say teri surat nahi milti

"K.G"
07-04-2009, 02:25 PM
Nice Poetry

K@IN@@T
07-04-2009, 02:32 PM
http://img148.imageshack.us/img148/1748/flowers23.gif
apnay bistar mai bohat daer say neem daraz
sochti thi is waqt kaha hoga
roz ki tarha say woh aaj bhi aaya hoga
aur jab os nay waha per mujhay na paaya hoga

aap ko ilm hai woh aaj nahi aayi hai
meri her dost say yeh poocha hoga
kyu nahi aayi woh kya baat hoyi akhir
khud say soo baar poocha hoga
kal woh ayay gi to mai nahi bolo ga
aap hi aap kayi baar woh rotha hoga

itafaqan mujhay os shaam meri dost mili
mainay poocha k sono ayay thay?
woh kaisay thay?
mujhay dhonda tha chaaro janib?
os nay ek lamhay ko dekha mujhay
or phir haas di .os ki haasi mai ek talkhi thi k
os nay mujhay kya kaha yaad nahi hai
per itna maloom hai
k khowaabo k bharam toot gaya

K@IN@@T
07-04-2009, 02:39 PM
http://img8.imageshack.us/img8/8049/flower22.gif
nafrat ki kari dhoop mai hai pyar meri pyari maa
hai meray liyay saya ashjar meri maa

karti hai shaboo roz dua meray liyay woh
her waqt mossaalay mai baydaar meri maa

her bayt ghazal on ki duao ka asar hai
her nazam ka hai motalla-e-anwaar meri ma

ek baar hi kehti ho jo khowahish bhi ho dil mai
karti hi nahi inkaar meri maa

her baar zamanay nay mujhay mitana mujhay chaha
mitnay bachati rahi her baar meri maa

nafrat say jazeero say mohabbat ki hadho tak
bas pyar hai ha pyar hai bas pyari meri maa

K@IN@@T
07-04-2009, 02:43 PM
http://img103.imageshack.us/img103/1504/glitterrose13.gif
woh mujh say meri udaasi ki waja poochtay hai
kitnay pagal hai raat k saannatay ki waja poochtay hai

woh mujh say meray ansoo ki waja poochtay hai
kitnay pagal hai barish k barasnay ki waja poochtay hai

woh mujh say meri pasand k baray mai poochtay hai
kitnay pagal hai khud apnay baray mai poochtay hai

woh mujh say meri mohabbat ka mafhoom poochtay hai
kitnay pagalhai samandar ki gherayi poochtay hai

K@IN@@T
07-04-2009, 02:47 PM
http://img240.imageshack.us/img240/1748/flowers23.gif
rok lo qadam jii bhar k dekh lo
hamara tumhara saath bas yehi tak tha

manzil milay na milay ab hamri kismat
k zindagi k saath safar bas yehi tak tha

tum chal nahi saktay is aagay ek kadam
rok lo phoolo ka jaaha bas yehi tak tha

agay aarahay hai gham mujh say milnay galay
k apni khushiyo ka thikana bas yehi tak tha

othoo or nayay amrahi taalash karo
k khowaab sohana bas yehi tak tha

K@IN@@T
07-04-2009, 02:49 PM
Nice Poetry
thanx

Alia
07-05-2009, 10:14 PM
nyc sis

K@IN@@T
07-05-2009, 10:16 PM
thanx alia sis

Dashing Ahsan
07-05-2009, 10:24 PM
nice 1 hafsa sis :cutee:

dur-e-shahwar
07-05-2009, 10:27 PM
v nyc sis
keep it up

K@IN@@T
07-05-2009, 10:28 PM
thanx sis

(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
07-06-2009, 07:37 AM
very nice hafsa sis...

K@IN@@T
07-06-2009, 07:40 AM
thanx khush sis

K@IN@@T
07-28-2009, 07:01 PM
http://img200.imageshack.us/img200/6674/shinyheartblueheart.gif
Tum se bichar kr kia ho main ?

Ek adhori nazam ka misra !!

Ya koi beemar parinma !!

Copy meim ek zinda titlii !!

Ya ek murda peela patta !!

Aankh hoon koi khwab-zada si !!

Ya aankho'n mein tuuta sapna !

Palko'n ki deewar k peechay !

Pagal qaidi , ya ek aansu !

Dhoop mein lipta lamba sehra !

Tuuti hui choori ka tukra !

Ya koi bhoola bisra wada !

Tum hi batao

Tum se bichar ker kia hoon main ?

Ek purani qabar ka katbaa

ya

Ek matrook dua

K@IN@@T
07-28-2009, 07:04 PM
http://img200.imageshack.us/img200/6674/shinyheartblueheart.gif
Hamnasheen Kaise Bataon Jazba-e-Ulfat Kya Hai,

Khud Bataye Gi Mohbat? Mohabat Kya Hai,

Ishq Ko Log Kyun Maseeha Samjh Bethe Hain,

Gar Nahi Ishq Haqiqat To Haqiqat Kya Hai,

Aaya Parwana Gira Shama Pr Jal Jal k Mara

Tu Ab Bhi Soch Raha Hai Mohabat Kya Hai,

Ishq k Bhol k Jannat Ki Hai Dunya K Talaash

Ishq Ki Aag Agr Dozakh Hai To Jannat Kya Hai,

Meri Badli Hui Rangat Meri Halat To Dekho,

Doston ?b To S?m?jh Lo Moh?b?t Ky? H?i

K@IN@@T
07-28-2009, 07:06 PM
Dil bnane wale ne dil kaanch ka bnaya hota,

Torne wale k haath pe zakhm to aaya hota,

Jab b dekhte apne hath ko wo,

Unhen hmara khayal to aaya hota.

K@IN@@T
07-28-2009, 07:08 PM
mujh se nafrat ki ajab rah nikali usne,

hansta bansta ghar kar diya khali usne,

mere ghar ki riwayat se woh khob waqif tha,

judai mang li ban k sawali usne,

K@IN@@T
07-28-2009, 07:10 PM
Ham aandhiyoN k ban mein kisi kaarvaaN k thay

Jaanay kahäN se aaye hain jaanay kahäN k thay

Ai jaan-e-daastäN tujhay aaya kabhi khayäl

Vo log kya huay jo teri daastaaN k thay

Mil kar tapaak se na mujhe kijiye udaas

Khaatir na kijiye kabhi ham bhi yahäN k thay

K@IN@@T
07-28-2009, 07:12 PM
http://img200.imageshack.us/img200/6674/shinyheartblueheart.gif
Knsi Ankh ha?
Jis ma ansoo ne basera na kia

Knsa daman ha?
Jisa dukh choo k na guzra

Kis samandr ki lehrain hain?
Jo takra k bikhri na hun

Knsi suba ha?
Jo sham k aghosh ma na khoi ho

Knsa chiragh ha?
Jo Tergi sy waqf na ho

Knsa gunah ha?
Jiski maafi na ho

Phr mayusi k saye,
Ghamgin hawa,
Udasi ka Alam kyun!
Daman ma khushbo k phool,
Muskraht ki kalian samet lo,
Umed k jugnu tham lo!

Umeed Zindgi ha..aur
ye zindgi
"Tera intzar ma ha"

K@IN@@T
07-28-2009, 07:13 PM
Suno jana!
Palat aana!

K koi yaad karta he,
Tumhe awaz deta he,

Tumhe khush dekhne k waste

Apne dil,e,muztir ko jo
na-shad karta he

Tumhari ik jhalak k waste
Galiyo me,

Raston me ,
Subho se sham,

Din se raat karta he

Jinhe tum se aqeedat he,
Teri be los chahat he,

Tumhe takne ki hasrat he,

JINHE TUM SE MUHABBAT HE,

Unhe kuch waqt dete hen

So gar mumkin ho kuch esa?

To un ki chah ki khatir

"SUNO JANA!

PALAT AAnA!

K

"KOI YAAD KARTA HAI

smartfriend2007
07-28-2009, 07:34 PM
:but-but-but:meri tanhai ko tum na samjh paoge,
yaad me meri khud ko ek din tanha paoge,
pyar hume hai kitna tumse ye tum na kabhi samjh paoge,
meri ek khata se ho naraz , par kya kabhi mere bina rah paoge…??

K@IN@@T
07-28-2009, 07:36 PM
v nice

smartfriend2007
07-28-2009, 07:36 PM
meri tanhai ko tum na samjh paoge,
yaad me meri khud ko ek din tanha paoge,
pyar hume hai kitna tumse ye tum na kabhi samjh paoge,
meri ek khata se ho naraz , par kya kabhi mere bina rah paoge…??

K@IN@@T
07-28-2009, 07:37 PM
nice poetry

K@IN@@T
07-28-2009, 08:58 PM
Duniya Ko Mere Dil Say Shikayat Ajab Hain..

Main Kaise Kahoon K Maore Halat Ajab Hain..

Main To Wohi Keh Raha Hoon Jo Beet Raha Hai..

Log Kehte Hain K Khayalat Ajab Hain..

Ab K Koi Ehsas Bhi Nahi Honey Deta..

Ab K To Tere Gham K Kamalat Ajab Hain..

Ab To Hai Jung Ki Sab Tayari Mukamal..

Per Mad e Muqabil K Bayanat Ajab Hain..

Mashkok Si Khamoshi Hai BeChain Labon Per..

Masom Si Ankhon Mein Sawalat Ajab Hain..

K@IN@@T
07-28-2009, 09:00 PM
Ik esa roz b aye ga,

Jb yad meri dohrao ge,

tb kuch b bhol na pao ge,

tm lakh bhulana chaho ge!

ik esa roz b aye ga,

jb rah hmari dekho gy,

phir guzra wqt na aye ga,

tm lakh bhulana chaho gy!

Tumhen dost naye mil jaen gy,

pr hm to mil na paen gy,

tm jb aeena dekho gy,

to aks mera he pao gy,

tm sehra sehra bhtko gy,

wo gulshan ho ya werana,

pr hm ko dhond na pao gy...

K@IN@@T
07-28-2009, 09:00 PM
Jb yad ka albm kholun to kuch log bohat yad aaty hain
Main apna bchpan sochun to kuch log bohat yad aaty hain
Ab jany kis nagri me so gay mudat se
Main raat gay tk jagun to kuch log bohat yad aaty hain.
Kuch batain thin phoolon jaisi kuch khushbu jaisy lahjey they
Main sehn e chaman me tahlon to kuch log
Pal bhar ki narazgi or maan b jana pal bhar me
Ab jb khud se roothon to kuch log bohat yad aaty hain

K@IN@@T
07-28-2009, 09:01 PM
HaR KiSi Ko DuNyA MeiN ShOhrAteN Nahi MiLteN

ZinDaGi K LamHoN Ki QeEmaTeN Nahi MiLtEn

FaTah Ki KhwAhisH MeiN AmaL Bhi To Lazim Hai

SirF KucH irAaDoN Say MusArraTen Nahi MiLteN

FaisLay Ye ChaHaT K AasMan Pay HotaY Hain

Do DiLoN K MilnaY Say QisMaTeN NaHi MiLteN

DeeN Or DuNiyA Ko SatH RaKhnA ParTa Hai

MasJidOn MeiN RehNaY Say JanNaTeN Nahi MiLteN

MaaN Lo is ZamAnAy MeiN Or Bhi Hain Hum JaisY

HasB-e-ArzoO Jin Ko ChaHaTeN NaHi MiLtEn

K@IN@@T
07-28-2009, 09:02 PM
Meri raat din mein chupi hui..





mera din chupa kisi raat mein..





meri zindagi koi raaz hai..





koi raaz hai meri zaat mein..





