PDA

View Full Version : NahiN rehne do..Nazm


waheed ahmed
08-22-2014, 10:59 PM
NaheeN rehne do,
dil ki baat rene do,
dil kabhi saaz he,
tu kabhii naghma
tu kabhii sodaayii

Kabhii khoush tu kabhi kisi.
gham maiN aankh bher aayii
teri gali maiN ham ne
kyaa khoyaa kiaa paayaa
Jis terf daikhye aag he jazbouN ki
jis terf jaaye shola sulagtaa he
Derd he aur he ruswaayii

aur phir hamari zaat bhii
aisi he ke ye dill kabii
chahat bhara
tu kabhii he herjaayii

Kon jaanta he kab
shamma jali
kab huwa andhairaa
kab baden maiN aawaargii
uter aayii

Masihaan-e-chamn
na chero desht-e-furqat
ke ronay walouN ko
shab ki jaagi huwii
aahouN maiN na jane
kab neend uter aayii

ab muhabbat na sahii
wheshat hi se mansoob kero
wohii puraane qisse
wohii puraane afsaane
wohi log deewane
wohi rog puraane
Naye jazbouN ko hawa do
nyaa khoun laao
choro aazmaayii huwi bataiN
purane aazmaaye huwe
logouN ko bhool jaao
ab loat ke woh sehra nasheeN
chamn walouN ko kiaa kahaiN ge
ke ab un ke hountouN per
zerd phoulouN sii chatkhii huwi
Muskaan
Bujhtii huwii aarzoo
slugti huwii justajoo
ab aur nahii mere bhaayii
ab aur nahii mere bhayii

Princess Urwa
08-23-2014, 10:06 AM
very nice

Arsheen
08-25-2014, 07:05 PM
very nice

(‘“*JiĢäR*”’)
08-26-2014, 12:31 PM
Very nice

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.