PDA

View Full Version : Own Waheed


waheed ahmed
09-23-2014, 02:21 PM
suno!

Mujhe tum se kuch kehnaa thaa
tum bhi iss zameeN ki baasii ho
kabhi khoush lagti ho
kabhii udaasii ho
ye sab kahaniiyaaN he
ke koi kisi ke men ka meet ho jaaye
kisi ko kisi se pareet ho jaaye
ye sab dikhawa he
Muhabbat kuch bhi nahi
ma siwaaye is ke kay
ek thaka dene wala safr
haaN ye bhi sach he magar
ke muhabbat ka raaq
sab se zyadah maiN hi alaptaa houN gaa
ye andaz e fiker
na jane hamaiN le jaaye gaa kidhar
asal muhabbat tu heewanat maiN hoti he
zara dekho ye aik dosre se
kese lipt ke rehte haiN
aur insano maiN he
perdah dari
ye bhi theek he ke perdah uthna nahii chahye
chalo phir
pardhay hi maiN rehne do
mitti paao.

dt. 24th may 2013

AYAZ
09-23-2014, 04:49 PM
Zaberdast

Arsheen
09-26-2014, 03:58 PM
ye kis type ka literature hai?

waheed ahmed
10-01-2014, 02:47 AM
thanks a lot Ayaz ji arsheen jii...

Arsheen jii really I dont know ye kis type ka he. thanks for the visit

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.