Mein jahan kahin b bhatak gaya..





wahan girtey girtey sambhal gaya..





mujhe thokron se pata chala..



mera haath hai kisi haath mein..!!

K@IN@@T
07-28-2009, 09:22 PM
Teri har nazar sahara,
teri har ada ishaara,
kabhi dil-bari ne loota,
kabhi be-rukhi ne mara,
meri zindagi se kheela,
teri muskurhaton ne,
kabhi shauq ko ubhara,
kabhi shauq ko dabaya,
in tand-o-tez mojon se,
hum bacha ke lae thay kashti,
jo kareeb ho chalay tum,
to sirak gaya kinara???..!

smartfriend2007
07-28-2009, 11:25 PM
Zamana KHuch Bhi Kahe Kisi Ka ahtaraam Na Ker
Jise Zameer na Mane Ise Salaam Na Ker

smartfriend2007
07-28-2009, 11:32 PM
Ishq Ko Dard _e_ Sir Kehne Wallon Suno
Ishq ka Yeh Dard Sir mat Lena ............
Khuch Bhi ho ab to Hum Ne yeh Dard Sir Le Leya
Nigahon Se Bach Ker Kahan Jaye Ge ab
ab to In Ke Muhalle Main ghar Le Leya .

smartfriend2007
07-28-2009, 11:34 PM
Arz Kya Hy ..........

Ke Palat ker Dekh Zalim
Tamamna Hum Bhi Rakhte Hain
Tu Sange Mar Mar hy To Kya howa
Pather Hum Bhi Rakhte Hain ..........

K@IN@@T
07-29-2009, 04:30 PM
nice poetries smart

K@IN@@T
07-29-2009, 05:02 PM
Bus aik dua tere liye.

To jo sitaron ki tamanna kare kbhi Sitare toot k teri palkon mein sama jayen,

To jo roshni ki talab kare Suraj doob kr b ubhar aye,

To jo husn ko chahe kbhi Chand aangan mein tere basera kare,

Dard ki koi b anjani rut Tere kadmon ko na chu kr guzre,

Bus yehi aik dua tere liye.

K@IN@@T
07-29-2009, 05:04 PM
Mere hath uthe mere lab hile

Mere dil se ye awaz uthi

Tere honton ki hansi

Teri ankho ki chamak

Tere lafzon ki khushbo

Tere lehje ki dhanak

To jo soche tuje mil jaye

To jo chahe wo ho jaye

Tere rahon me jugno hon

Hr qadam pe tuhe bahar mile

To shad rahe abad rahe

Tuje zindagi se itna pyar mile

Mera sar jhuka mere lab hile

Mere dil se ye dua uthi

Jo mhfil me tera zikar chale

Hr lab pe dua aye

Tuje hr khushi ras aye

Koi gam na tere pas aye

K@IN@@T
07-29-2009, 05:06 PM
Kbhi zid main terey ho gae

Kbhi dil ny tujh ko guwa diya..

Isi kashmakash me jiye sanam..

Tu ny yad rukha ya bhula diya..

Kbhi bebasi main hi hans diye..

Kbhi hansi ny hum ko rula diya..

Kbhi ek ko apna na kar sakey..

Kbhi khud ko sub ka buna liya..

Jo mila nahi wo mera huwa

jisey kho diya usey pa liya..

Ye ajeeb khel hen pyar k

ik khayal sy hi nibha liya . . /

K@IN@@T
07-29-2009, 06:39 PM
http://img139.imageshack.us/img139/6894/2sher.jpg

K@IN@@T
07-29-2009, 06:40 PM
http://img233.imageshack.us/img233/305/u71219101882.jpg

K@IN@@T
07-29-2009, 06:43 PM
http://img200.imageshack.us/img200/3931/13244d2353f20a72.jpg

A L i
07-29-2009, 08:00 PM
V nice

K@IN@@T
07-29-2009, 08:03 PM
thank u

K@IN@@T
08-13-2009, 07:05 AM
Mainey haq-e-mohabbat ada kiya, Na kabhi kisi se gila kiya



Mujhay ajab iska sila mila mujhay dil se usney bhula diya

Mohabbaton ki kitaab ka har warq warq jala diya
Woh jo aarzoo ka chirag tha usey nafraton ne bhuja diya

Mujhay zaikhm phir ek naya diya, mujhay is MOHABBAT ne kia diya
Mera nishaan tak mita diya mujhay zindagi ne sata diya.....

Woh jo kehtay thay khush raho, Woh jo kehtay thay meri jaan ho
Tum har lamha hansa karo, mujhay aaj unhoney rula diya
__________________

SHAYAN
08-13-2009, 07:17 AM
Wah Wah Subah Subah Ayi Or Chaa Gayi :)
V.Nyc ..

K@IN@@T
08-13-2009, 07:20 AM
Thanx shayan bhai aap ki sis ho chao gi nahi kia?

SHAYAN
08-13-2009, 08:37 AM
lol|x... Ye B Sahi Kaha ;)

K@IN@@T
08-13-2009, 08:40 AM
Mai galat kab kehti ho
keep visiting

SHAYAN
08-13-2009, 08:41 AM
lol|x...
Han Bas Yad Kr Wati Rhna Visit K Liye ;)

K@IN@@T
08-13-2009, 08:44 AM
ok ok.............

K@IN@@T
08-13-2009, 05:57 PM
Aik bay rang sa manzar hai kahan tak sochon
zindagi main terey baray main kahan tak sochon

Phenknay walay nay tu door say pathar phenkay
aur main sirf paroosi k makaan tak sochon

Tera chehra bhi na yaad aye k tu kaisa hai
main tujhay sooch k reh jaaon yahan tak sochon

Loog jis mor per ghabra k bechar jaatay hain
tujh say milnay ka yaqeen ho tu wahan tak sochon
==========================
Post Auto Merge
==========================
Mohabbat Rog Hay Jaana
Ajab Sanjog Hay Jaana
Yeh Kaisa Jog Hay Jaana
Baray Borhay Btatay Thy
Kayi Qissay Sunatay Thy
Magar Hum Mantay Kab Thy
Yeh Sab Kuch Jantay Kab Thy
Yeh Baatein Zikr k Qabil
Bhala Gardantay Kab Thy
*-*-*-*-*-
Ana k Takht Par Baithy
Humein Maloom Hi Kab Tha
Ana k Takht Se Ooper
Bohat Sari Bulandi Par
Kahin Pariyon k Jhurmat Mein
Tery Pairoon Ki Payel Mein
Tery Chotay Se Gaaon Mein
Ghani Zulfoon Ki Chaaon Mein
Sitaray Chaand Sooraj
Walehana Raqs Kartay Hain
*-*-*-*-*-
Humein Maloom Hi Kab Tha
Tery Qadmon Ki Aahat Par
Gulabi Muskurahat Par
Tery Hontoon Ki Jumbish Par
Tery Sir k Isharay Par
Sada-e-DilBrana Par
Nigah-e-Qatilana Par
Jafa-e-Mehrmana Par
Ada-e-Kafirana Par
Chaman k Phool Saray
Iss Tarah Se Dhayan Detay Hain
Zara Se Wasl k Jhansey Mein
Apni Jaan Detay Hain
*-*-*-*-*-
Humein Kab ILM Tha Jaana
Tery Pekar Se Dhul kar
Chandani Har Soo Bikharti Hay
Shab-e-Mahtab Ki Doshezgi
Kaisy Nikharti Hay
Teri Payel Ki Chan Chan
Mann Mein Kya Ghanti Bajati Hay
Teri Awaz Veerany Mein
Kya Jadu Jagati Hay
Tery Naghmay Fiza Mein
KisTarah Jal Tarang Bajaty Hain
Bohat Pukhta Iraday
Kis Tarah Se Toot Jatay Hain
*-*-*-*-*-
Humein Idraak Hi Kab Tha
Humein Kamil Bharosa Tha
Hamary Sath Kisi Surat
Bhi Aisa Nahi Ho Ga
Dil-e-Nadaan Kabhi
Qaboo Se BeQaboo Nahi Ho Ga
Yeh DuniyaDaar
DuniyaDaar Se Saadhuu Nahi Ho Ga

Magar....
*-*-*-*-*-
Magar Phir Yun Huwa Jaana
Na Janay Kiun Huwa Jaana
Bara Afsoon Huwa Jaana
Jigar Ka Khoon Huwa Jaana
*-*-*-*-*-
Tery Abroo Ki Ik Jumbish
Se Ghayel Ho Gaye Hum b
Baray Be Multafit Phirtay Thy
Maayel Ho Gaye Hum b
Sakhawat Karnay Aye Thy
Aur Saayel Ho Gaye Hum b
Baray Borhoon Ki In Baaton k
Qaayel Ho Gaye Hum b

K .....
*-*-*-*-*-
Mohabbat Rog Hay Jaana
Ajab Sanjog Hay Jaana
Yeh Kaisa Jog Hay Jaana...!!!
*.*.*.*.*.*.*.*.*.*.*.*.*
==========================
Post Auto Merge
==========================
http://img256.imageshack.us/img256/7817/flower018.gif


[Tu Ne Jo Chonk Kar Her Simth Nigah Ki Hogi
Mere Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sada Di Hogi



Ye Jo Moti Baraste Hey, Teri Yaad Mein Aksser
Badloon Ne Meri Aankhon Ko Dua Di Hogi


Jhilmillati Hooye Ek Baat Jo Sochi Mene
Yaser Ne Jaake Ussay Zaroor Bata Di Hogi

Zikir Aaya Jo Kabhi Mera Uss Ki Mehfil Mein
Khefiyet Mittane Ko Uss Ne Baat Ghhuma Di Hogi


Wo Rah Se Guzrey Bhi Plutt Ker Bhi Na Dekhe
Aakhiri Ummed Mareez-e-Ishq ki Bujha Di Hogi

Dill Saada Tu Barra Khush Fehum Hey Lekin Yaser
Uss Ne Soorat Bhi Teri Kab Ki Bhulla Di Hogi

Naam Koi Bhi Na Le Meri ZINDAGI ka Yahaan
Shehar Mein Uss ne, Yeh MaNaDi karwa Di Hogi
==========================
Post Auto Merge
==========================
http://img256.imageshack.us/img256/7817/flower018.gif

Yeh sheeshe yeh sapne yeh rishte yeh dhaage
Kisse kya khabar hai kahan toot jayen
Mohabbat ke darya main tinke wafa ke
Na jaane yeh kis morr per doob jayen
Ajab Dil ki basti ajab Dil ki vaadi
Her ek morr mausam nayi Khushiyon ka
Lagaye hain humne bhi sapno ke podde
Magar kya bharosa yahan baarishon ka
Muradon ki manzil ke sapno main khoye
Mohabbat ki raahon pe hum chal parhe the
Zara door chal ke jab Aankhein khuli to
Karri dhoop main hum akele kharre the
Jinhein Dil se Chaha jinhein Dil se pooja
Nazar arahe hain woh hi ajnabi se
Rivayat hai shayad yeh sadiyon purani
Shikayat nahi hai koi Zindagi se

"K.G"
08-13-2009, 06:50 PM
Very Nice ColleCtiOn Kainaat !!

