View Full Version : short poteries
waheed ahmed
10-30-2014, 09:46 PM
maiN ne us ke badle lehje kii wazahat poochii
kuch dair khamoush rahaa...
phir muskraa ke bolaa..
paagal...
jab lehje badel jaaeN tu wazahataiN kesi........
waheed ahmed
10-30-2014, 09:48 PM
tune daikha he..
Kabhi chaand pe behtaa paanii...
maiN ne daikha he..
ye manzer us ke rukhsaar pe aksar.
waheed ahmed
10-30-2014, 09:50 PM
MaiN khoud bhi yaar
tujhe bhoolne ke haq maiN houN
magar ye beech maiN
Kambakhat shaairi he naa....
waheed ahmed
10-30-2014, 09:53 PM
Qatrah Qatrah
meri haalet ko taar taar kerti rahii
merii rag rag maiN
Muhabbat safer karti rahii
Aleeba
10-30-2014, 09:57 PM
nyc one waheeed
waheed ahmed
10-30-2014, 10:02 PM
uss ne jab bolna na seekha thaa
Us i her baat maiN samjhtii thii
ab wo shaair bana he nam e Khuda
lakin afsos koi baat us ki
mere palle zara nahi padti.
waheed ahmed
11-02-2014, 05:38 PM
thanks a lot Aleeb ji ayaz ji khush rahye
waheed ahmed
11-02-2014, 05:40 PM
Phir koi aayaa dil e zaar nahii koii nahii
Raah roo ho gaa chalaa jaaye gaa....................faiz ahmed faiz
waheed ahmed
11-02-2014, 05:45 PM
Hawaa.eN Dastak.ouN maiN
Meraa naam le rahii haiN
MaiN kiwaaDr kese khoulouN
Mere dono haath
Pusht ki tarf bandhe huwe haiN.................................Perveen shakir.
waheed ahmed
11-02-2014, 05:51 PM
sakht naadim he
Mujhe daam maiN laane wala.................................Fraz ahmed
waheed ahmed
11-02-2014, 05:54 PM
Khuwaab kii musafat se
wasal ki tamazat se
roz-o-shab azyet se
kia milaa Muhabbat se?
ek hijar ka sehra
ek shaam yadouN ki
ek thakaa huwa aansoo.
waheed ahmed
11-02-2014, 05:58 PM
Be nishaaN manzilouN ke safr par
Kabhi niklo ge tu jaano ge
Ke ham jese musafir
KioN ghar ka rasta bhool gaye..
waheed ahmed
11-02-2014, 06:03 PM
Laakh zabt khawahish ke
be shumaar daawe houN
Us ko bhool jaane ke
Be panaah iraade houN
us ki muhabbat ko
tark ker ke jaane ke
Faisalaa sunaane ke
Kitne lafz sochay houN
Dil ko us ki aahat per
Barmalaa dharkne se
Kon rok saktaa he
waheed ahmed
11-04-2014, 01:22 AM
Kis qadar piyaar se
Ay jaan-e-jahaaN Rakhaa he
Dil ke rukhsaar pe
is waqat terii yaad ne haath
YouN gumaaN hota he
Gerche he abhi
subh-he-Firaaq
dhal giaa hijar kaa din
aa hii gaiii wasal ki raat.
waheed ahmed
11-07-2014, 12:37 AM
in ka dem saaz apne siwaa kon he
shehr jaanaaN maiN ab ba safa kon he
dest e qatil ke shayaaN raha kon he
rakht e dil baandh lo dil figaro chalo
phir hami qatal ho aayeN yaro chalo
aaj baazaar maiN pa ba joolaaN chalo
pa ba joolaaN.....paaouN maiN zanjeer ke sath raqs kerte huwe.
waheed ahmed
11-12-2014, 11:59 AM
bhool jaao e apne maazi maiN kia rakhaa he
yehi naa do chaar mulaqaataiN
adhore shikwe adhori bataiN
aur kuch udhaas shamaiN
chendi tooti huwi umangaiN
phone ke be eabt kalaiN
aur kia he apne mazi maiN
bhool jaao
waheed ahmed
11-12-2014, 12:13 PM
ajnabii sii raahouN ka ajnabi musafir ek
mujh hi se pooch baithaa he
Raastaa bataao ge
ajnabi si raahouN ke ajnabi musafir sun
Rasta koi bhi ho wasta koi bhi ho
ManzalaiN nahi milteeN
ManzalaiN tu dhoka haiN
manzalaiN ager mil jaaeN
tu justaju nahii rehtii
Zindagii ko
.
.
.
.
.
..
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.Jeene kii aarzoo nahi rehti.
waheed ahmed
11-12-2014, 12:28 PM
Usko baray khaloos se samjhayaa thaa
Ye Muhabbat
ye chahat
ye rooH
ye jism
ye jaan
sab kisi ki amanat haiN
meray paas
dene ko kuch bhi nahi he
Us ne khamshi se mere behte huwe ashkouN ko
apni hathaili pe saja liyaa
aur ye kehta huwa chal diyaa
Mujhe mere jeene ka sharaa mil gia
atif saeed
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.