PDA

View Full Version : Kaun kehta hai ke maut aayi to mar jaunga


Aftab Afi
11-12-2014, 03:18 PM
Kaun kehta hai ke maut aayi to mar jaunga,
Main to darya hoon samandar mein utar jaunga,
Tera dar chhod ke Main aur kidhar jaunga,
Ghar mein ghir jaunga sehara mein bikhar jaunga,
Tere pahlu se jo uthunga to mushkil yeh hai,
Sirf ek shaKhs ko paunga jidhar jaunga,
Ab Tere shehar mein aunga musafir ki tarah,
Saya-e-abr ki manind guzar jaunga,
Tera paiman-e-wafa rah ki diwar bana,
Warna socha tha ke jab chahunga mar jaunga,
Chrasazon se alag hai Mera mayar ke Main,
ZaKhm khaunga to kuch aur sanvar jaunga,
Ab to Tum ko dube hue sadiyan guzrin,
Ab use dhundne Main ta-ba-sahar jaunga,
Zindagi shamma ki manind jalata hun ‘Umar’
Bujh to jaunga magar subah to kar jaunga..........

AYAZ
11-12-2014, 03:21 PM
Buhaat umda bro

Aftab Afi
11-12-2014, 03:31 PM
thnx cheif phir bana do kuch isee baat per bro :P

(‘“*JiĢäR*”’)
11-15-2014, 08:05 AM
Very nice

Aftab Afi
11-21-2014, 02:24 PM
Thnx Jiger bhai

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.