K@IN@@T
08-13-2009, 06:52 PM
THANK U KG BHAI:thankyou:

life
08-13-2009, 07:11 PM
nice...........................

K@IN@@T
08-13-2009, 07:13 PM
Thanx.........

SHAYAN
08-13-2009, 09:10 PM
Zaberdast Kainaat :)

K@IN@@T
08-14-2009, 12:03 PM
thanx u shayan bhai:)
==========================
Post Auto Merge
==========================
http://img156.imageshack.us/img156/7817/flower018.gif

Kahin Aarzo-E-Safar Nahin, Kahin Manzilon Ko Khabar Nahin
Kahin Rasta He Andheer Hai, Kahin Pa Nahin Kahin Par Nahin

Mujhay Iztraab Ki Chah Thi Mujhay Bay Kali Ki Talaash Thi
Unhe Khuwahishaat K Jurm Main Koi Ghar Nahin Koi Dar Nahin

Koi Chaand Tootay Ya Dil Jalay Ya Zameen Kahin Say Ubal Paray
Hum Aaseer Surat-E-Haal Hain Humain Hadsaat Ka Dar Nahin

Aaye Hawa-E-Gham Zara Merey Sath Reh, Merey Sath Chal
Merey Sath Merey Qadam Nahin Merey Sath Meri Nazar Nahin

Yeh Umar Bhar Ki Riazatain Yeh Nagar Nagar Ki Musafatain
Yeh Tu Roog Hain Mah-O-Saal K Yeh Gardishain Hain Safar Nahin

==========================
Post Auto Merge
==========================
http://img156.imageshack.us/img156/7817/flower018.gif

Aik chand tanha khara raha meray aasman say zara paray
Mere saath saath safar main tha meri manzlion say zara paray

Kabhi dil ki baat kahi na thi jo kahi to wo b dabi dabi
Mereay lafz ti thay poray magar, teri sama'toon sya zara paray

Tu chala gay amere hum-safar zara deakh mur k to aik nazar
Meri kahshtiyan hain jali huen, tere sahiloon say zara paray

dur-e-shahwar
08-14-2009, 06:40 PM
wowwwwwwww sis kia bat hia
v nyc

RAJA_PAKIBOY
08-15-2009, 04:14 AM
:zabardast:
very nice sharing

K@IN@@T
08-15-2009, 06:33 PM
thanx sis
thanx paki boy
==========================
Post Auto Merge
==========================
http://img218.imageshack.us/img218/7817/flower018.gif

apna dil pesh karoon apni wafa pesh karon
kuch samajh main nahi aata tujhe kya pesh karon
tere milne ki khushi main koi naghma chedoon
ya tere dard ki juda'ee ka gila pesh karoon
mere khwaboon main bhi tu mere khayaloon main bhi tu
kaun si cheez tujhe tujh se juda pesh karoon
jo tere dil ko lubha de woh ada mujh main nahi
kyun na tujh ko koi teri hi ada pesh karoon
==========================
Post Auto Merge
==========================
http://img218.imageshack.us/img218/7817/flower018.gif

[COLOR="DarkOrchid"][aansooun ki wadi main
dil nazuk rehtay hain
jo ***** kha kar bhi
kuch kar nahi patay hain
in aansooun ki wadi main
dheeray say chalnay
yahan kaii dil hain
jo toot gatay hain
in masoom dilloun ko
jab rah na millay
affsurda si niggahon say
hassrat main gungonatay hain
in dukhi dilloun ko
koi dukh na dayna
yah aansooun ki wadi hai
yahan khammosh rehna
prinday bhi rootay hain
aur chup chaap say rehtay hain
phool jo khiltay hain
murgha say gatay hain
har chahra yahan pay
ghamzada sa hai
har aankh yahan pay
soogi hoi hai
yah aansooun ki wadi hai
yahan tum na aana
yahan weeran dil bastay hain
yahan tum na basna..
/COLOR]

FAJAAN
08-15-2009, 10:26 PM
v.nyce

K@IN@@T
08-15-2009, 10:27 PM
thanx...

K@IN@@T
08-16-2009, 09:25 PM
http://img269.imageshack.us/img269/2387/fetcha.gif


har tamashai faqat sahil se manzar dekhta
kaun dariya ko ulatata kaun gauhar dekhta


wo to duniya ko meri divangi khush a gai
tere hathon main vagarna pahala patthar dekhta


ankh main ansu jare the par sada tujh ko na di
is tavaqqo par ki shayad tu palat kar dekhta


meri qismat ki lakirain mere hathon main na thin
tere mathe par koi mera muqaddar dekhta


zindagi phaili hui thi sham-e-hijran ki tarah
kis ko itana hausala tha kaun ji kar dekhta


dubane vala tha aur sahil pe cheharon ka hujum
pal ki mohalat thi main kis ko ankh bhar ke dekhta


tu bhi dil ko ik lahu ki bond samajha hai 'Faraz'
ankh gar hoti to qatre main samandar dekhta
==========================
Post Auto Merge
==========================
http://img81.imageshack.us/img81/7817/flower018.gif

Tum ishaq mujhi say kartay ho

Bay baat bigartay rehtay ho
Bay chain hamesha rehtay ho
Yeh sab nishani ISHQ ki hai
Kiya ISHQ kisi say kertay ho?

Ratoon ko jagtay rehtay ho
Aur taray bhi tum gintay ho
Yeh sab nishani ISHQ ki hai
Kiya ISHQ kisi say kertay ho?

Zikr jo mera chalta hai
Chehray ka rang badalta hai
Bay chain say tum ho jatay ho
Kiya ISHQ mujh hi say kertay ho

Tum payaar mujay kab kartay ho
==========================
Post Auto Merge
==========================
Bethe yonhi achanak kahin main khone lagti hon

http://img269.imageshack.us/img269/3897/100566.jpg

Bethe Bethe yonhi achanak kahin main khone lagti hon
Khud hi se Khafa khafa si main hone lagti hon,

Sochti hon jab bhi Uske dard-o-ghum ka aalam
Ho ke beikhtiyaar palkein main bhigone lagti hon,

Ek uska naam, uski yaad usi ka tassawur rehta hai aas paas
Jab bhi ankehin kholti hon subho, Raat jab bhi main sone lagti hon,

Wo ek baar Usne ne kaha tha; “(mera naam) Main ab thak gya hon”
Aaj bhi us lehje ki thakan karke mehsoos,Bechain si main hone lagti hon,

Duaon pe apni mujhe bharosa bouhat hai sadiyon se
Ek yehi bharm dil mein liye,Khwab uske main sanjhone lagti hon,

Ek sheeshe ka ghar sang uske maine bana to liya hai
Dekh kar duniya ke haath mein pathar, khauf-zada si main hone lagti hon,

Dard chupata hai jab wo, dil se nahin faqt labon se muskurata hai jab wo,
Jane koan se ehsas se main tadap jati hon,bebasi mein main rone lagti hon,

Bethe bethe yonhi achanak kahin main khone lagti hon
Khud hi se Khafa khafa si main hone lagti hon

SHAYAN
08-16-2009, 10:15 PM
V.Nyc.. Keep It Up :)

K@IN@@T
08-16-2009, 10:17 PM
thanx shayan bhai

K@IN@@T
08-17-2009, 08:35 PM
Us Simt Chalay Ho, To Bus Itna Usay Kehna
Ab Koi Nahi Harf-e-Tamana Usay Kehna!!!

Dunya To Kisi Haal Mein Jeenay Nahi Deti
Chahat Nahi Hoti..Kabhi Ruswa..Usay Kehna!!

Us Nay Hi Kaha Tha To...Yaqeen Mein Nay Kiya Tha
Umeed Pay Qaem Hai Yeh DUnya Usay Kehna!!!

Zarkhaiz Zameenain Kabhi Banjar Nahi Hoti
Darya Hi Badal Letay Hain..Rasta..Usay Kehna!!

Wo Meri Rasaae Mein Nahi Hai..To Ajab Kia!!!
Hasrat Bhi To Hai Ishq Ka Lehja Usay Kena!!!

Kuch Log Safar k Liyay Mozoo'n Nahi Hotay
Kuch Raastay Kat'ty Nahi Tanha Usay Kehna!!!
==========================
Post Auto Merge
==========================
http://img216.imageshack.us/img216/349/sktmpsd2l6nko7924969409.gif

MOHABBAT Hoti Hay


azal sey Mohabbat hai maavra lafzon ki maala sey
magar yeh bhi haqeeqat hai
Mohabbat soch k aakaash par baadal ki soorat mein
sada parwaaz karti hai
kabhi baarish ki boondon mein simat kar dil ki dharti par
utarti hai ...... bikahrti hai
ada ley kar saba sey yeh, gulaabon sey mehak ley kar
dhanak sey rang ley kar aur sitaron sey chamak ley kar
haseen aanchal banati hai
issi aanhcal sey phir khawabon k kachay ghar banati hai
Mohabbat aazmati hai
kabhi yeh shair ban kar lafz ki hurmat barhati hai
kabhi yeh saaz ban kar dheeray dheeray gungunati hai
saraapa aankh ban jati hai yeh mehboob ko paa kar
anokha lams ban jati hai koye-eyaar mein ja kar
na janay kosa manter parh kar holey holey sey
kisi ki band palkon mein bina dastak diye yak dum
utar kar ghat banati hai ..... Mohabbat mustarati hai
yeh khushboo hai hamehsa phool ki saansoon mein hoti hai
bana dey chand ' tera shab ko jo yeh aisa moti hai
kasak hai daaimi is mein 'buhat be naam lazat hai
Mohabbat ki yehi tareef hai k

life2
08-17-2009, 11:35 PM
v..nyc........

