waheed ahmed
11-26-2014, 12:14 PM
Phir piaam saba laayii he
Nayii umang se sershaar tamnnaa liye
Rozan waa huwe dil-o-no-bahaar ke
Khill uthay murjhaaye huwe ghunche
sir-sabz-o-shaadaab huweeN koNplaiN
Phir bajne lagaa he sazeena wafaa kaa
Phir meh-ve-raqs huwii he chandnii
Phir koyel kii kook se sadaa aaayii he
Phir piaam saba laaayii he
Moj der moj sukhan aaraayii he
jab kisi kii awaaz ke silsile
kaanouN maiN ras gholte haiN
dheeme dheeme serouN maiN
Khamosh meh-ve-raqs he zindagi
sakoon-e-zeesat qaayem rahe
tu miltii he bandagii
sham-e-firaaq satatii tu he
aur muhabbat tenhaaii maiN rulaatii tu he
her raat koii yaad mujh ko sulaatii tu he
her subah sabaa
choom ker jagaattii tu he
her gunaah se bachnaa bhii he
Raah-e-wafaa pe chalnaa bhii he
DhaDakanouN ne abhi jafaa bhii karni he
Mout se ham ne wafaa bhii karnii he
Nayii umang se sershaar tamnnaa liye
Rozan waa huwe dil-o-no-bahaar ke
Khill uthay murjhaaye huwe ghunche
sir-sabz-o-shaadaab huweeN koNplaiN
Phir bajne lagaa he sazeena wafaa kaa
Phir meh-ve-raqs huwii he chandnii
Phir koyel kii kook se sadaa aaayii he
Phir piaam saba laaayii he
Moj der moj sukhan aaraayii he
jab kisi kii awaaz ke silsile
kaanouN maiN ras gholte haiN
dheeme dheeme serouN maiN
Khamosh meh-ve-raqs he zindagi
sakoon-e-zeesat qaayem rahe
tu miltii he bandagii
sham-e-firaaq satatii tu he
aur muhabbat tenhaaii maiN rulaatii tu he
her raat koii yaad mujh ko sulaatii tu he
her subah sabaa
choom ker jagaattii tu he
her gunaah se bachnaa bhii he
Raah-e-wafaa pe chalnaa bhii he
DhaDakanouN ne abhi jafaa bhii karni he
Mout se ham ne wafaa bhii karnii he