PDA

View Full Version : tere aagay abhi zamana he


waheed ahmed
10-13-2014, 03:30 AM
do naye shair

jab aankh maiN aansoo bher jaate haiN
phir ye lafz bhi dhnadhle nazer aatay haiN

tum merii baatouN ka zara saa bhi aser met lena
ham log jaise hote nahii wese nazer aatay haiN








tere aagay abhi zamana he
aur mera shehr buht purana he

Haal se tu samjhotaa hii he
wo mazi thaa ju aashiqanaa he

pet jhaD laga he raste maiN
Manzil ka ab kiaa thikana he

hosh maiN aya huwa ye maazi
haal ka jaise koi deewana he

bazm e shoq aazmaaeN kyouN
youN bhii raas weeranaa he

mujh se ab kon milta he jaanaaN
tere aagay peechay zamana he

dill ko ab kiaa samjhaaeN
ye kisi ki kab manaa he

BeHr maiN youN estaadah haiN..............behr samandar
Sahil pe toot janaa he

tishnagi shehr maiN youN bhi he
na jaam na saaqi na mekhaanaa he

hamara dil tu ek khilona ho bhi chuka
hijr-o-wisaal ab ye tumko aazmana he

pas e chilmon ki kia khabar Waheed
bam pe ju aayaa wohi shakhsana he

tujhe houN gi zamane se umeedaiN
apnii tu thokar pe ye zamanaa he

dekh kar aasman ye hi sochtaa houN
ek na ek diin Khuda ke pas jana he

Arsheen
10-13-2014, 03:43 AM
Boht khob...

(‘“*JiĢäR*”’)
10-18-2014, 09:31 AM
Very nice

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.