K@IN@@T
08-18-2009, 12:59 PM
thanx life 2 sis keep visiting:blob_clap:
==========================
Post Auto Merge
==========================
http://img231.imageshack.us/img231/9219/barbie02.jpg


Tu is qadar mujhe apne qareeb lagta hai
Tujhe alag se jo sochuun, ajeeb lagta hai

Jisay na husn se matlab na ishq se sarokaar
Vo shaksh mujh ko bahut bad-nasiib lagta hai

Hudood-e-zaat se baahar nikal ke dekh zara
Na ko’ii Ghair, naa ko’ii raqeeb lagta hai

Ye dosti, ye maraasim, ye chahatein ye khuluus
Kabhii kabhii ye sab kuch ajeeb lagta hai

Ufaq pe duur chamaktaa huvaa ko’ii taara
Mujhe charaagh-e-dayaar-e-habeeb lagta hai

Na jaane kab ko’ii tuufaan aaye ga yaaro
Buland mauj se saahil qareeb lagta hai

==========================
Post Auto Merge
==========================
http://img8.imageshack.us/img8/1519/os4s9s.jpg


Khushi Ka Ghum Hai Na Ghum Ke Koee Khushi Ab Tu
Bohat Udaas Guzarte Hai Zindage Ab Tu


Teray Bagair Bhi Dil Ke Tassaliyoon Kay Liyay
Ak Intazaar Ke Shab Thi So Dhal Chuke Ab Tu


Ak Aashna Kay Becharnay Say Kia Nahi Badla?
Hawa -e- Shaher Bhi Lagte Hai Ajnabi Ab Tu


Tamam Raat Rahi Dil Main Roshni Ke Lakeer
Mesaal Shama -e- Sahar Wo Bhi Jal Bhuje Ab Tu


Chale Thi Jin Say Yaha Rasm -e- Khud Negahdari
Unhain Aziz Howa Zkar Khud Kshi Ab Tu


Kaha Gay Wo Shanasa Wo Ajnabi Cheray !
Ujaar Nazer Aate Hai Har Glee Ab Tu

"K.G"
08-18-2009, 02:01 PM
Very Nice CollectioN ..

Alia
08-18-2009, 02:02 PM
superb hafsa

K@IN@@T
08-18-2009, 02:05 PM
Thanx kg bhai
thanx alia sis

K@IN@@T
09-16-2009, 11:59 PM
Wo bewafa bhool gaya humein kuch hi dinon main,
Hum ney bhi us ko yaad kerna chore diya,

Palet ker na daikha us zalim ney ik bar bhi,
Hum ney bhi us ki yaad main ansoo bahana chore diya,

Mana bohet si galtiyan hoi hum sey piyar main,
Mger us ney bhi humein samjhana chore diya,

Baney hum sahara tamam umer jis sangdil ka,
Zindgi ke balkhatey more per usi ney humein besahara chor diya,

Lertey rahey hum tmam umer jis key sath ki khatir,
Usi ney humein is fani duniya main tanha chore diya

Berdashet ki her takleef hum ne jis k badnaam honey k dar se,
Usi ne humein sarey zamaney main ruswa ker k chor diya

Ada kerna to chahtey they hum kafara apney gunahon ka,
Mager logon ki terha us ney bhi hamara sath chor diya,

Pehley sochtey they k kiyun us ney chore diya humein,
Koi our mill gaya ho ga ye soch ker hum ney sochna chore diya,

Sochti ho gi wo bhi sari sari raat jaag ker TANVEER,
K kiyon main ney us Ashiq ka dil tor diya.

K@IN@@T
09-17-2009, 12:03 AM
Masoom mohabbat ka bas itna sa fasaana hai,
Kaagaz ki haveli hai, baarish ka zamaana hai,
Kya shart-e-mohabbat hai, kya shart-e-zamaana hai,
Aawaz bhi zakhmi hai, aur geet bhi gaana hai,
Uss paar utarne ki ummeed bohat kum hai,
Kashti bhi purani hai, toofan ko bhi aana hai,
Samjhe ya na samjhe wo andaaz mohabbat ke,
Ek shaqs ko aakhon se, ek sher sunaana hai,
Bholi si adaa,
koi phir ishq ki zidd par hai,
Phir aag ka dariya hai, aur doob ke jaana hai!

K@IN@@T
11-02-2009, 11:36 PM
Zindagi bikhri bikhri
aarzoo khooyi khoyi
har tamanna hai adhoori
dard main doobi hui
zindagi matam sara hui

kaise bebasi aur bekali
bandagi roothi roothi sii
tadapti har khwahishen
risne lagi hai ankh se
ansoo ke rele rele yunhi

ya khudaya meri zindagi
gamginiyon mai dhalne lagii
har tamanna simti simti
har aarzoo jawan jawaan
tamannain ghutti-ghutti sii

aa dekh jaa meri aarzuain
kaise waqt ki thokoron main hui
meri chahatein seena chirtii
siskiyon main lipti hui
aarzoo ko dafn karti hui...
__________________

K@IN@@T
11-02-2009, 11:38 PM
TUM TO BAS AIK HI DUKH PUCHTY HOO

Koan se dukh ki kareen baat zara yah to bata

Mosmoon , serd hawaoon ki masihai ka dukh

Rah ki dhuul main bikhri hui benaai ka dukh

Sang k shaher main khud se shanasai ka dukh

Ya bhagi bersaat main tanhai ka dukh

Koan se dukh ki kareen baat kah dil ka derya

Itni tughyaani ki zaad per hai kah kuch yaad nahin

Kab hamain bhuul gia koan se herjai ka dukh

Tum to bas aik hi dukh puchty hoo

K@IN@@T
11-02-2009, 11:57 PM
Hum jo toote to is tarah toote
jaise hathon se girr k pathar par
koi shafaaf aaiina toote
jaise palkon se toot tha aansoo
jaise seene main ik kamaan toote
jaise umeed ki nazuk daali
barg mosam main na gahaan toote
jaise aankhon main khwab ki doori
waqt e takmeel se ulajh jaye
jaise pairon tale zameen nikle
jaise sar par yeh asmaan toote
jaise ik shaakh pe bharosa kia
is pe jitne thay aashiyaan toote
jaise wehshat se hosh aa jaye
jaise ta dair main dheyaan toote
ab jo raiza howay to sochte hain
kis nay dekha tha tootna apna
hum jo toote to raayegaan toote

~wish munda~
11-03-2009, 12:18 AM
realy coool collection sis

K@IN@@T
11-03-2009, 12:22 AM
thanx a lot wish bhai
keep visiting

K@IN@@T
11-03-2009, 07:26 PM
Kitaboon mein mere fsaney dhoondte hein

Nadaan hein guzre zamane dhoondte hein

jab woh they to talash-e-zindagee bhi thee

ab to maut k thikaney dhoondte hein !!

kal khud he apni mehfil se nikala tha

Aaj huwe se diwane dhoondte hein

musfir be-khabr hein teri AANKHOON se

tere shehr mein mei-khaane dhoondte hein

tujhe kya khabr ae sitam dhane wale......

Hum to roney k bahane dhoondte hein .... !!!!!!

K@IN@@T
11-04-2009, 09:46 AM
~*Sahil To Freeb Nazar Tha *~
Main to ashfata sahar tha pehly bhi
Dostoon k hathe main pathar tha pahly bhi

Chand lamhain kar li hum se dil lagi warna
Jafaoun pe amada sitamgar tha pahly bhi

Nakhuda choor gaya bhanwar main to kiya huwa
sahil to freeb nazar tha pahly bhi

Yeh aur baat aaa gaye chand lamhe nishat k
Tuj pe takiya to aye chasham tar tha pahly bhi

Daman jhatak liya kisi ne to kiya gilah
Main to gard rahguzar tha pahly bhi

Ziya dekh bhul gaya raftar apni
Andhera to apna humsafar tha pahly bhi

Abhi kirchiyaan jama bhi na huyen k phir tuut geya
hayee is baat ka dar tha pahly bhi...

K@IN@@T
11-06-2009, 08:19 PM
~MAIN ROI TO NAHIN HOON~


Najaney Kiyoon Mera Kajal

Jab Bhi Dalo Ankhon Main

Ab Akser Phail Jata Hai

Main Roi To Nahin Hoon......

Tum To Jantey Ho In Dino

Bohat Hi Thand Hoti Hai

Tab Hi Hai Surkh Meri Naak

Main Roi To Nahin Hoon......

Kaha To Hai Yunhi Buss

Bheega Hai Aanchal Ka Kona

Choro Tum Fiker Mat Karo

Main Roi To Nahin Hoon......

Nahin, Udaas Kab Hoon Main

Ziyada Kaam Kay Baies

Thakawat Ho Hi Jati Hai

Main Roi To Nahin Hoon......

Eid Aai Hai, Woh Ab Bhi

Nahin Aata To Na Aaye

Ab Us Ki Yaad Main Dekho

Main Roi To Nahin Hoon.....

Bata Dena Us Ko Ja Ker

Koi Khush-Fehmi Na Palley

Waisey Hi Surkh Hain Ankhin

Main Roi To Nahin Hoon....

life2
11-06-2009, 10:16 PM
nyc.,

mom ke rishtey hai.n garmiii se piighal jaaayenge
dhuup ke shahar me.n "Aazer ye tamaashaa na karo

K@IN@@T
11-06-2009, 10:29 PM
zabardast poetry life2 sis
and thanx 4 visiting

K@IN@@T
01-26-2010, 02:21 PM
محبت ذات ہوتی ہے۔۔۔۔۔
کوئی جنگل میں جا ٹہرے
کسی بستی میں بس جائے
محبت ساتھ ہوتی ہے۔۔۔۔۔۔۔۔۔
محبت خوشبوؤں کی لے
محبت موسموں کی دھن
محبت آبشاروں کے بہتے پانیوں کا من
محبت جنگلوں میں رقص کرتی مورنی کا تن
محبت برف پڑتی سردیوں میں دھوپ بنتی ہے
محبت چلچلاتے گرم صحراؤں میں ٹھنڈی چھاؤں کی مانند
محبت اجنبی دنیا میں اپنےگاؤں کی مانند
محبت دل۔۔۔۔۔۔۔۔۔!
محبت جاں۔۔۔۔۔۔۔۔۔
محبت روح کا درماں۔۔۔
محبت مورتی ہے۔
اور کبھی جو دل کے مندر میں کہیں پر ٹوٹ جائے تو؟؟؟؟؟؟
محبت کانچ کی گڑیا
فٍضاؤں میں کسی کے ہاتھ سے گر چھوٹ جائے تو؟؟؟؟؟
محبت آبلہ ہے کرب کا
اور پھوٹ جائے تو؟؟؟؟؟
محبت روگ ہوتی ہے ۔۔۔۔۔
محبت سوگ ہوتی ہے۔۔۔۔۔۔۔۔۔
محبت شام ہوتی ہے ۔۔۔
محبت رات ہوتی ہے۔۔۔۔۔
محبت جھلملاتی رات میں برسات ہوتی ہے!!!!!
محبت نیند کی رت میں حسیں خوابوں کے رستوں پر
سلگتے، جاں کو آتے ،رتجگوں کی گھات ہوتی ہے۔۔۔۔۔۔۔
محبت جیت ہوتی ہے؟؟؟
محبت مات ہوتی ہے۔۔۔۔۔۔
محبت ذات ہوتی ہے۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔

K@IN@@T
01-29-2010, 02:51 AM
Setaroon Ko Bholanay Say Mohabbat Kam Na Hoge
Yah Nagmay Gungunanay Say Mohabbat Kam Na Hoge


Main Teri Chaand Yadoon Ko Gazal Ka Roop Day Donge
Tumharay Aazmanay Say Mohabbat Kam Na Hoge


Doaoon Kay Tabassum Say Ghataoon Ka Jegar Peglay
Mager Yoon Muskuranay Say Mohabbat Kam Na Hoge


Nasheman Zindagi Ka Noor Say Bhi Khoob Roshan Hai
Sumander Kay Ltanay Say Mohabbat Kam Na Hoge


Faraq o Wasal Ke Bateen Tu Touheen -e- Mohabbat Hain
Kese Kay Dorr Janay Say Mohabbat Kam Na Hoga


Charaag -e- Aarzoo Roshan Rahay Ga Har Ghari Har Dam
Keh Teray Yoon Satanay Say Mohabbat Kam Na Hoge
__________________

K@IN@@T
01-29-2010, 02:53 AM
main ik aajeeb larki hoon...

