Aftab Afi
01-19-2015, 12:17 PM
Na Mandir mein Sanam hote na Maszid mein Khuda hota,
Humin se ye Tamaasha h na hum hote to kya hota.
Na aisi Manzilein hoti na aisa Raasta hota,
Sambhalkar hum zara chalte to Aalam-Jere-Pa hota.
Ghata chhati Bahaar aati tumhara Tazkira hota,
Phir uske baad Gul khilte ki Zakhme-Dil haraa hota.
Bulakar tumne Mehfil mein hume Gairon se uthwaya,
Humin uth Gaye hote Ishaara kar diya hota.
Tere Ehbaab tujhse milke fir Maayus lout gaye,
Tujhe ''NAUSHAD'' kaisi chup lagi ki kuch kaha hota.