Log in

View Full Version : Us Dais me lagta hei adalat nahi hoti


AYAZ
09-07-2014, 01:03 PM
<< Habib Jalib>>

Us Dais me lagta hei adalat nahi hoti
Jis Dais me insan ki hifazat nahi hoti

Makhloq -e-Khuda jab kisi mushkil me phansi ho
Sajde me parre rehna ibadat nahi hoti

Hum khak nashino se he Q kartey hai nafrat?
Kya parda nashino me ghalazat nahi hoti?

Yeh baat nae nasal ko samjhani paregi
K uryani kabhi bhi sadafat nahi hoti

Sir ankho pr hum usko bitha lete hain aksar
Jis k kisi wade me sadaqat nahi hoti

Pohnacha hai agarche bara nuqsan hamesha
phir B kisi bande ki ata'at nahi hoti

Hr shaks apne sir pe kafan bandh k nikle
Haq k liye larna to baghawat nahi hoti!!

Rania
09-07-2014, 01:44 PM
Buhat Umda

pakeeza
09-07-2014, 06:28 PM
Veryy Niceeeeeeee

Mf Great Power
09-08-2014, 02:42 PM
gr8 Admin

Golden Tears
09-09-2014, 12:05 AM
awesome...

Flower~
09-09-2014, 11:35 AM
nice sharing

~wish munda~
09-10-2014, 12:24 AM
Kahin andar utar janay wali gehri baten....

(‘“*JiĢäR*”’)
09-11-2014, 12:19 PM
,,:bu:

waheed ahmed
09-15-2014, 01:06 AM
awsome poetry ayaz ji khush rahye....

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.