Log kehtey hein kaisi aajeeb larki hoon..
per zindagi sey qareeb larki hoon,

Chahatoon ki chahat mey khud ko hi badal dala....
per chahatoon key maamley mey
main bilkul ghareeb larki hoon,

Samjha hey mujh ko usney, jisey janti nahi main....
Mujhey chahta hey laikin yeh manti nahi main....

Main apney aap ki shayed...
khud hi raqeeb larki hoon...
Kaisi aajeeb larki hoon,

Meri zindagi ka hey fulsafa…
mery pyar mey bhi mantuq hey,

Usey chahoon sirf, jesey paa sakoon,
jo na miley tu bhola sakoon,

naey deep phir sey jala sakoon,
naey khawab aankhoon mey saja sakoon,

Yeh hi pyar hey, yeh hi zindagi..
Yeh hi hey haqeeqi bandagi,

per yeh baat jab kabhi bhi...
kisi ko main samjha nahi sakti,
faqat itna hi kehti hoon...

haan main ik aajeeb larki hoon...
per zindagi sey qareeb larki hoon.

K@IN@@T
01-29-2010, 02:57 AM
Teri Yaad Aate Hai"




Jab Yoon Hi Kabhi Baithay Baithay

Kuch Yaad Achanak Aa Jaye

Har Baat Pay Dil Bezaar Sa Ho

Har Cheez Say Dil Ghabra Jaye

Karna Bhi Mujhay Kuch Or He Ho

Kuch Or He Mujh Say Ho Jaye

Kuch Or He Sochoon Main Dil Main

Kuch Or He Hontoon Pay Aa Jaye

Aisay He Kise Lamhay Main

Chupkay Say Kabhi Khamoshi Main

Kuch Phool Achanak Khil Jain

Kuch Beetay Lamhay Yaad Aaye

Us Waqt Tumhari Yaad Aate Hai

Jab Chaandni Dil Kay Aangan Main

Kuch Kehnay Mujh Say Aa Jaye

Ak Khabeeda Se Chottay Koee

Ehsaas Pay Meray Cha Jaye

Jab Zulf Pareshan Chehray Per

Kuch Or Pareshan Ho Jaye

Kuch Dard Bhi Dil Main Honay Lagay

Or Saans Bhi Bhoojal Ho Jaye

Aisay He Kese Ak Lamhay Main

Chupkay Say Kabhi Khamoshi Main

Kuch Phool Achanak Khil Jaye

Jab Shaam Dhalay Chaltay Chaltay

Manzil Ka Na Koee Naam Melay

Hansta Howa Ak Aaghaz Melay

Routa Howa Ak Anjaam Melay

Palkoon Kay Laraztay Ashkoon Say

Is Dil Ko Koee Paygaam Melay

Or Sari Wafaoon Kay Badlay

Mujh Ko Hi Koee Elzaam Melay

Aisay He Kese Ak Lamhay Main

Chupkay Say Kabhi Khamoshi Main

Kuch Phool Achanak Khil Jaye

Kuch Beetay Lamhay Yaad Aaye

Us Waqt Teri Yaad Aati Hai

Shiddat Say Teri Yaad Aati Hai

RAJA_PAKIBOY
01-29-2010, 04:45 PM
بہت ہی خوب ۔۔۔زبردست ۔۔
اتنی عمدہ شاعری شیئر کرنے کے لیئے بہت بہت شکریہ http://www.meraforum.com/images/icons/icon7.gif

K@IN@@T
01-29-2010, 06:30 PM
THANK U :i-agree:

K@IN@@T
02-02-2010, 03:14 PM
Huwa jo kuch, bhulana chahiye tha
usay ab laut aana chahiye tha!
yeh sara bojh mere sar pe kiyoN hai?
usay bhi gham uthana chahiye tha
kh'moshi say ta'aluq torr dala
usay pehlay batana chahiye tha
usi ki yad ki khusbu hai dil maiN
mujhe jisko bhulana chahiye tha
zara ghalti pe woh yooN rooth baitha
usay goya...bahaana chahiye tha
karakti dhoop maiN jhulsa gaya tha
parinday ko thikana chahiye tha
mujhe pa kar usay kiya chain milta!
jisay saara zamana chahiye tha

K@IN@@T
02-03-2010, 04:27 PM
[COLOR="Sienna"Aankhon Say Kaho Khamosh Rahay



Aankhon Say Kaho Khamosh Rahay

Ak Dojay Say Ham Bichar Chalay

Go Aaj Say Bilkul Ujar Gaye

Ab Jeewan Ho Ga ZindaN Sa

Ab Yaadain Roz Sata'en Gee

Ab Saansay Ruk Ruk Kay Aai Gee

Ab Neend Say Uth Uth Rooye Gaye

Per Zabt Hay Ab Laazim Chanda

Is Lamhay Ashk Bahao Mat

Tum DIL Ko Or Jalao Mat

Ye Zakham -e- Wafa Chup Chaap Sahay

Aankhon Say Kaho Khamosh Rahay ..... !!!
__________________[/COLOR]

K@IN@@T
02-05-2010, 08:40 PM
Yaadon ko bhulai baithe hain,
ashkon ko sukhai baithe hain,
woh jaan na jayen haal-e-dil,
hum ishq chupaye baithe hain,
koi puch batalaun kya...?
Mai dil ka haal sunau kya...?
Ek sapna hi tha tut gaya,
phir khwab sajaye baithe hain,
ye ishq mujhe hi hona tha....!
mujhko hi bus yun rona tha....!
kuch dard use bhi mil jaaye,
kuch ilm use bhi ho jaye,
woh jaan to jayen kya hai wafa,
ye aas lagay baithe hain,
woh jaan na jayen haal-e-dil,
HUM ISHQ CHUPAYE BAITHE HAIN

DeV!L
02-05-2010, 09:02 PM
Yaaar AmazinG .. :)

K@IN@@T
02-05-2010, 09:04 PM
thank u
keep visiting

K@IN@@T
02-12-2010, 06:38 PM
Woh khaloos tha k khumar tha
Woh janoon tha k SaRaB tha
Mujhay sochnay main zaman laga
Mujhay munzilon nay bhoola diya
Mujhay jis masiha pay maan tha
Mujhay us nay sooli charha diya

Kai humsafar kai rahguzr
Mujhay rastay main milay magar
Meri tushnagi kuch aur hai
Meri justajoo koi aur hai

Woh jo roshni ki tarha barhay
Magar anson main sama sakay

Jo subha ki pehli kiran banay
Mere dil ka aangan nikhaar de
Jo muhabbaton ki ravaytein
Laho ki bali say sanwaar day
Mujhay us wafa ki talaash hai
Mujhay us wafa ki talaash hai

Magar is jahan-e-kharab main
Yahan khahishon kay SaRaB main
Mujhay kon day aisy wafa
Main kahan say laoon woh wafa
Inhi uljhanon main ghira hua
Yehi sochta maiin chala gaya

K@IN@@T
02-12-2010, 06:38 PM
Ae Khuda Tujhse Dua Hai Meri
Kisiko Itne Gam Na De Ki Woh

Aansoon Bhi Sambhaal Na Sake.
Kisiko Itne Zakhm Na De Ki Woh

Marham Bhi Na Laga Sake.
Gar Nahi Kar Sakta Tu Itna,To Itna Hi Kar

Ki Jab Woh Insaan Maange Maut,
Tab Woh Aaram Se Marr Sake.

Itna Karna Ki Tu Us Insaan
Ko Apne Seene Se Laga Sake

Us Insaan Ko Uske Apno Ne Sataaya Hai,
Duniya Bhar Ne Us Par Sitam Dhaaya Hai.

Bas Khuda Tu Itna Kar Ki Tu
Us Insaan Ko Apna Sake.

Insaan Vaisa Dhoondne Ki Bhi Zaroorat Nahi Tujhe,
Ek Vaisa Hi Insaan Pukar Raha Hai Khud Tujhe.

Is Insaan Ki Pukar Bas Pohanch Jaaye Darr Tak Tere,
Khatam Kar De Saare Gaamon Samandar Mere

DeV!L
02-12-2010, 06:58 PM
yaar realli touchyyy

!«╬Ĵamil Malik╬«!
02-13-2010, 07:27 PM
beautiful collection sis :994:
:0017:

Zafina
02-13-2010, 07:42 PM
Really Very Good ....... :)

shani
02-13-2010, 07:50 PM
K@IN@@T je beautiful sharing.. keep it up (y) :)

K@IN@@T
03-15-2010, 01:10 AM
Thanx all

K@IN@@T
03-15-2010, 01:17 AM
http://www.artcountrycanada.com/images/romance-evening-skaters.jpg
Tum he ko dekhte rehna
Tum he ko chahte rehna
http://www.artcountrycanada.com/images/romance-faithful-friends.jpg

http://www.artcountrycanada.com/images/romance-riding-partners.jpg
buhat gehre khyalon mai

jawabon mai
sawalon mai
muhabbat k hawalon mai
Tumhara naam aa jana mujhe acha sa lagta hai

http://www.artcountrycanada.com/images/romance-Little-Family.jpg
Tumhare sang sang chalna
wafa ki aag mai jalna

http://www.artcountrycanada.com/images/romance-Through-the-Eyes-of-a-Child.jpg
Tumhe naraz kar dena
kabi khud b roth jana
http://www.artcountrycanada.com/images/romance-handinhand.jpg
Tumhari be rukhi pe b tumhari arzoo karna
kabhi apne dil ki dhahkan se tumhari guftugo karna
http://www.artcountrycanada.com/images/romance-a-reward-for-star.jpg

K@IN@@T
03-15-2010, 01:18 AM
Labon Pay Rukti, Dilon Main Sama Nahi Sakti




Labon Pay Rukti, Dilon Main Sama Nahi Sakti
Wo Ak Baat Jo Lafzon Main Aa Nahi Sakti

Jo DIL Main Ho Nazar -e- Ghum Tu Ashq Paani Hay
Keh Aag Khaak Ko Kundan Bana Nahi Sakti

Yaqeen, Gumaan Say Bahar Tu Ho Nahi Sakta
Nazar Khayal Say Aagay Tu Jaa Nahi Sakti

Dilon Ki Ramz Faqat Ehal -e- Dil Jantay Hain
Teri Samajh Mai Meri Baat Aa Nahi Sakti

Yeh Souz -e- Ishq Tu Goongey Ka Khowab Hay Jesey
Meri Zubaan Meri Haalat Bata Nahi Sakti

Simat Rahi Hay Meray Baazo'on Kay Halqay Main
Haya Kay Boojh Say Palkein Utha Nahi Sakti

Jo Keh Raha Hay Sulagta Howa Badan Us Ka
Bata Bhi Paati Nahi, Or Chupa Nahi Sakti

Ak Aisay Hijar Ki Aatish Hai Meray Dil Main Jesey
Kesi Wisaal Ki Baarish Bujhaa Nahi Sakti

Tu Jo Bhi Hona Hai, Amjad Yahin Pay Hona Hai
Zameen Madaar Se Bahar Tu Jaa Nahi Sakti

K@IN@@T
03-15-2010, 05:23 PM
Wo bichra hai mujh say muskuratay hoay..
Barsoon ka aks tha in nigahoon main jatay hoay...
Na main nay us ko roka,na us nay palat kay dekha.....
Apnay jazbaat chupae hain hum nay yun nigah churatay hoe...
Hum ko akhir ik din bichar hi jana tha Iman,
Khud ko behlaya hai ye samjhatay hoay..
Us ka bhi hai koi muntazir us paar....
Meri bhi rah takti hain do ankhain jhilmilatay hoay.............

