shakeel
07-30-2014, 07:32 PM
Aaya hi nahin hum ko aahista guzar jana,
sheeshe ka muqaddar hai takraa ke bikhar jana.
Taaron ki tarah shab ke seene mein utar jana,
aahat na ho kadmon ki iss tarah guzar jana.
Nashe mein sanbhalne ka funn yun hi nahin aata,
inn zulfon se seekha hai lehra ke sanwar jana.
Bhar jayenge aankhon mein aanchal se bandhe baadal,
yaad aayega jab gul par shabnam ka bikhar jana.
Har mod pe se do aankhen hum se yehi kahti hain,
jis tarah bhi mumkin ho tum laut ke ghar jana.
Patthar ko mera saaya aaina sa chamka de,
jana toh mera sheesha yun dard se bhar jana.
Ye chaand sitaare tum auron ke liye rakh lo,
hum ko yahin jeena hai hum ko yahin mar jana.
Jab toot gaya rishta sar-sabz pahaadon se,
phir tez hawaa jaane kis ko hai kidhar jana. !!
- Bashir Badr