PDA

View Full Version : Nazm


waheed ahmed
12-23-2014, 12:54 AM
dear freindz ap log bhi kiaa yaad karaiN ge kis sakhi se pala pada he,,,,,aik Nazm pesh e kidmat he.



Nazm




MaiN khaab nahiiN dektaa
Khwaab toot jaate haiN
Haqiqat ki baat kartaa houN
Dard ke daamaaN ki baat kartaa houN
Ranj ke saamaaN ki baat karta houN
Wasl-o-firaaq zindagi ka hissa haiN
MaiN apne hisse ki baat karta houN
tjh se milne ki baat karta houN
PHool aur Kaante,, baag-o-bahaar
sahil aur samnder
saath saath rehte haiN
saath saath chalte haiN
MaiN saath jeene ki bat karta houN
MaiN saat marne ki baat karta houN

MaiN tu sirf bataiN hii kartaa houN
Bas
KhuwaabouN jaisii

waheed ahmed
12-23-2014, 01:05 AM
Panchii jab shahr badalte haiN tu Dar lagtaa he
saaye aagosh maiN palte haiN tu Dar lagtaa he

Hawaass-e-dil maiN ab itnii sikat naii he
Log jab zehr ugalte haiN Dar lagtaa he

tamna ben ke ubharti he sozish mere ander
aur armaan machalte haiN tu Dar lagtaa he

andhairi raat maiN ab jugnoo nazer nahi aate
chaand taare nahiiN nikalte haiN tu Dar lagta he

Raaste maiN kahiiN wohi na mill jaaye Waheed
shahr kii galiyouN se guzarte haiN tu Dar lagta e.

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.