K@IN@@T
03-17-2010, 06:14 PM
Ab Is Mien Jhoot Shaamil Ha
Mohabbat Mat Kaho Is Ko
Imaarut Dil Ki Girney Do
Taaluq Toot Jaaney Do
Ke Jo Deewaar Apney Boojh Se Girney Pe Aajaey
Diiey Ki Lau Se Is Deewaar Ko Phir Thaamna Kaisa
Hawa Ka Saamna Kaisa
Buhat Kumzoor Sa Sach Hai
Isey Ab Bujh Hi Jaaney Do
Mohabbat Mat Kaho Is Ko
Samjh Lo Sardiyoon Ki Dhoop Jaisa Sach Mohabbat Hai
Panaah Zaat Ki Aagoosh Mien Simtey Howe Sach Mien
Ajub Si Surd Mehri Hai
Keh
Ju Thathray Howe Lufzoon Ko Hidut Nahi De Sakti
Sulagti Raakh Ko Aatish Ki Shidut De Nahi Sakti
Mager Such Bolna To Hai
Andheira Phailna To Hai
Ub Is Se Paishtar Ke Munjamid Taareekiyaan Utrien
Aur Apne Neelgoo'n Honton Ko Si Ker Dhoop Surma Ki
Kisi Ki Bolti Ankhoon Mein Chumkey Aur Mar Jaey
Rutien Weeraan Kerjaey
Osey Ab Laut Jaaney Do
Mohabbat Mut Kaho Is Ko
Mohabbat Mut Kaho Is Ko

Ghaneeray Jungloon Ke Raaste Ka Sach Mohabbat Hai
Sunehri Ghaas Pe Soti Howi Pugdandiyoon Ka Sach
Mujsm Baankpun Ashjaar Se Lipti Howi Badlien
Keh Ju Apni Namo Ki Gungunaahut Hi Se Durti Hai
Dabey Paaon Guzarti Hien
Inhi Ki Aajzi Ka Sach Mohabbat Hai
Mager Tehro Zara Soocho !
Ager Yeh Raaste Pugdadiyaan
Mahaz Harf-E-Tasali Hoon
Kisi Ki Muskuraahut Hoon
Kisi Ke Door Jaate Bhaagte Qadmoon Ki Aahat Hoon
Hawa Ki Sursuraahut Hoon
Ya Aisa Khwaab Jis Ko Aakhrish Aankhien Bhula Daalien
Ya Aisa Khat Jisey Likhien Mager Likh Ker Jala Daalien
To Phir Aey Hum Nafas ! Yeh Maan Lo Yeh Such Nahi Kyun Ke

Ab Is Mein Jhoot Shaamil Hai
Mohabbat Mat Kaho Is Ko!!!!!

venomous
03-17-2010, 07:12 PM
bht khobsurat jee bht ala

life2
03-17-2010, 10:28 PM
vnyc....

~ Sanam Khan ~
03-18-2010, 12:42 AM
GOooD JoB siSooo
K33p !t up

Ghuncha
03-19-2010, 05:05 PM
Nice .....

K@IN@@T
03-19-2010, 05:14 PM
thanx all

K@IN@@T
03-19-2010, 05:25 PM
Aj Main Tanha Behta Yado'n Key Nakheno'n Se....
Maazi Ki Rakh Kureed Raha Hon..
Os Aakhri Sham Ki Yad Ab Tak...
Dil Key Kisi Koney Me Para Ro Raha Hye...
Jab Meray Sath Saans Letay Hoye Aansoo...
Chila Chila Ker Keh Rahey They....
Hame'n Chor Ker Mat Jao...
Mgr...
Meray Lab Khamosh They Aur Tum....
Meray Aansoo'n Ki Awza Sun Nhi Paye They...
Sham Dheeray Dheeray....
Dhalti Ja Rhai Thi....
Prinday Apney Basero'n Ko Laot Rahey They....
Aur Tum....
Meray Dil Ka Basera Chor Ker Ja Rahey They....
Kahie'n Door....
Shayad, Bahot Door...
Darkht Khamosh Kahrey They Aur Main...
Darkht Key Kaandhay Per Sir Rak Ker Ro Raha Tha...
Tum Ney Aakhri Bar....
Meri Jaanib Mor Ker Dekha Aur....
Tumari Nigaaho'n Me Na-Janey Kya Tha Keh....
Meri Palko'n Pe Thehra Aakhri Aansoo....
Aik Nokeeli Salaakh Ki Maanen'd....
Dil Me Utr Gia Tha....
Aah... Wo Shaam...
Kitni Andheri Thi....
Amavas Ki Rat Se Be Ziada Andheri...
Mgr Na-Janey Kyon....??
Itna Waqat Beet Janey Key Bad....
Aaj Main Ney....
Shaam Ki Gulaabi Hateli Pe Likha....
"Meri Bichri Hoi Shaam...!
Aik Bar Laot Ker Aao....!
Main Tumara Muntazir Hon....!!!"

K@IN@@T
03-26-2010, 01:03 AM
Adhorey khawab ke ander. .

Kabhi palkein bichhana mat!

Adhoorey khawab aankhon ko. .

bohat taklif detey hein.

Adhoori yaad ko dil ki ser-zameen mein tum nahi bona!

Adhori yaad dharkan mein. .

bohat chubti, sissakti hy!

Khalish ban ker khatakti hy!

Lahoo mein bijliyan ban ker bhatakti hy!

Adhorey pyaar ko. . . !

. . . laikin. . . .

Chalo! janey do isko ab!

Mohabbat, pyaar aur
chahat. . . , hotey hi adhoorey hein.

K@IN@@T
03-26-2010, 01:04 AM
Main khud zameen, mera zarf aasmaan ka hai,

K toot kar bhi mera hosla chataan ka hai.

Bura na maan mere hurf-o-lafz zehr sahi

Main kya karun, k yehi zaaiqa zabaan ka hai.

Meri sanjeedgi mashhoor hai zamaane mein,

Meri khaamoshi bhi pehlu mere bayaan ka hai.

Har ek ghar pe musallat hai dil ki veeraani,

Tamaam shehr pe saaya mere makaan ka hai.

Bichhar k us se main bas is liye nahi bikhra,

Wo keh gaya tha yehi waqt tere imtehaan ka hai.

life2
03-26-2010, 09:52 PM
sooper..............nyc siso.

K@IN@@T
03-31-2010, 04:00 AM
Main jhEEl hOn. . .
Uktaa Gai hOn. . .
Ab chAhti hOn bEhna. . .
Ghabra Gai hOn. . .
jO bhi Yahan Aata hAi. . .
khAAmOshiYaan Laata hAi. . .
sUljhaY hOyE, lOgOn sE. . .
TanG aa Gai hOn. . .

UsS rOoz, Eik lArki mUjh kO. . .
jAgAA rAhi thi. . .
chUnn chUnn k gOol pAthAr. . .
lEhrain Bana rAhi thi. . .

IsS chAAnd kO tOo DaikhO. . .
mUjh mEin jhAAnkta hAi. . .
ApnaY laabOn kO sEE kEr. . .
hEr rAAt khAAt-ta hAi. . .
pAAni Ka Eik sUch hAi. . .
wOh sUch hAi. . .
bEhtaY jAnA. . .
Chaha Nahi Tha main nE. . .
Main rOki Gai hOn. . .
Main jhEEl hOn. . . !!!

K@IN@@T
03-31-2010, 04:05 AM
Mujse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine,
teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine,
jis pe likha tha ki tu mere muqaddar mein nahi,
apne maathe ki woh tehreer mita li meine,


har janm sabko yahaan sachha pyaar kahaan milta hai,
teri chaahat mein to umr bita li meine,
mujhko jaane kahaan ehsaas mere le jaayein,
waqt ke haathon se ek nazm utha li meine,


ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
teri yaadon se har ek saans saja li meine,
jiske sheron ko woh sunke bahut roya tha,
bas wohi ek ghazal sabse chupa li maine .

K@IN@@T
03-31-2010, 04:06 AM
sooper..............nyc siso. thanx life2 sis :be mine!:

Ghuncha
04-01-2010, 08:35 PM
Nice ........

K@IN@@T
04-02-2010, 06:11 PM
thanx ghun sis

K@IN@@T
04-02-2010, 06:38 PM
Kahin Tum Apni qismat Ka Likha Tabdeel Kar Letay
To Shayed Hum Bhi Apna Rasta Tabdeel Kar Letay

Agar Hum Waqiaa Kam Hoslaa Hotay Muhabbat Mein
Marz Bharne Se Pehlay Dawa Tabdeel Kar Letay

Tumharay Sath Chalne Per Jo Dil Raazi Nahin Hota
Bohat Pehlay Hum Apna Faisala Tabdeel Kar Letay

Tumhari Tarah Jeenay Ka Hunar Aata to Phir Shayed
Makaan Apna wohi Rakhtay Pata Tabdeel Kar Letay

Judaai Bhi Na Hoti Zindagi Bhi Sahal Ho Jati
Jo Ek Dusray Se Masla Tabdeel Kar Letay

Bohat Dundlaa Geya Hai Yaadoon Ki Rim Jhim Mein Dil Saada
Woh Mil Jata To Hum Bhi Aaina Tabdeel Kar Letay

K@IN@@T
07-29-2010, 04:00 PM
Ek waham tha dil mein
shayad khabi miloo tum
kuch daar ruk k poochoo .....


beetay dinoon k mosum
awaz mein ho larzish
ankhoon mein ek tajasus
mazee ka koe lamha
shayad attuck gaya hoo...
sub bhoul kar bhi shayad
kuch yaad a gaya hoo....


phir mea tumhey bataon
apne khoshi ki baatien
har dhuk chupa k dil mein
asoodgee ki baatien
woh channd chudewein ka
taaron bharee woh raatien...
dilkash haseen shaamein
masoom Wardatein...........


woh pyaar ka tasswar
aur bandagee ki baatien
woh roz roz marna
aur zindage ki baatien...
tum dhuk say muskoraoo
dheray say pas aaoooo.....


sir ko jhouka k apnay
chup chaap lout jaooo!
phir mein muskoraoon
munn kay deaiey bojhaoon
dhuraoon apnay dil mein
taleqq se haqeqaat


EK KHUWAB zindagee ka
han omar bhar jo dekha ....
khabi ho saka na pouraa...
yoonhi rah gaya adhura....
haan rah gaya Adhura...ek khuwab zindage ka...

(‘“*JiĢäR*”’)
07-29-2010, 05:32 PM
:bhug:

~~KING~~
07-30-2010, 08:22 AM
very nice suprb...................:bu:

K@IN@@T
10-09-2010, 08:38 PM
Thanx all

K@IN@@T
10-09-2010, 08:38 PM
thanx all 4 liking i m coming back to recontinue my thread once again thanx all and plz keep visiting

K@IN@@T
10-09-2010, 08:39 PM
!!..Mujhay Insaan Matt Kehna..!!

Ager Kuchh naam daina ho ....
Mujhay Insaan Matt kehna .....
Judaa Chehray, Juda bay-shak sabhi ke kaam hotay hai'n ...
Magar Insaaniyat ke abb yahaa'n per daam hotay hai'n ....
Mere Tum daam matt Dena .........
Mujhay ye naam matt Daina .......
Agar kuchh naam daina ho ..
Mujhay Ehsaas keh daina ............
Magar thehro! ................
Mujhay Ehsaas Matt Kehnaa ...................
Mera Buss Naam reh jaay mujhay aisay nahi'n rehnaa ...............
Mujhay Ehsaas Matt kehnaa .................
Ager kuchh naam daina ho, Mujhay saawan he keh daina .........................
Magarr Thehro..............................!
Mujhay saawan nahi'n kehnaa ............
Barasta hai magar rut ke badaltay beet jaata hai ...........
Mujhay Saawan nahi'n kehna ................
Ager kuchh naam daina ho, mujhay aansoo he keh daina ..........
Janam laina kisi ki aankh mai'n, rukhsaar per marna .............
yahi jis ki haqeeqat hai .................
Chalo aansoo he keh daina ................
Magar daikho .....................................
Kisi ki aankh mai'n Mujh ko kabhi aanay nahi'n daina ...............
Ke qeematt aansoo'on ki abb adaa tum se nahi'n ho gee .................
Nahi'n tum yu'n nahi'n kehna .............................
Mujhay Aansoo nahi'n kehnaa ...........
Mujhay aankho'n mai'n bastaa ik hasee'n sapnaa he keh daina ............
Ke sapnay aankh mai'n taaro'n ki tarhaa jhilmilaatay hai'n ........................
Magar Thehro............! .
Mujhay sapnaa nahi'n kehnaa...........
Ke sapnay toot jaatay hai'n ..............
Mujhay Apnaa Nahi'n Kehna .....................
Ke apnay rooth jaatay hai'n .......................

MUSAFIR
10-09-2010, 08:43 PM
saLAM O ALIKUM

K@IN@@T
10-09-2010, 08:46 PM
!!! KAHANI KHATAM HOTI HAY !!!


Suna hay Rai'gaani ki kahaani likh rahay ho tum..??

Kahan say lafz laao gay..??

Ibaarat kya banaao gay....

Jo lehjay main hay dukh ka zaaiqa.....

Kaisay chupa'ao gay...??

Agar tehreer likho gay...

Mohabat ki gawa'hi say....

Judaaii ki siya'hi say....

Qalam ki aankh roye gi.......!

Sabhi asloob.....

Saaray esti'aaray rooth jaain gay.....!!

Jo dil par bund hain baandhay......

Wo saaray toot jaain gay..!!!!!!

Kisi likh kar mit'taii satr par....

Jab dhe'yaan thehray ga.......

Toa ek be-naam rishta.....

Zeest ka unwaan thehray ga.......!!!

Usay jhutlaao gay kaisay........?

Bayaan kar paao gay kaisay......?

Azeeyat k hawaalon ko.......

Mohabat ki misaalon ko.......,

Kisi kirdaar k dil par paray............,

Zakhmon ko, cha'alon ko.....!!,

Bikhartay khwaab likho gay......!!,

Rukay sailaab likho gay..................................!!!,

Kahaani main jahan par hijr ka tum baab likho gay.................!!!!!

Kaho hay taab.........?
.
.
.
Likho gay......?????

Kahaani Main amooman aakhri saf'hay pay aa kar he.........!!

Dilon k chaak siltay hain....!!

Ya wirsay dukh k miltay hain......!!

Magar tum khool bethay ho yeh saf'ha shaam say pehlay....!!!

Maqaam-e-sabr say pehlay......!!

Hadd-e-Ilzaam say pehlay............!!!

Kahaani khatm he karni hay gar.....!!

Anjaam say pehlay................

Toa yeh bhi faisla kar do.....!!!!!!!

Kay hum likhain to kya likhain.........???

Tumhaaray naam say pehlay...!!!!!!!!!!!!!!

K@IN@@T
10-09-2010, 08:46 PM
Walaik-um-salam

MUSAFIR
10-09-2010, 08:48 PM
:zabardast:

MUSAFIR
10-09-2010, 08:50 PM
:;shy;:

MUSAFIR
10-09-2010, 08:55 PM
helooooooooo

MUSAFIR
10-09-2010, 08:56 PM
:withrose:

K@IN@@T
10-10-2010, 07:24 PM
:zabardast:
thanx....

K@IN@@T
10-10-2010, 07:33 PM
Usay maine hi likha tha


Usay maine hi likha tha
Ke lehjey barf ho jayein
To phir pigla nahi kartey
Parinday darr k urr jayein
Tho phir lota nahi kartey

Usay maine hi likha tha
Yaqeen uth jaye tho shayed
Kabhi wapis nahi aata
Hawa'on ka koi toofaan
Kabhi barish nahi lata.........!!!

Usay maine hi likha tha
Ke sheesha too't jaye tho
Kabhi phir jurr nahi pata
Jo rastey se bhatak jaye
Wo wapas murr nahi pata

Usay kehna woh be'ma'eni adhoora khat
Usay maine hi likha tha
Usay kehna k deewanay...........!!!
mukammal khat nahi likhtey...!

K@IN@@T
10-10-2010, 07:35 PM
Sahil ki geeli Rait per

Kisi ne mujh se poocha

Tumhara Mashghala kiya hia?

Main ne Palkain jhukaa kar

Muskuraa kar,,,

Tujhay Likha......

aur

Mita diyaa!!!!!

!«╬Ĵamil Malik╬«!
10-11-2010, 09:35 AM
Beautiful Sharing

K@IN@@T
10-12-2010, 01:09 PM
THANX JAMIL BHAI:thankyou:

K@IN@@T
10-12-2010, 01:09 PM
Meri banjar si aankhon se,

Koi dhoka nahi khao,

K tum kub dekh sakte ho...?

Mere dil main chhupe ghhao,

Ae mere kum-sukhan saathi...!

Tumhain shayad khabar ho gi...?

Mohabbat main jo behte hain,

Wo aansoo khusk hote hain...!!

K@IN@@T
10-12-2010, 01:11 PM
Tumhen aisa kyon lagta hai k hum khud dhoondte hain apne rishton ko,

Suno janaan! Kabhi aisa nahi hota,

Tumharay aur mere chahne se kuch nahi hota,

K sub rishte, sabhi bandhan kahin pehle se rakhe hain,

Wo saare aane wale pal jo aakhir beet jaate hain,

Jo hum se jeet jate hain,

Wo sub pehle se rakhe hain,

Samjh ker soch ker rakhe hain saare pal, sabhi rishte, sabhi mousam...!


Mohabbat bhi to lamha hai, mohabbat bhi to mousam hai,

Yeh kis k dil pe utray ga?

Kahan per kub khile ga? Kon si galion main mehke ga?

Na-jaane kon sa dil is k rangon main fana hoga?

Na-jaane kon sa dil is lamhe ko paate he ghani tareek galion ki musafat se reha ho ga...?

Wazahat hum nahi kerte,

Mohabbat hum nahi kerte,

K ye to jadugarni hai jo hum ko dhoond leti hai,

Humen pehchan leti hai,

Kisi masroof kamre main parri bekaar cheezon se ye hum ko chhaan leti hai,

Kabhi jub zakhm khalta hai,

Bason aur daftaron ki bhheerr main bhi ye humare saath chalti hai,

Lahu ki dhoop main chup chaap jalti hai...!


Ye hum main baandh deti hai naye mousam, naye sooraj, naye taare aur khusboo,

Ye hum ko sounp deti hai koi aizaz jis ka maan rakhna farz hota hai,

Ye hum per bojh banti hai,

Ye hum per qarz hota hai,

Ye chahat hum nahi kerte,

Suno janaan! Mohabbat hum nahi kerte...!!!

K@IN@@T
10-14-2010, 10:25 PM
Mujhay Yaad Hai ......

Pichlay Saal Inhi Dinoon Main

Main Ne Tumhain Apnay Ander

Saatveen (7veen) Baar Qatl Ker Ke Waheen Kaheen

Kisi Veeranay Main Dafan Ker Dia Tha


Or Tumhari Qabr....

Faramoshi Ke Bhaari Pathron Say Bher Dee The..



Or Is Say Bhe Pehlay Aik Baar

Door Daraz Say Aanay Walay

Kisi DIYO Haikal Parindoon Ke Paron Say....



Or Is Say Bhi Pehlay Aik Baar

Bilkol Inhi Dinoon

Main Nay Tumhain Mukamal Taur Per Jala Ker

Tumhari Raakh Taiz Behtay Howay Dariya Main Bahaa De The



Lakin Is Saari Jaan Kuni Ke Bawajood

Tum Aaj Phir Hamysha Ki Tarah

Meri Aankhoon Main Aankhain Daalay

Mere Dil Ko Apni Mutthi Main Jakray

Mere Samnay Kharri Ho ....!!!!

K@IN@@T
10-14-2010, 10:33 PM
Sitaron say bharey is asmaan ki wusaaton mai
Mujhey apna sitaara dhoondhna hai
Falak par keh-kashan dar keh-kashan ek bekaraani hai
Na uska naam hai maloom---na koi nishaani hai
Bass itna yaad hai mujh ko
Azal ki subah jab saarey sitaarey
Alwidaai guftago kartey huay raston pay chal niklay thay
Toh uski aankh mai ek aur taara jhilmilaaya tha
Usi taarey ki soorat ka
Meri bheegi hui aankhon mai bhi ek khuwab rehta hai
Mai apnay ansoo-on mai apnay khuwabon ko sajaata hun
Aur uski raah takta hun
Suna hai gumshuda cheezain jahan par khoyee jaati hain!!
Wahin pay mil bhi jaati hain!!!

Morash
10-28-2010, 08:55 PM
Nice Sharing ..!!

K@IN@@T
10-29-2010, 01:20 AM
Thanx.......

K@IN@@T
04-01-2011, 12:49 AM
teRey tabsarey heiN be-khabar meri daastaan-e-hayaat sey
tu keh raha ha dil jisey wo meRi khwahishoN ka mazaaR hey

teRa shukriya aey tabeeb-e-jaaN ye khaloos apni jaga magaR
teRi masihaai bhi kya karey meRa dard hi be-shumaaR hey

meRey raastoN meiN jo aa gaya meRey qaafley ko jo kha gaya
wo tufaN to kab ka guzaR gaya paR dil meiN ab tak gubaar hey

aey meharbaaN dost suN meRi mushkiloN ko samajh ke meiN
teri mohabatoN ka kya karooN kisey dil pe ab ikhtiyar hey!

naey mosamoN ko bulao mat ke mujhey khusbuoN ki talab nahi
meri rah rehney do khaar khaar meRey leye to yehi bahaaR hey

jo nafratoN sey jhulas gaya usey dil sey saarey duwaeiN do
par us sitam-zada ka kya kareiN jo mohabatoN ka shikaaR hey!

K@IN@@T
04-02-2011, 02:56 AM
کہاں میں آ گیا ہوں؟

کبھی لگتا ہے مجھ کو
میں یہاں پہلے بھی آیا تھا
کبھی لگتا ہے
یہ دیوار و در سب آشنا سے ہیں
کبھی لگتا ہے
جیسے در کے پیچھے
کوِئی آہٹ ہے
کبھی کمرے میں
کوئی بلب جل اُٹھتا ہے، بُجھتا ہے
کبھی پچھلے پہر
راہداریوں میں ایسی آوازیں
کہ جیسے کوئی چلتا ہو
کبھی گُھنگرُو سے بجتے ہیں
کبھی پازیب کی چَھم چَھم
کبھی سانسوں کا مدھم شور
جیسے جھیل کی لہریں ہوں، محوِ گُفتگو باہم
کبھی بارش کی بُوندیں
ٹین کی چھت پر
کہ جیسے راگ گاتی ہوں
کبھی خوشبو کا جھونکا
یوں مشامِ جاں میں آتا ہے
کہ جیسے سبز جنگل
کی اندھیری خاموشی
سے اِک صدا کانوں میں آتی ہو
کبھی جیسے مجھے تم
دُور کی انجان دُنیا سے بلاتی ہو

انور زاہدی

~wish munda~
04-02-2011, 10:02 PM
wow .........

K@IN@@T
04-03-2011, 12:55 AM
thanx wish bhai:thanks:

K@IN@@T
04-03-2011, 12:55 AM
suno tum ne kaha tha na!!

mjhy jazb-e-muhbt say kabhi jo tum pukaro gi

main uss din lot aaon ga!!

to daikho na!!

kai lamhon

kai salon

kai sadiyon

se tera rasta takti

yeh meri muntzar ankhain

mere dil ki ye dharkan aur sansain

bus tumhara naam laiti hain

wohi ik wird karti hain

meri ankhon k sahil par

teri khwahish ki mojoan ne

bari halchal mchai hai

teri tasveer,sookhay phool aur tohfay!

teri chahat ki khushbu main

abhi takk sans laitay hain

woh sabb rastay k jin par tum hmaray sath chaltay thay

woh sabb rastay jahan teri hansi k phool khiltay thay

jahan pairhon ki shakhon par

hum apna naam likhtay thay

udasi say bharay manzar

tumharay lot kar anay ki umeedain dilatay hain

suno kuch bhi nahi badla

tumharay paaun ki awaz sun'nay ki

mere kamray ki bai tarteeb chezain muntazir hain

suno!!!

takmeel paati chahton ko yun adhoora to nahi choro

mujhay matt azmao tum

chalo abb lot aao tum!!!!

Opal
04-03-2011, 02:32 AM
Kainaat bhat khub you have very good Choice..
Thats really really touching and very good.
Thanks so much for sharing it. ..

K@IN@@T
04-03-2011, 03:47 AM
you :welcomeswing: and thanx 4 visiting in this thread

K@IN@@T
04-03-2011, 04:23 AM
Muhabbat is tarah jaise gulabi titliyon k pr,
Mohabat zindgani ki jabeen-e-naz ka jhoomr,
Muhabbat arzoo ki seep ka anmol sa gohar,
Mohabat aas ki dhoop me umeed ki chaadar,
Mohabat hi tery gesu,
teri palken,
teri ankhen,
Mohabat he teri baaten,
Mohabat he tmhary hijar ki or wisl ki raaten,
Mohabat he teri dharkan,
Mohabat he teri saansen,
Mohabat tmhari baat jesi he,
Mohabat ko agar samjho, to tmhari zaat jesi he…!

K@IN@@T
04-03-2011, 04:26 AM
Wo kehti thi
Mery dil ko mohabat bojh lagti hai
K
Is ki band nagri say
Mujhay kuch khof aata hai
Har ek lamha darata hai
Mujay kuch aisa lagta hai
K is ki naram khamoshi
Meri saansain chura lay gee
Mujay be-bas bana day gee
Mujhay azaad rehna hai
Faqat itna hi kehna hai

Sun k us ki sab batain

Main bus ye bol pata tha

Mohabat qaid rakhti hai
Magar is qaid main reh kar
Jo khushiyan dil ko milti hain
Kahin say mil nahi saktin
K is kin arm zanjeerain
Kabi ghayal nahi kartin
Mohabat aisi manzil hai
K jis k saray raston pay
Wafa ka dars milta hai
Nibah ka dars milta hai
Dilon pay raaj karnay ki adaa ka dars milta hai
Ye her dil ki zrurat hai
Mohabat khubsurat hai…..

Princess N
04-03-2011, 07:32 AM
:super: siso

:zabardast: sharing

keep rockin :s1:

K@IN@@T
04-07-2011, 12:52 AM
thanx sis keep visiting:hi::hbbh:

K@IN@@T
04-07-2011, 12:53 AM
Mei ye tasleem krta hon,
Mjhy ulfat k rasty pr,
Wafa ki haq prasti pr,
Barda hie naaz hai jana,
Mei jitney khwab bonta hon,
Mei jitney lafz likhta hon,
Meri tahreer main shamail,
Mery jazbon ki akasi,
Meri khuddari ye hr pal,
Mjhy youn dars deity hei,
Agr tm haar bhi jao,
Tu itna hosla rakhna,
Wafa se rabta rakhna,
Muhbt k safar mei tu,
Wafa hie shart-i-awal hai,
Wafa hie harf-i-aakhir hai.

K@IN@@T
04-07-2011, 12:56 AM
Buhat gehri udaasi hai
teri dehleez e wada per
khizaan ki shaam ki soorat kharri hoon main
mere dil main gayi shab se musalsal barfbaari hai
teri rukhsat ka manzer hai
teri rukhsat k manzer main
safer ki teerah shab hai
aur meri tanhaiyon ko housla deta hua ik haat roshan hai
samjh main kuch nahi aata
mere pairon taley bichta gulaabi raasta
yak lakht sehraa kaise banta hai
mere shehar e muhabbat main achaanak hijer ki aandhi
sada kiun chalne lagti hai !
meri aankhon k taaron k muqadder main
hamesha tootna kiun hai !
Ye kaisa Ishq hai janaan ?
ye kia zakhm e judaai hai !
ye kin khuwabon ki basti hai !
jahan per hum ko khul ker saans lene ki manahi hai
mere dil se tere dil tak
Yugon ke phair main lipti
buhat gehri udaasi hai
__________________

DreamGirl
04-07-2011, 12:57 AM
wow zabrdast thread hai sis:dance3: tamam poetry b bohaaaaaaaaaaat zabrdast hai:yeah: thanks

K@IN@@T
04-07-2011, 01:00 AM
thanx sis and keep visiting:Hi ya!:

K@IN@@T
04-07-2011, 01:03 AM
Phir...!!!!!!
Kya hua ab janey doh

Kahani woh mohabbat ki
Khatam hui bhasm hui

Kahani woh jo meri thi
Kahani woh jo tumhari thi

Kahani jis main khushian thein
Kahani jis mein khawahishein thein

Kahani jis main khawab bhi thaey
Tabeerein par sab jhooti thein

Kahani jis main mehfilein thaein
Ronakein per sab jhooti thein

Khabar na thi ilm na tha

Kahani ki woh sab baatein
Woh baatein jhooti baatein thein

Kahani ki jo raatein thaein
Woh raatein jhooti raatein thaein

Ham jo ishq ishq kya kertey thaey
Ham jo junoon kai dam bhartey thaey
Ham jo wehshatein likha kertey thaey
Woh sab bhi toh ik kahani thi..
Shayad yeh wohi kahani thi...!!

Phir ..!!!!
Phir Kya hua ab janey doh
Kahani woh mohabbat ki
Khatam hui bhasm hui...!!

adealjinaka
04-08-2011, 08:51 AM
so thanks for your sharing

K@IN@@T
10-25-2011, 09:56 PM
Aik Tohfa Teri Yadoon ka Purana Dhonda
Men Nay Bachpan ka Tasawar Men Zamana Dhoonda


Kitnay Logoon Say Tery Baaray Pocha Men Nay
Kiti Mushkil Say Tra Aa k Theekana Dhonda
Door TAk Us K Naa Aasaar Nazar Aae Mujhay
Door Tak Apna Wahi Waqt Suhana Dhoonda
Men Nay Har Baar Mulaaqat Ka Socha hay Magar
Too Nay Har Baar Na Milnay Ka Bahana Dhoonda
Jis K Kirdar Sabhi Apnay Nazar AAe Mujhay
Men Nay Ik Aisa Kitaboon Men Fasaana Dhonda
Shehar Dar Shehar Phiraya Hay Muqadasr Nay Nashat
Basti Basti Men Mahbaat KA Khazaana Dhonda.

K@IN@@T
10-25-2011, 10:05 PM
http://sphotos.ak.fbcdn.net/hphotos-ak-ash2/hs191.ash2/45470_133769076668541_100001063483049_197228_27449 49_n.jpg

pindaar k khoogar ko
nakaam bhi dekho gey?
aghaaz sey waqif ho
anjaam bhi dekho gey?


rangeeni_e_duniya sey
mayoos sa ho jana
dukhta hua dil ley ker
tanhaai main kho jana



tarsi hui nazron ko
hasrat sey jhuka lena
faryad k tukroan ko
aahon main chupa lena



raatoan ki khamoshi main
chup ker kabhi ro lena
majboor jawani k
malboos ko dho lena


jazbaat ki wusa'at ko
sajdoan sey basa lena
bhooli hui yadoan ko
seeney sey laga lena

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.